UP state government har saal un students ke liye scholarship nikalti hai jo apni education poori karna chahte hai but arthik sthiti ke kaaran problem jhelni padti hai. Iss karan UP Sarkar inn students ke liye Scholarship (Chhatravritti) nikalti hai. UP Scholarship 2020 mein hum eligibility, last date, online form, documents etc ke baare mein jaanenge.
Iss article mein aap jaanenge…
UP Scholarship Important Links
UP Scholarship Kya Hai
Uttar Pradesh sarkar jo har saal students ki shiksha ko poora karne ke uddeshya se scholarship nikalti hai jismein alag-alag classes ke students apply kar sakte hai. Iske baare mein humne niche poori eligibility batayi hai jisse aap padh sakte hai.
Agar aap UP Scholarship 2020 aur Central Scholarship mein confuse ho rahe hai toh, aapko bata de ki Central scholarship mein kisi bhi state ka student apply kar sakta hai jabki UP waali mein sirf issi state ka student eligible hoga. Ismein amount state government deti hai.
Important Links
- Apply Online (Fresh/ Renewal) Click Here
- Login for Complete Form (Fresh/ Renewal) Click Here
- Download Notification Pre Matric | Post Matric
UP Scholarship 2020 Date
Uttar Pradesh Scholarship ki date aap official portal par bhi check kar sakte hai kabhi bhi. Lekin hum aapko yahan latest dates ke baare mein bata rahe hai. Toh niche UP Scholarship last date jaante hai.
S.No. | Scholarships | Details |
1. | UP Pre-Matric Scholarships ki Application timeline | 1 July – 10 September 2019 |
2. | UP Post-Matric Scholarships ki Application timeline | 1 July – 10 October 2019 Portal Reopened – 1 – 20 November 2019 |
3. | UP Pre-Matric Scholarships ki correction ki timeline | 16 – 25 October 2019 |
4. | UP Post-Matric Scholarships ki correction ki timeline | 19 – 28 December 2019 |
5. | Scholarship ka vitaran | 26 January 2020 |
* Batai gayi sabhi dates academic year 2019-20 ke liye laagu hoti hai. Yeh har saal badalti rahti hai.
* Apply karne se pahle UP Scholarship last date upar jarur dekh le.
Eligibility
Chhatravritti paane ke liye students ko eligible bhi hona jaruri hai. Toh yahan hum yogyata ke baare mein achhe se jaan lenge jisse aapko koi problem nahin ho.
S.No. | Scholarship Name | Eligibility Criteria |
1. | Pre-matric Scholarship ST/SC/General Category ke liye | Iss scholarship ke liye 9th aur 10th ke students eligible hai jo SC/ST/ General category mein aate hai. Saath hi family ki income 1 lakh se jyada nahin honi chahiye. |
2. | Post matric Intermediate Scholarship ST/SC/General Category ke liye | Iss scholarship ke liye 11th aur 12th ke students eligible hai jo SC/ST/ General category mein aate hai. Saath hi General category ke student ki family ki income 2 lakh aur baaki category waalon ki 2.5 lakh se jyada nahin honi chahiye. |
3. | Post matric (Other than Intermediate) Scholarship ST, SC, General Category ke liye | Iss scholarship ke liye graduation, post graduation, PhD ya koi other high level ke students eligible hai jo SC/ST/ General category mein aate hai. Ismein apply karne waale General category ke student ki family ki income 2 lakh aur baki category waalon ki 2.5 lakh se jyada nahin honi chahiye. |
4. | Post matric Other State Scholarship ST, SC, General Category ke liye | Iss scholarship ke liye 11th ya iske alava ke students eligible hai jo SC/ST/ General category mein aate hai. Ismein apply karne waale General category ke student ki family ki income 2 lakh aur baaki category waalon ki 2.5 lakh se jyada nahin honi chahiye. |
5. | Pre-Matric Scholarship Minorities ke liye | Yeh scholarship minority community students ke liye hai jo 9th aur 10th mein padh rahe hai.Ismein family ki income 1 lakh se jyada nahin honi chahiye. |
6. | Post matric (Other Than Intermediate) Scholarship Minorities ke liye | Yeh scholarship minority community students ke liye hai jo graduation, post graduation, PhD ya higher level mein padh rahe hai. Ismein family ki income 2 lakh se jyada nahin honi chahiye. |
7. | Post matric Intermediate Scholarship Minorities ke liye | Yeh scholarship minority community students ke liye hai jo 11th aur 12th mein padh rahe hai. Ismein family ki income 2 lakh se jyada nahin honi chahiye. |
8. | Pre-Matric Scholarship OBC Students ke liye | Yeh scholarship OBC category ke students ke liye hai jo 9th aur 10th mein padh rahe hai.Ismein family ki income 1 lakh se jyada nahin honi chahiye. |
9. | Post matric Intermediate Scholarship OBC Students ke liye | Yeh scholarship OBC category ke students ke liye hai jo 11th aur 12th mein padh rahe hai. Ismein family ki income 2 lakh se jyada nahin honi chahiye. |
10. | Post matric (Other Than Intermediate) Scholarship OBC ke liye | Yeh scholarship OBC category ke students ke liye hai jo graduation, post graduation, PhD ya higher level mein padh rahe hai. Ismein family ki income 2 lakh se jyada nahin honi chahiye. |
Aise Bhare Online Form
UP Scholarship online form 2020 kaise bhare ya online apply kaise karein. Toh iska javab aapko niche step by step milega.
1) Sabse pahle UP Government’s Scholarship portal ki website par jaana hoga.
2) Iske baad apako “Student” section par click karna hai aur usmein “New Registration” par.
3) Phir aapko scholarship select karni hai jiske liye aapko apply karna hai.
4) Jab aap aisa karenge toh aapke saamne khaali box honge jismein jaruri jaankari bharni hogi aur phir “Submit” par click karna hai.
Aap Registration slip ka print out le sakte hai jo future mein kaam aa sakti hai.
UP Scholarship Student Login
Agar aap UP Scholarship login ke baare mein jaanna chahte hai toh aapko niche bataye gaye steps follow karne honge.
1) UP Scholarship Login karne ke liye registration number, date of birth aur password enter karna hoga. Iske liye aapko Yahan Click Karna Hoga.
2) Jaise hi aap login karenge page redirect hokar important instructions ke page par chala jaayega.
3) Instructions ko achhe se padhne ke baad aapko “Proceed” par click karna hai.
Form Bharne ka Traika
1) Jab aap upar bataye gaye process mein “Proceed” par click karenge toh aapke saamne user dashboard khul jaayega jahan aapko baaki detail daalni hai.
2) Phir aapko “Fill in application form” ke section par click karna hai.
3) Jo bhi yahan detail maangi jaayegi usse bharna hai aur phir niche “Submit” button par click kar dena hai.
4) Iske baad aapko sabhi jaruri documents upload karne honge.
5) Final submission se pahle aapko ek baar achhe se check kar lena hai ki kahin kuch galat toh nahin daal diya.
6) Final submission ke baad applicants ko Print Out le lena hai.
Jaruri Documents
Jab aap scholarship ke liye apply karenge tab aapko kuch documents submit karne honge jiski list niche di gayi hai –
- Residential proof jaise ration card, aadhaar card, voter ID, driving license ya PAN card.
- Student ke Passport size photograph.
- Caste certificate (if jarurat ho toh).
- Income certificate.
- Domicile certificate.
- Student ID proof.
- Mark sheets.
- Current year ki fee ki receipt/admission letter.
- Student ki Bank passbook.
Status Check Karein
Agar aapne UP Scholarship 2020 ke liye apply kiya hai aur ab uska status jaanna hai toh bahut aasan hai kyonki online aap yeh sab dekh sakte hai. Iske liye humne alag-alag scholarship ki link di hai jahan se aap apna scholarship ka status dekh sakte hai. Aap niche bataye gaye step se UP Scholarship status 2020 dekh sakte hai. Isse log UP Scholarship Sarkari result bhi kahte hai.
Status aise dekhein
1) Sabse pahle official portal par jaana hoga, iske liye Yahan Click karein.
2) Iske baad “Status” tab par click karna hoga.
3) Iske baad aapke saamne khali box dikhenge jismein aapko registration number aur date of birth daalne honge.
4) Iske baad apako Search ke button par click kar dena hai. Iss prakar aapki application ka status dikh jaayega jiska aap printout nikal sakte hai.
Hum ummid karte hai ki aapko UP Scholarship 2020 ke baare mein bahut achhe se jaankari mil gayi hai, agar ab bhi koi sawal hai toh humein niche comment mein pooch sakte hai.