Punjab Police Bharti jismein shamil hona bahut logo ka ek sapna hota hai. Ji haan, Punjab Police recruitment mein badi sankhya mein har saal Constable aur Sub Inspector ke liye bharti nikalti hai jismein kaafi saare yuva bhaag lete hai. Is kaaran aaj hum Josh Kosh par aapke liye lekar aaye hai is bharti se judi puri jaankari, toh padhte rahiye yeh article.
Delhi/NCR mein job ke liye yaha click kare
Iss Article mein aap jaanenge….
Punjab Police Vacancy 2020 Ki Detail
Punjab Police Bharti 2020 Ki Important Dates
Punjab Police Bharti Educational Qualification
Punjab Police Physical Standard aur Eligibility
Punjab Police Constable aur SI ki Salary
Punjab Police Selection Process
Punjab Police Pattern & Syllabus
Punjab Police Vacancy 2020
Punjab Police Recruitment 2020 ki date abhi tak nahin nikali hai, lekin jald hi recruitment nikalne ki sambhavna hai.
Punjab Police Bharti 2020 Ki Important Dates
Jaisa ki hum upar bata chuke hai ki Punjab Police Bharti 2020 ki date nahin nikli hai toh yahan abhi koi important dates nahin hai. Jab bharti aayegi toh yahan update kar diya jaayega.
Download Josh Skills App aur Learn Kare Job Paane Ke liye Important Skills
Punjab Police Bharti Educational Qualification
Bharti ke liye minimum education aap niche table mein dekh sakte hai
Post | Qualification |
Constable | 10+2 |
Sub Inspector (SI) | Graduate |
Note: Constable aur SI ke liye har ummidvar ko aniwarya ya optional subject ke roop mein Punjabi ke saath matric pariksha pass ki hui honi chahiye.
Punjab Police Physical Standard aur Age Eligibility
Punjab Police recruitment mein aapka physical standard bhi achha hona chahiye kyonki iska bhi ek test hota hai bharti ke samay. Toh pahle se hi aapko apne sharir ko fit rakhna hai.
Constable aur SI ke liye age eligibility criteria
Toh Punjab police ki constable aur sub inspector post ke liye eligibility criteria ki agar baat karein toh ismein age 18-25 saal honi chahiye male aur females ke liye.
Iske liye male candidates minimum ki height- 5’ 7” (5 feet 7 Inch) honi chahiye. Toh Female candidates minimum height -5’ 3” (5 feet 3 Inch) honi chahiye.
Punjab police recruitment 2020 mein Sub inspector ke liye male candidates ki chest 86.3 cm aur 5 cm phulana hota hai. Jabki female candidates ka weight – 47 kg hona chahiye.
Lekin sirf constable ke liye height aur education ke anusar bhi numbers diye jaate hai, toh niche table dekhe.
Delhi/NCR mein job ke liye click kare
Qualification | Marks |
10+2 (ICSE, PSEB, CBSE
or equivalent | 10 |
B.A-I,B.Sc-I/B.Com-I or
equivalent | 11 |
B.A-II,B.Sc-II/ B.Com-II
or equivalent | 12 |
B.A-III,B.Sc-III/B.Com-III
or equivalent | 13 |
M.A/LLB/Eng.
M.Sc/M.CA/MBBS/MPE D/ BDS or equivalent | 14 |
M.Phil./ Phd/ LLM | 15 |
Educational Qualification for Ex-Servicemen:
Qualification | Marks |
Matriculation | 10 |
10+2 (ICSE, PSEB, CBSE
or equivalent | 11 |
B.A-I,B.Sc-I/B.Com-I or
equivalent | 12 |
B.A-II,B.Sc-II/ B.Com-II
or equivalent | 13 |
B.A-III,B.Sc-III/B.Com-III
or equivalent | 14 |
M.A/LLB/Eng.
M.Sc/M.CA/MBBS/MPE D/ BDS or equivalent | 15 |
Height (Male candidates)
6’ & above | 15 marks |
5’-11” & above | 14 marks |
5’-10” & above | 13 marks |
5’-9” & above | 12 marks |
5’-8” & above | 11 marks |
5’-7” & above | 10 marks |
Height (Female candidates)
5’-8” & above | 15 marks |
5’-7” & above | 14 marks |
5’-6” & above | 13 marks |
5’-5” & above | 12 marks |
5’-4” & above | 11 marks |
5’-3” & above | 10 marks |
Punjab Police Constable aur SI ki salary
Ab hum baat karne waale hai Punjab police ki salary ke baare mein. Aksar log koi bhi naukri ya job karne se pahle salary jaanna chahte hai, kyonki sab log paise kamane ke liye hi naukri karte hai iss karan salary ek important point hai. Toh chaliye ab hum salary ke baare mein jaante hai.
Constable ki salary Rs. 5200-20200/- aur grade pay Rs. 1800/- hota hai.
Sub inspector (SI) ki salary Rs. 10,300 – 34,800/- aur grade pay Rs. 4,600/- hota hai.
Punjab Police Admit Card
Ab hum baat karenge Punjab Police admit card ke baare mein janenge ki aap kaise download kar sakte hai. Chaliye step by step Punjab Police admit card/hall ticket download karne ke liye link par click karna hai.
Admit Card Download
Punjab Police Selection Process
Jaisa ki aapko pata hi hoga ki kisi bhi sarkari naukri ke liye selection process hota hai, aisa nahin hota hai ki kisi ko bhi le lete hai. Toh yeh zaahir hai ki Punjab Police ke liye bhi selection process hota hai. Toh iske selection ke baare mein jaante hai.
Punjab Police constable selection process
- Physical Measurement
- Physical Efficiency Test
- Interview.
1) Physical Measurement
Punjab Police recruitment 2020 mein constable mein selection process mein sabse pahle Physical Measurement ka test hota hai. Ismein aapka measurement kiya jata hai. Jo candidates educational qualification aur age ke hisab se eligible honge unki sirf height hi dekhi jaayegi. Male candidates ke liye minimum height 5’ 7” hai aur female candidates ke liye minimum height 5’ 3” hai. Ismein jo pass honge unhen agle round Physical Efficiency Test (PET) mein bulaya jaayega.
2) Physical Efficiency Test
Jo candidates physical measurement mein fulfill hote hai unhen hi iss test mein liya jata hai. Physical efficiency test mein running hoti hai and aur bhi kuch steps clears karne hote hai.
Ismein males ko 1600 Meter running karni hoti hai aur female (mahilaaon) ko 800 Meter. Ex-servicemen ke liye physical efficiency test mein male ko 1400 Meter running karni hoti hai aur mahilaon ko 800 Meter daud lagani hogi.
3) Interview
Constable post mein selection ka last round interview hota hai. Ji haan, punjab police constable ke liye interview bhi dena padta hai. Ismein 4 marks milte hai.
Iske baad final selection ke merit list ke aadhar par kiya jaata hai aur appointment ke liye call aata hai.
Sub Inspector selection process
- Physical Measurement
- Physical Efficiency Test
- Written exam
- Interview
- Merit list
1) Physical Measurement
Punjab Police sub inspector mein selection process mein sabse pahle Physical Measurement ka test hota hai. Ismein aapka measurement kiya jata hai. Jo candidates educational qualification aur age ke hisab se eligible honge unki sirf height hi dekhi jaayegi. Male candidates ke liye minimum height 5’ 7” hai aur female candidates ke liye minimum height 5’ 3” hai. Ismein jo pass honge unhen agle round Physical Efficiency Test (PET) mein bulaya jaayega.
2) Physical Efficiency Test
Jo candidates physical measurement mein fulfill hote hai unhen hi iss test mein liya jata hai. Physical efficiency test mein running hoti hai and aur bhi kuch steps clears karne hote hai.
Ismein males ko 1600 Meter running karni hoti hai aur female (mahilaaon) ko 800 Meter. Iske alava Long Jump aur High Jump bhi hoti hai. Female ke liye long jump 3.25 meters aur male ke liye 3.80 meters hoti. High jump mein female ki 0.95 mtr aur males ki 1.15 meters hoti hai. Iske liye candidates ko 3 chance milte hai. Ismein jo pass honge unhe written test ke liye bulaya jaayega.
3) Written Test
Iske baad agle round mein written test hoga. Yeh SI post ke liye hi hota hai. Yeh test 100 marks ka hoga jismein pass hone ke liye SC/ST/BC categories waalon ko minimum 45% marks laane honge qualify karne ke liye aur others ko minimum 50% marks.
4) Interview
Jo candidates written test mein pass ho jaate hai unhe iske baad interview ke liye bulaya jata hai. Interview mein pass hone waalo ko 15 marks milte hai.
5) Merit list
Toh iske baad written aur interview mein aane waale marks ke anusar merit list nikali jaati hai aur final selection hota hai.
Punjab Police Exam Pattern & Syllabus
S. No. | Topics | Min Marks | Time Duration |
1 | GK/ Current Affairs | 50 | 1 hour 30 minutes |
2 | Reasoning | 35 | |
3 | Numerical Ability | 15 |
Note:
- Written exam sirf Sub Inspector waalo ka hoga.
- Yeh ek objective type mein exam hoga.
- Written Exam mein total 100 marks honge.
Delhi/NCR mein job ke liye click kare
Syllabus
GK/Current affairs | Numeral Ability | Reasoning |
National news (current).
International issues. Scientific observations. Indian Culture. New inventions. Political Science. About India and it’s neighboring countries. National and international current affairs. Countries and Capitals History of India. Geography of India. Economic issues in India. | Calculus.
Statistics Percentages. Mensuration. Fractions. The relationship between Numbers. Fundamental arithmetical operations. Number Systems. Computation of Whole Numbers. Operations Research & Linear Programming. Algebra. | Verbal Classification.
Essential Part. Logical Problems. Statement and Conclusion. Theme Detection. Cause and Effect. Statement and Argument. Logical Deduction Number Series. Letter and Symbol Series. |
Saari Latest Police Bharti 2020 Updates ke liye click karein
Answer: Nahin, abhi tak Punjab police ki bharti ki date nahin aayi hai.
Answer: Punjab police mein constable post ke liye minimum qualification 12th pass hona jaruri hai.
Answer: Punjab police mein sub inspector (SI) post ke liye minimum qualification graduate pass hona jaruri hai.
Iski jaankari aap niche dekh sakte hai –
Constable ki salary Rs. 5200-20200/- aur grade pay Rs. 1800/- hota hai.
Sub inspector (SI) ki salary Rs. 10,300 – 34,800/- aur grade pay Rs. 4,600/- hota hai.
Humein umeed hai ki iss article se aapko Punjab Police Bharti ki puri jankari mil gayi hogi jaise recruitment, eligibility, vacancy, selection process etc. Humne poori koshish ki hai ki shuruwaat se ant tak aapko har sawal ka jawab mil jaaye. Agar aapko kisi anya jankari ki zarurat hai toh humein comment section mein likhke, hum zarur batayenge.
Plz jldi hi date bta de kb bharti hai
Jaise hi aayegi yaha update kardi jayegi.
Hnji sai ehh
I LIKE PUNJAB POLICE
Sir punjab police constable bharti kado augi
Bhai jab aayegi tab update kar diya jaayega.
Sir online apply kab karna hai plz date bta do
Abhi date nahi aayi hai from apply akrne ki
Please bhrti aate hi suchna dena sir ji
Hanji jaise hi notification aayegi yaha update kardi jayegi.
2020 mai bharti kab niklegi
Pata nahin, jab niklegi toh yahan update kar diya jaayega.
Sir 6th sem wale SI form bhar sakte hai
Graduate complete hona jaruri hai.
Sir mujhe bhi police mae bhrti hona h to aap jldi se jldi date bta do
Abhi koi notification nahi aayi hai. Jaise hi aayegi yaha par update kardi jayegi.
Sir Punjab police constable ki new barti kab aaa rhi hai…
Kafi time ho gya sir
Barti ka wait krte huye
Abhi koi notification nahi aya hai. Hope jald hi aajaye aur yaha par update mil jayega aapko.
Jo +2 kar rahe hai kya vo bhi aply kar sakte hai
10+2 complete kiya hua hona chahiye aur yeh constable ke liye apply kar sakte hai.
Mene 12 th ki hui ha kya ma kar sakti hu
Haan 10+2 waale apply kar sakte hai Constable ke liye.
Sar ji ladies prati kado hone aa Mera nam Savita hai 12 pass ha mobile number 9779628816
Jab bharti aayegi toh yahan update kar diya jaayega.
Plzzz help uss mam
Kya help chahiye?
Agar koi SI le exam mein fail ho jata hai ,,to Kya Sara process fir suru se hoga
Agar fail ho jaate hai toh next bharti mein form bhar sakte hai.
Plzzz sir jldi se date final kro. Or bataao urgent sir.
ABhi date nahi aayi hai.
Sir Punjab police bharti kab aye ge plz bravado
Abhi koi notification nahi aayi hai.
Punjab police constable ki bhatti aa ayi hae ja nhi?
bhi nahi aayi sir.
Nice Information for Punjab Police Bharti
Punjab GK Punjab General Knowledge