Competition Exam Ki Taiyari Kaise Kare in Hindi

Government job ya competitive exam ki taiyari karne ka sahi tarika janane ke liye iss article ko dhyan se padhein. Hum aapko competition exam ki taiyari kaise kare in Hindi ki saari important tricks aur tips batayenge.

Exam ki taiyari ke tips ke liye click kare:

GK ki taiyari kaise kare

Vocabulary tricks hindi mein

Best books for competitive exams

Best sites for competitive exams

Best YouTube channel for competitive exam

5 Steps mein jaane competition exam ki taiyari kaise kare in Hindi:

1. Time table set karein

Sabse pehle aapko ek behtar planning aur time table ki zarorat padegi. Time table hamesha exam ke syllabus aur apni sleeping aur food habits ke hisab se banana chahiye. Toppers ke time table ko hu-ba-hoo copy nahi karna chahiye.

Jyadatar students josh me aake ekdum strict time table bana lete hain lekin use follow nahi kar paate. Isliye aapko practical time table banana h. Aur apne aapko thodi freedom bhi deni hai.

2. Notes/Study material prepare karein

Students competition ki taiyari ke dauran bohot saari books jama kar lete hain. Aur fir itni saari books dekh ke padhne ka man nahi karta. Isliye jis subject mein dikkat hai sirf usi ki book leni hai.

Aapko Gk/Gs ke short notes banane chahiye jo EXAM ke time fast revision mein kaam aayenge. 

Govt exam ka syllabus bohot vast hota h. Isliye kya padhna h usse jyada zarori h ki kya nahi padhna. Ye aapko previous year question paper dekh ke samajh aane lagega. 

Aajkal government exam mein history ke question kam aane lage hain aur history ka syllabus bhi sabse bada hota h. Aise mein teachers bhi ye suggest karte hain ki aapko kuch topics ko skip kar dena chahiye.

3. Discipline maintain rakhein

Aapne har topper student mein baat common dekhi hogi ki ve log discipline se padhai karte hain. Motivation ke chakkar mein nahi padte. Motivation toh sirf 1-2 din rahegi  aur aap fir se demotivate ho jaoge. Aapko bas padhne ki habit daalni h.

Discipline laane ka sabse important tarika:

Pomodoro technique: Ye time management aur dimag ko refresh karne ki ek acchi technique h. Isme students 50 minutes ke padhai ke baad 10 minutes ka break le lete hain. Aur 25 minutes ki study pe 5 minute ka break le sakte hain.

  • Remove distractions/temptation: Social media se dur rahe, preparation ke dauran Facebook,Instagram, Twitter ko deactivate kar sakte hain.
  • Bed pe padhne ke bajaye table chair pe switch kar sakte hain. Isse neend aur aalas ki problem solve ho jayegi.
  • Aap library bhi join kar sakte hain. Wahan pe aap daily 8-10 ghante ki focus study kar paayenge.

4. Mock test / Test series ki practice karein

  • Mock test dene se aapki speed improve hogi aur exam ka darr bhi nikal jayega.
  • Aap offline test series join kar sakte hain. Isse aapko exam centre jaise mahol mein exam dene ka experience ho jayega.
  • Syllabus complete hone ka wait naa kare. Previous year question paper ke sets lagate rahe.

Best online mock test websites:

5. Exam day ki planning karein

Agar exam 2 ghante ka hai to aapko poore 2 ghante nahi milenge. Paperwork mein 10-15 minutes cut ho jayenge. Isliye aapko pehle se mentally prepared rehna hoga.

Speed is the key to crack any govt exam.
Iske liye aapko exam paper ke different section ke liye different strategy banani h ki kaun sa portion pehle karna h. Aur kitne time mein karna h.

GK/Current Affairs ki taiyari kaise kare?

Daily newspaper padhe: Rozana Newspaper padhne se aapko current affairs ke saath saath vocabulary aur comprehension mein bhi fayda milega.

Beginner level ke liye: Hindustan Times, The Times Of India

Advance level ke liye: The Hindu, The Indian Express, The economic Times

Current affairs ki taiyari kaise kare : Current affairs ki jankari interview mein bhi help karti hai. Aur aapki personality bhi improve ho jayegi.

Current affairs books ke liye Pratiyogita darpan ,Frontline, Yojana jaisi magazine padh sakte hain.

Online current affairs quiz dete rahiye. Current affairs quiz dene se practice hoti rahegi.

Online current affairs quiz sites:

English ki taiyari kaise kare ?

English ke exam mein sabse important hoti h vocabulary.

Vocabulary yaad karne ki tricks:

 1) Mnemonics Technique

Ye word-meaning yaad karne ki ek technique hai jisme basically aapko har word ki ek story banani hai jo uski meaning se related ho.

Examples: a. Word: Parsimony

Meaning:unwilling to spend (bachat)

Using Mnemonics Tricks : Bachat ke chakkar mein purse se money nikalta nahi.

b. Word: Paucity  

Meaning: scarcity( kami ya aabhav)

Using Mnemonics: Delhi ki logo ne itni pav-bhaji khayi ki city mein pav ki kami ho gayi.

2) Flashcards technique

flashcards
photo credit: Flickr

Iss technique mein aap khud se cards banake, uspe word meaning likh ke yaad kar sakte hain. Ye flashcard aap kharid bhi sakte hain aur jahan bhi jaaye cards ko apne saath leke jaaye. Jab bhi koi naya word mile uss word ko cards pe add kar lein. Aur words ko revise karte rahe.

3) Words ke roots aur prefix-suffix yaad rakhe

Agar aap kuch words ke roots yaad kar lenge toh aapko bohot saare words ki meaning automatically yaad ho jayegi. Word Roots aur prefix-suffix ke liye Word power made easy naam ki book le sakte hain.

Latin and Greek roots : English ke jyadatar shabd latin aur greek se aaye hain.

Latin root example- ject :Throw (Rejection, Projection)

Greek root example- mis/miso : Hate ( misanthrope, misogyny)

Suffix and prefix: Ye kisi bhi word ke aage ya piche lagte hain.

Example:  a) Prefix–   Poly: Many

                        Words: Polygon, Polygamy, Polytechnic

                 Suffix–  Phobia: Fear (darr)

                    Words: Aerophobia, Hydrophobia

4) Newspaper reading

Aap newspaper se daily ke 10 words note down karke unki meaning likh lein. Ek month mein 300 word ho gaye. Mahine ke 300 se hisab se 6-7 months ki preparartion mein lagbhag 2000 words ho jayenge. 2000 words ko yaad karke aapki vocabulary improve ho jayegi.

English speaking improve karne ke liye click karein

Best books for competitive exams

Humne aapke liye, Best books for competitive exams li list banayi hai.

Best Books For Quantitative Aptitude:

  • Quantitative Aptitude for Competitive Examination – R S Agarwal
  • Fast Track Objective Arithmetic -Rajesh Verma (Arihant Publication)
  • Teach Yourself Quantitative Aptitude- Arun sharma (Mcgraw Hill publication)

Best Books For Reasoning:

  • A New Approach to Reasoning – BS Sijwali (Arihant Publication)
  • Verbal & Non-Verbal Reasoning – RS Agarwal
  • Test Of Reasoning – Jaikishan Premkishan

Best Books For Static GK/Current Affairs:

  • General Knowledge- Lucent Publication
  • General Knowledge 2019 – Manohar Pandey
  • Manorama Yearbook 2019
  • Current Affairs Yearly 2019 (Arihant Publication)

Best Books For English :

  • High school English Grammar & Composition – Wren & Martin
  • Objective General English- SP Bakshi (Arihant Publication)
  • Word power Made Easy- Norman Lewis
  • English for General Competitions – Neetu Singh

Best Books For Data Interpretation :

  • Data Interpretation & Data Sufficiency – Arihant publication
  • A Complete Book on Data Interpretation and Analysis – Adda247 Publication

Best Books For Computer Awareness :

  • Objective Computer Awareness (Arihant Publication)
  • Computer Knowledge – Shikha agarwal (Disha Publication)
  • Lucent’s computer book 

Best Books for Indian Polity

  • Indian Polity – M Laxmikanth (Mcgraw Hill publication)
  • Introduction to the Constitution of India – Durga das basu
  • Our Constitution – Subhash C Kashyap

Best Books For History:

  • A Brief History of Modern India – Spectrum Publication
  • Ancient and Medieval India – Poonam Dalal Dahiya
  • Indian History – Krishna reddy (Mcgraw Hill publication)
  • India’s Struggle for Independence – Bipan chandra

Best Books For Geography :

  • Geography of India – Majid Husain
  • Certificate Physical and Human Geography – Goh Cheng Leong
  • Oxford Student Atlas For India

Best Books For Economics :

  • Indian Economy – Ramesh singh (Mcgraw Hill publication)
  • The Indian Economy – Sanjeev verma (Unique Publication)

Best websites for competitive exams

Humne aapke liye kuch best online portals dhundhe hain jo competition exam ki taiyari mein kaam aayenge.

Best YouTube channel for competitive exam

Agar aap ghar baithe competition exam ki taiyari kar rahe hain toh ye channels aapke kaam aayenge.

Latest Sarkari Jobs ke liye click kare

Hamare bataye gaye steps ko follow karke aap kisi bhi govt competition ki taiyari kar sakte hain. Iss blog ke madhyam se aapko competition ki taiyari karne me help hogi. Agar aapko sarkari naukri ki jankari chahiye ya koi doubt aur sujhaav hai toh niche comment kare.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here