rpsc_recruitment

RPSC Recruitment jiska full form Rajasthan Public Service Commision hota hai. Hindi mein isse Hindi mein Rajasthan Lok Seva Aayog kaha jata hai jo Rajasthan Sarkar ka ek aayog hai. Iski sthapna 20 August 1949 mein hui thi. RPSC vibhinn compitative exam conduct karti hai. Iske maadhyam se alag-alag departments mein bharti hoti hai. RPSC Vacancy ke baare mein aur jaante hai.

Poori Jaankari Niche Padhein


RPSC Recruitments

RPSC mein bahut saari recruitments nikalti hai jiske liye Graduate log hi apply kar sakte hai. RPSC mein RAS (Rajasthan Administrative Service), Rajasthan Police Sub Inspector, Senior Teacher, Lecture, RJS aur AEN etc ki posts nikalti hai.

Inn sabhi mein RAS bahut popular post hai aur ismein lakhon log clear karne ka prayaas karte hai. Ab hum yahan niche Unn sabhi Latest RPSC bharti ki date, online apply ki link, notification, rpsc admit card, rpsc syllabus etc. ki baat karenge jinki bharti aa chuki hai ya aanewali hai.

Latest RPSC Recruitment

Aapko bata de ki RPSC Bharti mein sabhi post ek saath nahin nikaali jaati hai. Posts ki notification alag-alag nikaali jaati hai. 

1. RAS (Rajasthan Administrative Service) Bharti 2020

RAS ek civilian post hai jiske exam ko RPSC conduct karti hai. Yeh ek difficult exam hota hai jismein achhi taiyaari karni hoti hai. RAS officers ke paas kai shaktiyan hoti hai jise woh janta ke hit mein prayog karte hai.

Age Limit: 21 se 40 saal

Qualification: Kisi recognized university se Bachelor’s ki Degree.

Selection Process: RAS officers ka selection 3 stages mein kiya jata hai. Pahle (1) Preliminary exam hoga, jismein 200 marks honge. (2) Main exam, ismein 200 marks honge. (3) Personality/viva-voice exam hoga. Yeh 100 marks ka hoga.

Notification: Abhi nahin aayi hai.

Apply Now: Notification aane par update kiya jaayega.

RPSC RAS Admit card: Abhi nahin aaya hai.


2. Rajasthan Police Sub Inspector Bharti 2020

Sub Inspector ki post bhi RPSC mein aati hai. Rajasthan Police mein Inspector ke baad sabse badi rank hai. 2020 ki post nikal chuki hai.

Age Limit: 18 se 40 Saal

Qualification: Kisi recognized university se Degree.

Selection Process: (1) Written exam, (2) Physical standard aur Efficiency test, (3) Interview, (4) Merit list, (5) Medical test aur (6) Document verification.

Notification: Click karke download karein

Apply Now: Yahan Click karein

RPSC Sub Inspector Admit card: Abhi nahin aaya hai.


3. RPSC Senior Teacher Bharti 2020

Senior teacher bharti mein grade I aur II ke liye bharti nikalti hai. Inn donon ki post ek saath nahin nikalti hai. 

Age Limit: 18 se 35 Saal

Qualification: Kisi recognized university se relevant subject mein Graduate.

Selection Process: Written Examination, Cut Off Marks, Final Marks, Personal Interview, Document Verification.

Notification: Abhi nahin aayi hai.

Apply Now: Notification aane par update kiya jaayega.

RPSC Teacher Admit card: Abhi nahin aaya hai.


4. RPSC Lecturer Bharti 2020

Lecture jismein abhi sanskrit education mein bharti nikali hui hai. Lecturer jo Head Master 

Age Limit: 21 se 40 Saal

Qualification: M.A/B.ED

Selection Process: Written Examination, Cut Off Marks, Final Marks, Personal Interview, Document Verification.

Notification: Click karke download karein

Apply Now: Yahan Click karein

RPSC Lecturer Admit card: Abhi nahin aaya hai.


5. RJS (Rajasthan Judicial Service) Bharti 2020

RPSC vacancy mein ek RJS ki post bhi hoti hai jiska matlab hota hai Rajasthan Judicial Service. Yeh Rajasthan High Court ke liye bharti hoti hai.

Age Limit: 23 se 35 Saal

Qualification: Kisi recognized university se Bachelor of Laws (Professional) ki degree hona jaruri hai.

Selection Process: Preliminary exam, Mains exam aur Interview.

Notification: Abhi nahin aayi hai.

Apply Now: Notification aane par update kiya jaayega.

RPSC RJS Admit card: Abhi nahin aaya hai.


6. RPSC AEN Bharti 2020

AEN ek assistant engineer ki post hoti hai. Jismein alag-alag department ke liye bharti nikalti hai. 

Age Limit: 21 se 40 Saal

Qualification: Kisi recognized university se Civil/Agriculture Engineering mein Degree.

Selection Process: Preliminary, Mains, Personality and Viva-Voce Examination।

Notification: Abhi nahin aayi hai.

Apply Now: Notification aane par update kiya jaayega.

RPSC AEN Admit card: Abhi nahin aaya hai.


RPSC Result

RPSC result jo alag-alag bharti ka result online declare kiya jata hai. Result dekhne ke liye aapko RPSC ki official website par jaana jiski link niche hai. Sabhi bharti ka result PDF file mein aata hai jisko download karke result dekh sakte hai.

RPSC Result Check Karein

Latest Rajasthan Police Bharti


Hum ummid karte hai aapko achche se Latest RPSC Recruitment ki jaankari mil gayi hogi. Agar kuch aur jaanna chahte hai toh humein niche comment mein pooch sakte hai.

जन्म से ही क्रिकेट का दीवाना हूँ लेकिन क्रिकेटर बन नहीं सका और अब विकिपीडियन बनकर खिलाड़ियों पर लिखना शौक बना दिया है।

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here