CISF Constable/Tradesman mein bahut saari alag-alag trades hai. Jaisa ki aapko bata de ki CISF ka full form “Central Industrial Security Force” hai. CISF Ministry of Home Affairs ke andar aata hai. CISF bharti se related jaankari ke liye padhte rahe yeh blog.
Bihar Police Bharti Nikal Gayi hai, Abhi Apply Kare
Delhi Head Constable Bharti, Abhi Apply Karein
CISF Constable/Tradesman Bharti 2020 ki notification nahi aayi hai.
Aap iss article mein jaanenge…
CISF Constable/Tradesman Vacancy 2020Ki Details
CISF Bharti 2020 Ki Important Dates
CISF Constable/Tradesman Qualification
CISF Constable Physical Standard
Application Form Process aur Fees
Form Bharne Ke Liye Jaruri Documents
CISF Constable/Tradesman Admit Card
CISF Constable Vacancy 2020 Ki Details
CISF Constable/Tradesman ki post mein alag-alag trades hai jiski list niche dekh sakte hai. Dhyan rahe ismein sirf “Indian MALE” candidates hi apply kar sakte hai, matlab female aur doosre desh ke log eligible nahin hai iss post ke liye.
Post | Direct Vacancies | Ex-Serviceman ke liye post |
Cook | 315 | 35 |
Cobbler | 12 | 1 |
Barber | 98 | 11 |
Washer-man | 120 | 13 |
Carpenter | 13 | 1 |
Sweeper | 243 | 27 |
Painter | 5 | 1 |
Mason | 4 | 1 |
Plumber | 4 | 0 |
Mali | 4 | 0 |
Electrician | 3 | 0 |
Total – 911 | 821 | 90 |
Back-log vacancies | Direct | – |
Const./ cobbler | 1 | – |
Const. / Barber | 2 | – |
Total | 3 | – |
Note: Candidates sirf 1 post ke liye hi apply kar sakte hai aur exam alag-alag location par ek same day hogi.
Reservation
SC/ST/OBC/EWS/Ex-servicemen ki category ke liye reservation milta hai. The candidates of any reserved category (SC/ST/OBC/EWS) may apply as an Unreserved category candidate due to non-availability of a vacancy in any particular trade or other reasons subject to fulfilling terms and conditions applicable for Unreserved Category like age bar, height, etc.
CISF Bharti 2020 Ki Important Dates
- Start apply date: Not updated
- Apply ki Last Date: Not updated
- North East Region ki last date : Not updated
Official Notification Download Kare
CISF Constable Educational Qualification
Agar hum CISF constable ki educational qualification ki baat karein 10th Pass (Matriculation) ya equivalent pass kisi recognized board/institutes se kiya hua hona chahiye.
CISF Constable (tradesman) Eligibility
Iss post ke liye candidate ki age 18-23 (01.08.2019) saal honi chahiye. Matlab candidate ka janm 02.08.1996 se pahle nahin hua hona chahiye aur 01.08.2001 ke baad bhi nahin hona chahiye.
Relaxation
Category | Relaxation |
SC/Tribe | Upto 5 saal upper age ke liye |
OBC | Upto 3 saal upper age ke liye |
Candidates (jo Jammu & Kashmir mein 1 January 1980 se 31 December 1989 ke dauran domiciled (rahne aaya) hua.) | UR & EWS ke liye up to 5 saal upper age ke liye SC/ST ke liye up to 10 saal upper age ke liye OBC ke liye up to 08 saal upper age ke liye |
Childrens aur dependent family members jo 1984 riots aur 2002 Gujarat riots ke victim hai. | UR & EWS ke liye up to 5 saal upper age ke liye SC/ST ke liye up to 10 saal upper age ke liye OBC ke liye up to 08 saal upper age ke liye |
CISF Constable Physical Standard
Central Industrial Security Force (CISF) mein kuch physical criteria bhi paar karne honge, jiske liye niche table di gayi hai.
Sr. no. | Category | Height | Chest |
(i) | UR, SC, EWS aur OBC | 170 cms | Minimum 80 cms aur phulakar 85 cms |
(ii) | Garhwalis, Kumaonis, Gorkhas, Dogras, Marathasaur candidates jo Sikkim, Nagaland, Arunachal Pradesh, Manipur, Tripura, Mizoram, Meghalaya, Assam, Himachal Pradesh, Kashmir aur Leh & Ladhakh regions se belong karte hai. | 165 cms | Minimum 78 aur phulakar 83 cms |
(iii) | Scheduled tribe se belong karne waale | 162.5 cms | Minimum 76 cms aur phulakar 81 cms |
Medical standard
Candidates jo iss post ke liye apply karte hai unko medical standard se bhi gujrana padta hai. Medical test mein weight aur eye sight dekhi jaayegi. Eye sight Minimum distant vision should be 6/6 and 6/9 of two eyes without correction i.e. without wearing of glasses.
Online apply
CISF mein agar apply ki baat karein toh iska form offline bharna hoga aur phir Post dwara bhejna hoga. Matlab aapko sab kuch sahi se dekhkar form ko bharna hai aur phir bhejna hai. Dhyan rahe ek baar bheje jaane ke baad form aap vapas nahin mangva sakte, toh kuch bhi detail galat ya jhuthi nahin daale.
Note: Candidate ko apna khud ka mobile no. aur E-mail daalna hai.
Fees
Iski post ke liye apply karne ke liye fees 100 Rupees hai aur jo candidates SC/ST aur Ex-Servicemen hai unko fees mein bhi relaxation milti hai. Saath hi fees bhi Post dwara hi bheji jaayegi.
CISF Constable/Tradesman Selection Process
Baat aati hai ki CISF Constable ka selection kaise hota hai, toh aapko bata de ki iska selection inn niche bataye gaye steps mein hota hai.
(i) Height Bar Test
(ii) Physical Efficiency Test
(iii) Physical Standard Test
(iv) Documentation
(v) Trade Test
(vi) Written Test
Niche aap details mein process jaan sakte hai.
(i) Height Bar Test
Selection process mein sabse pahle height bar ka test hota hai. Ismein height dekhi jaati hai aur fit baithne waalo ko next round mein bhej diya jata hai.
(ii) Physical Efficiency Test
Iss tarah height bar test mein pass hone waalo ko iss test mein mauka milta hai aur unhe 1.6 Kms race 6 minutes 30 seconds mein complete karni hoti hai.
Yeh test ex serviceman ke liye nahin hogi. Aur jo candidates race ko clear nahin kar paayenge unko reject kar diya jaayega.
(iii) Physical Standard Test
PST mein ismein candidates ki height, chest aur weight mapa jaayega. Jo candidates ismein pass ho jaayenge unko Documentation ke stage mein bulaya jayega. Jo ummidvar PST test se satisfied nahin hote hai wo usi din DIsG ko written letter likh kar bhej sakte hai aur phir unka dubara PST hota hai.
Inn sabhi ke baad documentation hota hai, matlab candidates ke documents dekhe jaate hai. Ismein yeh documents dekhe jaayenge.
(i) Educational certificates.
(ii) Date of birth certificate. (Matriculation ya 10th pass certificate).
(iii) Domicile certificate.
(iv) SC/ST, OBC aur EWS Certificate, yadi yogya hai toh.
(v) Caste certificate.
(vi) Discharge certificate Ex-servicemen ke liye.
(vii) No objection Certificate jo ummidvar Govt./Semi-Govt. Departments mein Kaam kar rahe hai.
(viii) 4 passport size ke recent photographs.
(ix) Identity Certificate WPRs (West Pakistani Refugee) ke liye jo J&K mein rahte hai.
(x) Domicile certificate for those who had ordinarily domiciled in the State of J&K from 01.01.1980 to 31.12.1989 for age relaxation.
(xi) Candidates ko koi photo wala document bhi lana hoga jaise Driving License, Voter Card, Aadhaar Card, Identity Card, Pan Card. Inmein se koi bhi document original lekar jaana hoga.
(xii) Candidates ki Biometric data (fingerprint) bhi capture ki jaayegi.
(v) Trade Test
Jo candidates Height bar/PST/PET/Documentation mein pass ho jaate hai phir unka trade test hota hai, matlab har trade mein alag-alag test hoga. Example ke liye Cook se cooking karwayi jaayegi toh electrician ke liye form bharne waale ko electric se juda kaam karvaya jaayega.
Trade ki puri list dekhne ke liye Yahan Click Karein
(vi) Written test
Inn sab ke baad written test liya jata hai aur ismein unhin ko shamil kiya jaata hai jo PST/PET/Documentation/Trade test mein pass hote hai. Written exam mein admit card diya jaayega jo candidates ko official site https://cisfrectt.in download karna hoga.
(a) Written test OMR sheet par hoga.
(b) Ismein 2 hours milenge aur 100 objective questions honge jinke total 100 marks honge.
(c) Iss test mein questions General Awareness / General Knowledge, Knowledge of elementary mathematics, Analytical Aptitude, Ability to observe and distinguish patterns and to test the basic knowledge of candidate in Hindi/English. The questions will be set bilingual in English / Hindi se pooche jaayenge.
(d) Minimum qualify karne ke liye total itne no. chahiye honge :-
- UR / EWS/ Ex. Servicemen : 35 %
- SC/ST/OBC : 33 %
Note: The qualifying marks of 35% for UR / EWS / ESM and 33% for SC/ST/OBC does not mean that all candidates who have secured 35% & 33%, as the case may be, will be called for next stage. The candidates for next stage will be called purely on the basis of their performance/marks scored in written examination and cut off marks (Recruitment Sector/Trade/ Category wise) which will be fixed after completion of written examination.
(e) Exam mein candidates ko black/blue ball pen ka istemal karna hoga.
(f) Written exam sirf Hindi aur English mein hi hogi.
(vii) Final merit list
Sabhi test ko clear karne ke final merit list sector wise aur category wise nikali jaati hai.
(a) Minimum qualify karne ke liye total itne no. chahiye honge :-
- UR / EWS/ Ex. Servicemen : 35 %
- SC/ST/OBC : 33 %
(b) Marks mein tie hone par badi age waale ko mauka diya jaayega.
Final merit list https://cisfrectt.in par publish ki jaayegi.
CISF Constable/Tradesman Admit Card
Abhi CISF constable/tradesman bharti ka admit card aaya nahin hai, jab aayega toh yahan update kar diya jaayega.
CISF Tradesman Result
Jaisa ki hum pahle bhi bata chuke hai ki CISF constable/tradesman ka final result official website https://cisfrectt.in par declare kiya jaayega. Toh abhi exam hone ke baad aap apna parinam dekh paayenge.
Hum ummid karte hai ki aapko CISF Constable/Tradesman bharti 2020 ke baare mein bahut achhe se jaankari mil gayi hogi. Agar koi sawal poochna hai toh aap niche comment mein pooch sakte hai.
Sir koi vi post apply kor sackty hum. 10+2 kiya
Haan bhai kar sakte ho.
Sir Kya a job permanent he ya temporary ham retired kb hohe agr a job karte he to
Ye permanent job hai.
Sir… S c category m jo h kitni age tk bo aply kr skte h.. Minimum nd maximum.. Plz sir tell me.
bhai aap padhte kyon nahin, aap yeh padhiye YAHAN CLICK KIJIYE
Cisf constable/tradesman ka exam kab tak hoga
Bhai form toh bhar do, date aa jaayegi.
Sir my name is Rahul Kumar from gurgaon district Haryana..sir main sirf 10th 12th pass hu..or Sc Caste se belong karta hu meri age 02/01/1998 hai yani ke 2 January ko 23 saal ka ho jaunga.or meri Hight 165 Cm hai..please batao kya main CISF me apply kar sakta hu..
Bhai aap padhte kyo nahin jo humne likha hai wo, yahan bhi hum wahi jawab denge.
ismein age 18-23 honi chahiye aur minimum education Matriculation ya equivalent pass kisi recognized board/institutes se.
What is the addressed to post from submit and what attached document original or copy
YAHAN CLICK KARKE JAANIYE ki kahan bhejne hai form.
Me bhi form brraha hu
Haan, bhariye samay par.
of lain fom post se kaha bhejna hai
Post dwara bhejni hai ismein jo aapka address hai us par https://www.joshtalks.com/joshkosh/wp-content/uploads/2019/09/Post.pdf
sir jo offline form ho rha hai to humko 100 ruppe dena hai kha per hai yahi samhj me nhi aa rha hai ky are kuchh upay bateye
Form ke saath hi bhejne hai fees ke paise.
Sir ji me Uttarakhand se hu or ye KB honi h or Kon se state me honi h plzz sir ji reply me
Apply ki date 23-09-2019 se shuru hogi aur Last Date: 22-10-2019 hai. North East Region ki last date : 29-10-2019 hai. Location baad admit card mein bataya jaayega.
Offline hai kya
Haan form offline hai, bharna daak se bhejna hai.
Hanji offline hai form. Puri jaankari article mein hai.
Sir Kab tak Nikli Giyi Bharti..
22 oct tak nikali hai bharti.
Mera height 167cm hai. Kya mai apply kar saktha hu
Aap nahi kar sakte apply agar aap general/SC/EWS/OBC category ke hai to 170 cm chahiye hogi. Aur aap kisi aur category ke hai to aap apply kar sakte hai.
Form ke saath kya kya document bhejne ..hai……..plzzzz reply soon……..
Article mein notification hai. Please use check kare puri detail ke liye
Thanks for all information
Sir.
Thanks for all information
Sir offline form ko offline flip ker usko kha per bajna hoga
Ye information article mein de rakhi hai- ‘online apply’ section mein.
Bhai obc ki kitni age chahye cisf m
26 years tak ho sakte hai OBC candidates.
24 age ho gayi h isliye..Ans
Hanji kar sakte hai apply.
Sir ye fom speed post kre ya sadaran Post s bhej D
Speed Post se bhi bhej sakte hai taki jaldi pahuch jaye.
Sir kya pahle running hoga Kya
Pehle physical test hoga.
Respected mem /sir,
Me 25th November ko 18th Age ki hone vali hu to kya kr sakti hu
Aapko apply karne ke samay 18 ka hona zaruri hai yani aapka DOB 1-08-2001 ke baad ka nahi hona chahiye.
Sir form kha say mileyga y
Form notification mein hi hai jiska printout nikal ke bharna hoga phir post se bhejana hoga. Puri jaankari ‘Apply’ section mein hai upar article mein.
Btao ki form ke saath kya kya document bhejna hai………plzzzz reply me soon..
Article mein saari jaankari hai documents ke baar emein. Humne notification daali hai use dhayn se padhe.
form bharte samay konsi pen use karna hai black/blue/red please batao sir
Black/Blue pen use kare
Hame height me chhot mil Sakti sc warg leye hi koi chhot
Nahi SC category candidates ko nahi milti koi bhi relaxation.
cook ke liye iti cousre kiya hona chahiye kya
Nahi, iti zaruri nahi hai.
Sir from barte time apxiure 1 hi barna hoga na …
Uske saath documents Kya lgane hai ..
Humko pta kaise lgega ki hamara from vha pahucha gya hai
Hanji jo bhi form notification mein diye hai unko bharna hoga. Aap post speed post kar sakte hai taki aap track kar sake ki deliver hua hai ya nahi.
Yeh bharti kaun se state mein hogi
Ye All India bharti hai. sab state ke log apply kar sakte hai.
Form hame kha se milega???
Form notification mein hai jiska print out nikalana hoga. Puri jaankari upar article mein ‘apply section mein hai’.
Sir from ko speed post karna hai kya
Hanji.
sir fees bhi documents ke sath hi post karna h kya hai
Hanji form ke sath application fees postal order mein bhejani hai.
sir ticket kitne ki lgegi post office me
100 rs ki application fees postal order mein bhejana hoga.
Sir heghit 170 hai ya 165 SC category walo ke liye
170 cm hai UR, SC, EWS aur OBC ke liye.
Sir mere name chandan kumar mai bihar se hu mere date of birth 07/12/1995 hai cast obc mere 24 sal ho gya kya mai form bhar sakte hai obc ko 3sal chhut milega n mere father ne cisf tredman me bhut purv sainik the o pension aa chuke hai kya hame chhut milegi pleace bataiye
Yes aap kar sakte hai apply.
General wale bhi bhar sakte he trademan ki vac.
Yes, bhar sakte hai.
General bhar sakte hen
Hanji bhar sakte hai.
form k saat kya kya docoments lagane bataiye
Vo saari jaankari upar notification de rakhi hai.
Delhi me forum kha pr milega koi bhi janta ho to plz btao
Form notification me hi de rakha hai jiska print out lena hoga. Article me hi diya hua hai.
Sir mera jnm tithi 30/04/1990 hai me bhr skta hu kya
Nahi aapki age nikal chuki hai. Sorry.
Form kaha se milega
Form notification me hi de rakha hai. Form offline bhara jayega.
Mine iti ni kr rkhi h or meri age 24 sall h or m SC or grhwali hu kya m y Bharti apply kr Sakta hu
Yes aaap kar sakte hai apply
Y post khan krna h m Uttarakhand se hu
Hello
Sir mere fathers cisf bhut purv tredman saink the kya hame relesion certificate banvana hai kya form me lagane parenge hame chhut mil sakti hai kya cast obc 07/12/1995 hai mai bihar se hu aap bataiye form bhar sakte hai kya
Nhi
Mine i T I ni kr rkha h or m gharwlis hu or meri aage 24 h or m SC ka hu kya m y aaply kr Sakta hu
Plz.. help
Bhai form kis address par bhejna hai
Postal address upar article me Apply section mein dia hua hai.
sir addmit card kaha se millega
sir addmit car kaha se millega
sir addmit card kaha se milega
Speed Post karna hoga ke sadharan daak se he pahuch jayega sir
Speed post se bhejana hoga.
Sir mai aj post
pahuch jayega
Bahut achi baat hai. Admikt card ke liye wait kare.
sir admit card kb ayyenge
Abhi time hai admit card aane me. Application bhari ja rahi hai abhi to. Yaha check karte rahe.
Kon sa post office sa bhajna hoga
Apply now ke section mein postal address ki details hai notification me.
Offline mtlb and ldkiya v bhr skti h ?
Girls nahi apply kar sakti iss job ke liye.
sir admit card kaha se millega
CISF trademan bharti ke liye OBC ka Normal Form chal jaega physical test mein
Form to pehle hi bharna hota hai sabko.