papita farming business plan

Papita jise english mein Papaya kaha jata hai. Yeh ek fruit hai jisse aapne bhi kabhi na kabhi jarur khaya hoga. Papaya khane ke bahut benefits hote hai aur aaj hum Papita farming business plan ke baare mein vistar se jaanenge. Haliye jaante hai ki papita ki kheti kaise kare.

Iss article mein aap jaanenge…

Papita Ke Baare Mein

Papita Ki Kheti Kaise Karein

Market Ki Jaankari

Papita Farming Mein Laagat

Papaya Business Ke Liye Loan

Papaya Farming Profit


Papita Ke Baare Mein

Jaisa ki aapko pata hi hai ki Papita ek fruit hai jiski market mein bahut demand rahti hai. Yeh ek lamba phal hota hai. Ek papite ka wajan 300-400 gram se lekar 1 kg tak hota hai. Aaj kal log iski kheti karke bahut achha munafa kama rahe hai.


Papita Ki Kheti Kaise Karein

Papita ki kheti karne se pehle, aapko sahi jagah aur mitti ka chunaav karna hoga taaki aapki fasal achhi ho.

Papita ki kheti ke liye domat mitti sabse achhi hai. Papaya ke beej bone ka sabse achha samay July se September aur February-March hota hai.

Papita ki kisme

Papaya ki bahut saari kismein (varieties) hai aur achhi kism se jyada munafa kamaya ja sakta hai. Humne yahan kuch kismon ke ke naam bataye hai jo bahut achhi maani jaati hai.

Co-1 to Co-8, Pusa Majesty, Pusa Delicious, Pusa Nanha, Pusa Dwarf, Pusa Giant, Surya, Arka Prabhat, Coorge Honey Dew, Washington, Red lady 786, Taiwan etc. variety hai.

Kheti ke liye bhumi aur mitti

Papita ho ya koi aur kheti uske liye mitti ka chayan achhe se karna jaruri hai. Iss karan mitti ki janch jarur karwa leni chahiye. Papaya ki kheti Domat mitti par achhi hoti hai. Saath hi jaha kheti kar rahe hai waha pani nikalne ka intjam bhi hona chahiye papite ke jado ke paas paani rahne se paudhe sadne lagte hai. Mitti ka pH maan 6.5 se 7.5 tak hona chahiye.

Papite ki bowai

Ab hum baat karenge bowai (Sowing) ki. Achhi upaj ke liye beej bhi achhi quality ka hona chahiye.

Bowai mein aapko inn baato ka dhyan rakhna hai:

1. Beej July se September aur Feb-march mein boye.

2. Beej achhi kism ke lene chahiye taaki fasal achhi ho.

3. Beejon ko kyariyo, lakadi ke box, mitti ke gamlo aur polythin ki thaili mein boya ja sakta hai.

4. Kyariya jamin ki satah se 15 cm unchi aur 1 meter chaudi honi chahiye.

5. Jab paudhe 8 se 10 cm bade ho jaate hai toh unhen kyari se nikalkar polythin mein transafer karna chahiye.

6. 15 cm ke hone par paudhon mein 0.3 Fungicide ghol ka chidkav karna chahiye.

Papite ka ropan

Iss prakar khet ko achhe se taiyaar karne ke baad 2×2 meter ki doori par 50x50x50 cm akaar ke khadde may ke month mein khod kar 15 dino ke liye aise hi khule rakh dene chahiye taaki gaddho ko dhoop lag jaaye aur keede makode bhi mar jaaye.

Paudhe lagane ke baad gaddho mein mitti aur gobar ki 50 gram eldrin milakar bhar dena hai aur wo 10-15 cm uncha rahna chahiye. Iss tarah Jab tak paudhe achhe se panap na jaaye tab tak rojana dophar mein thodi bahut sinchai karni chahiye.

Plastic packages mein beej ugana

Phir aapko plastic ki thaili mein beejon ko ugana hota hai. Beej ugane ke liye aapko 200 gauge aur 20×15 cm size ki thaili chahiye hongi. Iske side mein ched karke 1:1:1:1 patti ki khad, ret, gobar aur mitti ka mix banakar thailiyon mein bhar dena hai. Har thaili mein 2 se 3 beej bo dene hai.

Paudharopan

Jab paudhe lagane ka time aaye toh aapko pahle khet ko achhe se taiyar karke samtal bana dena hai. Iske baad 50x50x50 cm size ke 1.5×1.5 meter ke difference mein gaddhe khod lene hai. Iske baad hume har gaddhe mein 30 gram BHC 10% dust mila dena hai.

Khaad aur Fertilizer ka use

Ab hum baat karte hai papita ki kheti mein khaad aur fertilizer (urvark) ki. Achhi fasal ke aapko khaad aur fertilizer ka bhi upyog karna hoga. Iske liye aap 200 gram nitrogen, 250 gram phosphorus aur 500 gram potas har paudhe mein daalna hoga.

Saath hi har saal har paudhe mein 20-25 kg gobar ki khaad, ek kg bonmill aur 1 kg neem ki khali ki jarurat padti hai.

Achhe utpadan ke liye Sinchai

Kuch source ke anusar Papita farming mein summer season mein 6-7 din aur winter mein 10-12 din ke andar sinchai karni chahiye.

Kharpatwar

Kisi bhi fasal mein kharpatwar toh hi hai toh papaya farming mein bhi bahut kharpatwar ug jaati hai. Isse papite ki kheti par asar padta hai isliye nirai-gudai karni chahiye. Saath hi lagatar paani dene se mitti bhi kadak hone lagti hai aur isse bhi paudhe par ulta asar padta hai iss karan 2-3 baar nirai-gudai karni jaruri hai.

Upaj

Upaj matlab production. Generaly papite ki achhi kism ke har ek paudhe se 30-35 kg upaj milti hai.


Market ki jaankari

Papita kheti ke liye beej kahan se laaye?

Papita farming ke liye sahi kism ke beej ka chunaav karna bahut jaruri hai. Aaj kal market mein bahut saare fraud suppliers bhi ghoom rahe hain jo ya toh mahenge beej bech rahe hain ya bekaar hybrid beej bech rahe hain, jiski wajah se aapko nuksaan ho sakta hai. Isliye Papita ke beej khareedne ke samay aapko savdhaani se chayan karna hoga.

Agar aapke paas koi bharosemand dealer ho jo Papita ke business se juda ho toh aap usse hi beej khareede. Agar aap chahe toh achhe seed khareedne ke liye aur unki jaankari ke liye apne discrict ki Krishi Kalyan Vibhag se sampark kar sakte hain. Saath hi aur bhi aisi kayi sanstha hain jo farmers ki madad karne ke liye khuli hain jaise India Plantation. 

Iske alawa agar aap online Papita ke beej khareedna chahte hain toh yaha click kare.


Papita Farming Mein Laagat

Papite ki kheti mein aapko achhe kism ke beej lene chahiye taaki jyada paidavar ho. 1.5X1.5 meter ki doori par paudhe lagane se prati hectre 60-75 hajar rupye laagat aati hai. Aur agar 1.25X1.25 meter ki doori mein paudhe lagate hai toh 1.25 lakh rupye ki laagat aati hai.


Papaya Business Ke Liye Loan

Agar aap loan lekar apne Papita business ki shuruvat karna chahte hai, toh aapke pass ye saare options available hai:

  • Kisano ko National Bank for Rural Development and Agriculture (NABARD/NHB) dwara loan extend kiya jata hai lekin loan lene ke liye kisano ko ek report NABARD se approve karani padti hai. Loan ke amount ke processing ke liye in cases ko Nationalised banks ko recommend kiya jata hai.
  • National Horticulture Board bhi farmers ko credit linked back- end subsidy ki form mein assistance provide karta hai. Subsidy ka amount total cost ka 20% hota hai (normal areas mein maximum amount 25 lakhs tak ka hota aur hilly areas mein 30 lakhs tak).
  • State Government bhi farmers ko encourage karne ke liye subsidies provide karti hai.
  • Rashtriya Krishi Vikas Yojna mein bhi kisaano ko khet, tools etc ke liye Rs 80,000 diye jaate hain.

Sarkari loan

Aap chahe toh Startup India ke tehat sarkar se loan le sakte hai. 

Iss organization me aisi scheme hai jo small scale businesses ko aage badhane mein madad karti hai, jiska naam hai Mudra scheme. Mudra loan sceme ek collateral free loan scheme hai jisme interest bhi kam charge hota hai. Iss scheme ke andar 3 tarah ke plans hai:

Mudra scheme ka funding support in chaar prakar ka hota hai.

  • Micro Credit Scheme (MCS) , 1 lakh tak ke finance ke liye.
  • Commercial Banks / Regional Rural Banks (RRBs) / Scheduled Co-operative Banks ke liye refinance scheme.
  • Women Enterprise programme.
  • Loan portfolio ka securitisation.

Mudra scheme ke baaki mein aur jaankari ke neeche diye gaye link par click karein Mudra Loan Scheme.

Bank Loan

Aap chahe toh bank se loan lekar bhi apne kaam ki shuruvat kar sakte hain. Bank loans kisi bhi small ya medium sized business ke liye kaafi important role play karta hai. Agar aapke pas apna khud ka investment nahi hai toh aap bank se loan sanction karwa sakte hain. Bank se loan sanction karwane ke liye aapko kuch cheezon ki requirements hongi jaise –

  • Aapki age limit 21-65 years ki honi chahiye.
  • Aapko ek profit margin dikhani hogi jo bank ko trust provide karega. Profit kam se kam rs. 1,50,000 ki honi chahiye.
  • Ek proper business plan dikhana hoga jo ki loan provider ko aapke business ke bare mein puri jaankari de sake.

Papaya Farming Profit

Achhe variety ke beej lekar Papita ki kheti karne se paidaavar achhi hoti hai aur phir usse munafa bhi bahut achha milta hai.

Kuch sources ke anusar Ek hectare papite ki kheti mein 10-12 lakh tak ka munafa kamaya ja sakta hai. Aajkal bajar mein achhe kism ke papite ki maang bhi bahut rahti hai, isliye yeh business karke achha munafa kamaya ja sakta hai.


Kheti Se Jude Other Articles

Toh hum ummid karte hai ki aapko Papaya farming business plan ke baare mein achhe se jaankari mil gayi hogi aur agar koi other sawal hai toh humse comment mein pooch sakte hai.

जन्म से ही क्रिकेट का दीवाना हूँ लेकिन क्रिकेटर बन नहीं सका और अब विकिपीडियन बनकर खिलाड़ियों पर लिखना शौक बना दिया है।

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here