Learn English

English duniya mein bole jaani wali hai second most spoken language hai. English 53 countries ki official language hai. English ek aisi language ai joh puri duniya ko judhti hai. Ye language lag bhag har desh mein boli jaati hai aur English hi ek aisi language hai jiske madhyam se ek desh ke log dusre desh ke logon se baat chit kar paate hai isliye Spoken English skills aani zaruri hai. Learn English ke liye sabse pehle jaane ki English language ki importance itni kyun hai.

Learn English

India mein Hindi ke sath sath English bhi ek bahut important language hai. Balki humare desh ki official language hi English hai isliye English language aana aaj ke zamane mein bahut hi zaruri hogaya hai chahe vo professional front par ho ya personal front par.

Josh Skills App par Sikhe Fluent English Bolna

English aani kyun zaruri hai?

  • India ki official language English hai. Har jagah English mein hi bola jaata hai ya likha jaata hai. Saari communication( written & oral) isi language mein ki jaati hai chahe school/college ho, office ho ya personal interactions ho, sab communications ke liye English aana zaruri hai. 
  • English is the Language of International Communication. Ye duniya mein bole jaani wali second most language hai. 400 million se zayda log English language jaate hai.  
  • Kisi bhi job mein jaane ke liye English speaking skills zaruri criterion hota hai. 
  • Business world mein English language bahut important hai isliye isko Langauge of Business kaha jaata hai. 
  • Internet par 50% se zayda content English mein hota hai. Chahe websites ho, articles ho, videos ho, majorly sab English mein hoti hai. 
  • Aboard jaane ke liye bhi English aani zaruri hai. Chahe padhane jaane ho ya job karne. 
  • English aane se confidence build hota hai aur personal growth bhi hoti hai. 

English kaise sikhe?

  1. English ko sikhane ke liye sabse zaruri hai English bolane ki practice karna. Jitna ho sake practice karein. Chahe galat English bole par English mein baat karne ki koshish karein
  2. English ko ache se sikhane ke liye ye zaruri hai ki jo bhi baat bolani hai usko apni language ki jagah English mein soche. Jo bhi baat Eglsih mein bolni hai usse English mein hi sochenge to confusion nahi hoga aur asani se English bol paynege.
  3. Eglish improvement ke liye English Newspaper padhein, Engish movies aur Television series dekhein aur unki baaton ko dhyan se sune aur samjhane ki koshish karein.
  4. English vocabulary improve karein books padhkar. English books padhein aur apni vocabulary ko behtar karein. 

Learn English Speaking Course

Aaj ke digital zamane mein Learn English online yani internet ki help se ghar baithe baithe English sikhi jaa sakti hai Josh Talks English Speaking Course ki wajah se. 

1 June 2019 ko shuru huye Josh Talks English Speaking Course ka uddeshy gaao, chote sheharo, mahanagaron mein rehne wale yuva logo ko ‘English bolana naa aane ke kaaran’ har din hone wali pareshaniyon jaise Job Interview mein Rejection, Confidence aur Fluency na hone ki wajah se apne Talent ko puri tarah use na kar paana etc… ka puri tarah samaadhan karna hai.

Pichle 3 mahino mein 21,500 se bhi zayda yuvaon ko English Speaking sikha chuke hai. Iss English Speaking Course ko aise design kiya gaya hai agar aapko thodi bahut bhi Basic Grammar aati hai toh aap keval 90 dino mein Confidence ke saath English mein baat kar payenge aur Sentences bana payenge. Ye course aap Whatsapp ya Josh Skills App par kar sakte hai. 90 dino tak chalane wale iss Fluent English Speaking Course mein sabse zayda focus Spoken English aur Confidence Building par kiya jaata hai.

Ye Course kyun join karein? (Benefits)

  1. Lagaatar 90 dino tak ek aisa platform milega jaha daily kisi bhi samay English bolane ki practice kar sakte hai.
  2. Tutors ke saath ek week mein 4 se 5 baar Free mein baat karne ka mauka milta hai.
  3. Aapke Answers ko daily check kiya jaata hai aur Feedback bhi diya jaata hai.
  4. Yeh Bharat ka sabse sasta course hai. Iss pure course ki fees hai sirf ₹ 299 only.

Iss course ki puri jaankari ke liye yaha click karein


LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here