Staff Selection Commission (SSC) har saal constable post ke liye All India recruitment conduct krata hai. Aise hi ek post hai – SSC GD Cosntable in Central Armed Police Forces (CAPFs), NIA & SSF and Rifleman (GD) in Assam Rifles (AR). SSC GD cosntable alag alag defence forces ke department mein jaate hai. Iss post ke liye dono hi male aur female candidates eligible hote hai apply karne ke liye. Iss article mein hum SSC GD constable bharti se judi saari zaruri jaankari batayenge.
SSC GD Constable Recruitment 2020 ki details ke liye click kare
SSC GD Constable recruitment 2020 ki jaankari ke liye padhe
SSC ek open examination conduct karta hai Constable (General Duty) in Border Security Force (BSF), Central Industrial Security Force (CISF), Central Reserve Police Force (CRPF), Indo Tibetan Border Police (ITBP), Sashastra Seema Bal (SSB), National Investigation Agency (NIA) and Secretariat Security Force (SSF) and Rifleman (General Duty) in Assam Rifles ki post ki bharti ke liye. Ye recruitment Ministry of Home Affairs (MHA) ke hisab se hoti hai.
SSC ke saare updates official website par aate hai: www.ssc.nic.in.
Candidates apni preference de skate hai application form mein ki unko kaunsi force mein jaane hai
(a). BSF (A)
(b). CISF (B)
(c). CRPF (C)
(d). SSB (D)
(e). ITBP (E)
(f). Assam Rifles (F)
(g). NIA (G)
(h). SSF (H)
SSC GD Constable Salary 2020
(Pay Scale): Rs 21700- 69100 per month.
SSC GD Constable Exam Dates 2020
SSC GD Constable 2020 ki official notification aane wali hai. Jaise hi notification aayegi yaha par update kardi jaayegi.
Particulars | Dates |
Notification Date | July 2020 |
Starting Date of Application Form | August 2020 |
Last Date to fill Application Form | September 2020 |
Admit Card Declaration | January 2021 |
Online Exam Date | February to March 2021 |
Result Declaration | June 2021 |
SSC Constable Vacancies 2020
SSC GD constable recruitment mein 2018 mein total 54,953 vacancies nikali thi. Iss saal 58000 vacancies nikal sakti hai.
Male Constable Vacancies 2019
Force | SC | ST | OBC | UR | Total |
BSF | 2351 | 1341 | 3267 | 7477 | 14436 |
CISF | 26 | 13 | 47 | 94 | 180 |
CRPF | 3893 | 1586 | 4230 | 10263 | 19972 |
SSB | 1041 | 610 | 1420 | 3450 | 6521 |
ITBP | 533 | 366 | 726 | 1882 | 3507 |
AR | 290 | 361 | 448 | 1212 | 2311 |
NIA | 0 | 1 | 2 | 5 | 8 |
SSF | 38 | 47 | 75 | 212 | 372 |
Total | 8172 | 4325 | 10215 | 24595 | 47307 |
Female Constable Vacancies 2019
Force | SC | ST | OBC | UR | Total |
BSF | 412 | 235 | 575 | 1326 | 2548 |
CISF | 2 | 0 | 5 | 13 | 20 |
CRPF | 328 | 12 | 398 | 856 | 1594 |
SSB | 338 | 159 | 477 | 1051 | 2025 |
ITBP | 97 | 60 | 128 | 334 | 619 |
AR | 96 | 115 | 150 | 404 | 765 |
NIA | 0 | 0 | 0 | 0 | 0 |
SSF | 10 | 7 | 18 | 40 | 75 |
Total | 1283 | 588 | 1751 | 4024 | 7646 |
NOTE: i) Selected candidates ki posting India mein kahi bhi sakti hai.
ii) 10% posts EX-serviceman category ke liye reserve ki jaati hai.
iii) Har state/UT ki kuch fixed vacancies hoti hai isliye candidates ko application mein apna State/UT mention karna hota hai aur Document verification mein Domicile certificate Permanent Residential Certificate submit karna hota hai. Agar kisi candidate ne apni application mein mention kiye gaye State/UT ka Domicile certifiacte nahi submit kiya to unko State/UT change karna allow nahi kaiya jaayega.
SSC GD Constable Eligibility 2020
i) Candidate India ke mul nivasi hone chahiye.
ii) Age limit
General Category ke candidates ke liye age hai 18-23 years (as on 01.08.2019). Iska matlab yeh hai ki agar aap 2019 mein exam de rahe hain toh aapki birth date 02-08-1996 se pehle aur 01-08-2001 ke baad nahi honi chahiye.
NOTE: Candidates ek baat ka khaas dhyan ki aapki Date of Birth aur Name aapke Matriculation/ Secondary Examination Certificate se match hona chahiye. Baad mein changes karne ke liye Koi bhi request accept nahi ki jayegi
Iske alava reserved categories ko upper age mein kuch years ka relaxation diya jaata hai.
Categories | Age-relaxation | Upper age limit |
SC/ST | 5 years | 28 years |
OBC | 3 years | 26 years |
Ex-Servicemen | 3 years | 26 years |
Children and dependent of victims killed in the 1984 riots or communal riots of 2002 in Gujarat (Unreserved) | 5 years | 28 years |
Children and dependent of victims killed in the 1984 riots or communal riots of 2002 in Gujarat (OBC) | 8 years | 31 years |
Children and dependent of victims killed in the 1984 riots or communal riots of 2002 in Gujarat (SC/ ST) | 10 years | 33 years |
Candidates who had ordinarily been domiciled in the State of Jammu & Kashmir during the period from 1st Jan 1980 to 31st Dec 1989. | 5 years | 28 years |
NOTE: i) Ex-serviceman ke sons, daughters aur dependents ko koi age concession/relaxation nahi diya jaayega.
ii) Persons with Disabilities (PwD) apply nahi kar sakte.
Physical Standards: SSC GD Height & Weight
SSC GD Constable ek aisi post hai jiske liye physically aur mentally fit hona bahut zaruri hai aur isliye iske liye eligible hone ke liye physical aur medical standards set kiye gaye hai. Inn physical standards mein kuch categories ko relaxation di jaati hai. Iske alava male aur female dono ke liye alag alag requirements hoti hai.
Categories | Gender | SSC GD Height | SSC GD Chest |
General, SC & OBC candidates | Male | 170 cm | 80/ 5 |
Female | 157 cm | N/A | |
ST candidates | Male | 162.5 cm | 76/5 |
Female | 150 cm | N/A | |
North-Eastern States of Arunachal Pradesh, Manipur, Meghalaya, Mizoram, Nagaland, Sikkim & Tripura and Naxal/ Left Wing Extremism affected Districts candidates | Male | 160 cm | 78/5 |
Female | 147.5 cm | N/A | |
Garhwalis, Kumaonis, Dogras, Marathas and candidates belonging to the States of Assam, Himachal Pradesh and Jammu & Kashmir candidates | Male | 165 cm | 78/5 |
Female | 155 cm | N/A | |
Gorkha Territorial Administration (GTA) comprising of the three Sub-Division of Darjeeling District namely Darjeeling, Kalimpong and Kurseong and includes the following “Mouzas” Sub-Divisions of these Districts: (1) Lohargarh Tea Garden (2) Lohagarh Forest (3) Rangmohan (4) Barachenga (5) Panighata (6) Chota Adalpur (7) Paharu (8) Sukna Forest (9) Sukna Part-I (10) Pantapati Forest-1 (11) Mahanadi Forest (12) Champasari Forest (13) Salbari Chhatpart-II (14) Sitong Forest (15) Sivoke Hill Forest (16) Sivoke Forest (17) Chhota Chenga (18) Nipania candidates | Male | 157 cm | 77/5 |
Female | 152.5 cm | N/A |
*SSC GD Constable ke liye weight, height ke anusar hona chahiye
SSC GD Qualification
i) Candidate ko kam se kam 10th pass hona chahiye.
NOTE: 1.08.2019 tak agar candidate ke pass zaruri educational documents nahi hai to vo eligible nahi honge apply karne ke liye.
SSC GD Constable ke liye form kaise bhare?
SSC GD Constable notification nikalane ke baad SSC ki official website par registartion ki prakriya shuru ho jaati hai. Form online hi bhare jaate hai. SSC GD online form bharne ke liye niche diye gaye steps follow kare:
Step 1: Sabse pahle aapko official website par click karna hoga.
SSC GD apply online ke liye click kare
Step 2: Iske baad jab page khulega toh register karne ka option dikhega aur uspar click karna hoga.
Step 3: Jab naya page khulega toh aapko New Registration par click karna hoga.
Step 4: Iske baad khali box dikhenge jismein candidates ko apni jaankari bharni hoti hai. Ismein basic details bharni hoti hai jaise name, parents’ name, date of birth, email id, mobile number etc.
Step 5: Phir jab sab bhar diya jaata hai toh Submit button par click karna hai. Submit karne se pahle aapko apni details ek baar dhyan se dekh le ki kahin kuch galat toh nahin bhar diya. Sabhi candidates ko Registration ID di jaayegi jinhone SSC GD Constable exam ke liye form bhara hai.
Candidates di gayi registration ID, date of birth aur password se SSC GD Constable 2020 ke liye site par login kar paayenge.
Step 6: Agle step mein, candidates ko apna photograph aur signature upload karna hoga jo official notification mein bataya hoga.
Photograph – Photograph ki white colour or light colour ki background honi aur uski size 4 kb se 12 kb honi chahiye. Jabki resolution 100×120 pixels in width and height mein honi chahiye.
Signature – Signature black yaa blue ink mein white sheet par hona chahiye. Aur signature ki scanned copy jpg format mein aur 1 kb se 12 kb ke andar honi chahiye. Resolution 40×60 pixels honi chahiye.
Step 7: Registered ID aur password ke saath login karne ke baad SSC GD Constable 2020 ka Part-II bharna hota hai.
Step 8: Application form bharne ke baad, candidates ko ek baar dekh leni chahiye.
Step 9: Iss tarah SSC GD Constable recruitment ke application form ko sahi se dekhne ke baad Final Submit button par click karna hai. Yahan application form ko print karne ka bhi option hota hai. Aakhir mein candidates ko application fees bharni hogi.
Application fees
- General category ke liye application fees Rs. 100 only.
- SC, ST, Females aur Ex-Serviceman candidates ke liye koi application fees nahi hai.
- Aap chahe toh ye payment online ya offline mode se kar sakte hain
- Online Application fees ke liye Net Banking Visa, Mastercard or Maestro Credit or Debit card ka use kar sakte hai.
- Cash payment ke liye SBI mein Challan bharna hoga. Iske liye online generated challan ka printout nikalna hoga aur yeh print out aapko kisi bhi SBI branch mein deposit karna hoga taaki registeration ka process pura ho sake.
- Registeration fees pay karne ke baad application process complete hogi.
- Note: Ek baar bhari application fees refund nahi ki jayegi.
Selection process
Iss post ke liye selection process 4 phases mein hoga.
Phase 1: Written exam
SSC GD Exam online exam hota hai jise Computer Based Examination (CBE) kehte hai aur ye exam centres mein conduct kiya jaata hai. Iss exam mein 100 marks ke objective type questions puche jaate hai. Ye exam dono English aur Hindi mein conduct kiya jaata hai.
CBE Exam Pattern 2020
Part | Section | Number of Questions | Max. Marks | Time |
Part A | General Intelligence and Reasoning | 25 | 25 | 1.5 Hours (90 Minutes) |
Part B | General Knowledge and General Awareness | 25 | 25 | |
Part C | Elementary Mathematics | 25 | 25 | |
Part D | English/ Hindi | 25 | 25 |
Phase 2: Physical Efficiency Test (PET)
CBE ki performance ke basis par selected candidates ko SSC GD Physical ke liye bualaya jaata hai. Physical mein PET/PST phases ke hote hai. Ye tests CAPF ke alag alg centres mein kiye jaayenge. PET mein jin candidates ki height required standards ke according hogi unko running, biometric/ technology aided identification ke liye bheja jaayega.
Race ke rules
Region | Male | Female |
All Candidates (Ladakh region ke alava) | 5 Kms in 24 minutes. | 1.6 Kms in 8 ½ minutes |
Ladakh region candidates | 1 Mile in 6 ½ minutes | 800 metres in 4 minutes |
NOTE: Ex-serviceman candidates ka PET phase nahi hoga. Unko CBE ke baad sidha PST phase hoga jimse unki body measurements hogi.
Pregnant female candidates ko disqualify kardiya jaayega.
Phase 3: Physical Standard Test (PST)
PET qualify karne ke baad selected candidates ka PST kiya jaayega jisme unki height, weight aur chest measure kiye jayenge diye gaye physical standards ke hisab se .
Phase 4: Medical Examination
PET/PST clear karne ke baad shortlisted candidates ko Detailed Medical Examination (DME) ke liye bheja jayega. SSC GD Medical exam ke dauraan selected candidates ko niche diye gaye documents bhi submit karne honge document verification ke liye.
Matriculation/ Secondary Examination Certificate to prove age, name and educational qualification.
(ii) Domicile Certificate/ Permanent Resident Certificate (PRC) issued by the competent authority.
(iii) Certificate from serving defense personnel in the format prescribed at AnnexureIV of the notice.
(iv) Undertaking in the format prescribed in Annexure-V from Ex-Servicemen candidates regarding completion of engagement in Armed Forces.
(v) Caste Certificate in the format prescribed at Annexure-VI and VII of the notice from the candidates seeking reservation/ age relaxation.
(vi) Certificate from candidates who wish to avail relaxation in height/ chest measurement as prescribed in Annexure-VIII of the notice.
(vii) Certificate from District Collector/ District Magistrate in respect of dependent applicants of riot victims as mentioned in category 04/ 05/ 06 under Para-4 (B) of the Notice.
(viii) Nativity/ Identity Certificate by West Pakistani Refugee in the format prescribed at Annexure-XIV of the notice.
General Medical guidelines
i) Eyesight ke liye standards hote hai.
ii) Knock-knee, Flat fleet, Bow legs, varicose vein,squint in eyes ki conditions hone par candidate ko reject kardiya jaata hai.
Medical Rules ki full details ke liye click kare
Tattoo Rules
Permanent tattoo allowed hai par sirf hath par allowed hai- inner face of forearms se lekar wrist tak.Tattoo mein religious symbol aur sirf naam allowed hai. Picture mein jo Red marks hai vaha par tattoo allowed hai.
SSC GD Constable Admit card 2020
SSC ke CBE yani written exam ka admit card SSC ki official website par aata hai.
Admit Cards for PET/ PST aur DME/ RME ka admit card CRPF website ki official website par upload kiya jaata hai.
SSC GD Constable Syllabus 2020
CBE mein 10th class ke level ke questions puche jaate hai.
Subject | Topics |
General Intelligence & Reasoning | Analytical aptitude and ability to observe and distinguish patterns will be tested through questions principally of non-verbal type. This component may include questions on analogies, similarities and differences, spatial visualization, spatial orientation, visual memory, discrimination, observation, relationship concepts, arithmetical reasoning and figural classification, arithmetic number series, non- verbal series, coding and decoding, etc. |
General Knowledge and General Awareness | Sports, History, Culture, Geography, Economic Scene, General Polity, Indian Constitution, Scientific Research, Current Affairs |
Elementary Mathematics | Number Systems, Computation of Whole Numbers, Decimals and Fractions and relationship between Numbers, Fundamental arithmetical operations, Percentages, Ratio and Proportion, Averages, Interest, Profit and Loss, Discount, Mensuration, Time and Distance, Ratio and Time, Time and Work, etc. |
English/ Hindi | Basic English/Hindi |
SSC GD Constable Cut off 2020
2018 mein cut off kuch prakar thi:
i) General and Ex-servicemen : 35%
ii) SC/ ST/ OBC : 33%
Saari Latest SSC Bharti Updates 2020 ke liye click karein
Humein umeed hai ki iss information SSC GD Constable recruitment ki puri jaankari mil gayi hogi jaise, application, salary, exam pattern, etc. Humne puri koshish ki hai ke shuruwat se ant tak aapko har sawal ka jawab mil jaye. Agar abhi bhi aapko kisi jankari ki jarurat ho toh comment mein jarur puchein. Hum aapki puri madad karenge.
I am sharad and Class 12th pass and parsetece 56/15
Yes aap apply kar sakte hai agar aapki age 18-23 saal ke bich me hai.
Hi abhi koi bharti hee ya nahi bsf Ki hee?
Abhi to koi bharti nai hai.
Meri height exact 157 cm hai . Kya mera ssc gd me ho jayega,. Exam qualify ho gya hai.
Hanji aap eligible hai.
Helo maidam .Mera nam suraj raj bhar hai mera indian army me certificet no galti ho gaya hai chang nahi ho raha hai
Agar registration band ho chuki hai to change nahi kar skate details.
Sir am ssc gd exam pass sir
Aapko kya jaankari chahiye?
Plz Army fans hai sir
Sir ssc gd me st ke lie cast certificate kesa hona chahie.
Jaise government ka format hai certificate ka.
Plz mujhe bhi Army join karni hai par…mera birth….7-3-1997…mujhe SSC join karni plz help kar do plz
Aapko Army mein jana hai ya SSC me?
Ssc
Jai hind
Helo maidm log bol rahe hai ki ssc gd ki new vaicency aa rahi hai 2019 me
Hi Suraj jab bhi vacancy aayegi yaha update kardi jayegi.
Ssc gd ME SC cast Gujarat me age limit kitni Sir mera age 13/10/1991 he. ….ME New bhari kAR sakta hu
Max age 28 years hai SC/ST candidates ke liye.
Hello sir/madam
Ji maine suna hai k ssc constable gd ki new vacancy a rahi hai.
Or kab tak ayegi.
G PLEASE jroor btana meri age puri ho rahi hai.
Is lye apse request hai jroor btana.
Medam ssc gd ka vecency kon se month me post kiya jayega
Abhi notification nahi aayi hai jaise hi aayegi yaha par post kardi jayegi.
Last date
bhi aayi ni hai notification.
Mem
2019 ki new vacancy kab tak aayenge please bataeye
Jald hi aane wali hai. Yaha check karte rahe.
Maiden ji tavi bhi kiss month me aane ki sambhawana h please SSC GD ki vacancy
Iss month aane ki sambhavana hai ya september mein aa sakti hai.
2019-20ka from filap kob hoga
Abhi vacancy nahin aayi hai.
Kya main Army join kr sakti hu , Meri age 24 year hai
Aapki qualification kya hai?
Ma’am ssc gd ki new vacancy kb aa rahi h plss tell me ma’am
Article mein dates update kardi jayegi.
sir mera physical 26 ko tha vo galti se miss ho gya kya ab kuch ho sakta hai
Ab to kuch nahi ho sakta. Ek baar aap nahi gaye to aapki application cancel samjh hi jayegi.
Online form kaise fill kru
Humne article mein form bharne ki puri process bata rakhi hai.
Hame to desh ke liye mar mitane Ka junun h
Gautam bahut acha jazbaa hai. Aap zarur apply kare agar aap eligible hai toh.
हां मेरा सपना है देश की सेवा करना इसके लिए भले मेरा जान ही क्यों न चली जाए
G right
171 height ka weight kitna chahiye OBC Hu
Humanr article mein puri jaankari de rakhi hai kripya dhyan se padhe.
Sir meri age 25 years or me graduate hu to kya me indian army k liye aply kar sakta hu…agar kr sakta hu to konsi post pe aply kar sakta hu…
Aapne kaunsi field mein graduation ki hai?
Madam mane b.a.kiya huaa hee..or meri age 25 running he to Kya me Indian army k liye aaply kr sakta hu agar kar sakta hu to konsi post pe kar sakta hu…
मैडम जी बहुत डाउट है और लोग भी बोल रहे हैं कि ओबीसी 20-8-2018 के पहले का होना चाहिए जबकि मेरा ओबीसी सितंबर2019 में बना हैं क्या मेरा ओबीसी एक्सेप्ट किया जाएगा क्लीयर करिए
Last date kb ki h form brneki Kiya sac gd constable
Article mein sab dates mentioned hai.
Mam mai biometric me reject ho gya hu kuchh officer bol rhe the ki 10 din baad aapko board phir bulayega
Naveen is baare mein humne koi jaankari nahi hai, sorry.
Ma’am ssc gd ki New vacancy kb tk aa jayegi?
Jab mere me koi fault nhi h to fir hme kaise reject kiya ja sakta h biometric nhi mil rha h h to koi aur option v hoga verify krne ka
Please mam aap ye bta sakte ho k. ssc gd constable ki new vacancy.
Eltynate month matlab konse month me aa sakti hai.
Please request me.
Please mam reply me to de do.
Me arunachal Pradesh se belong Kar ta hu or me ST hu Mera umra 24 ho chuka hai to main Kya de sakta hun ssc gd me
Hanji aap de sakte hai exam 28 years tak ki age limit hai SC/ST candidates ke liye.
Mai 12th pass hun mujhe ssc me army ki noukri chahiye
Aapko apply karna hoga jab bhi form niklenge.
Please mam btaa do.
Please request me.
SSC gd constable ki new vacancy kab kab tak aa jayegi or.
Kon se month me form apply honge.
Please please please. Request me.
Pleej give me a job I will try
Sachin hum yaha job nahi dete. Bas career ki guidance aur information dete hai.
Mam mai at cota we hu mara age 29 years hai 16.04.1990 hai kya Mai BSF join Kar Sakti hu
Aapko BSF mein kaunsi post ke baare mein janana hai?
Hello mam maine to ssc gd constable hi joining karni hai our karke hi rahege.
Aap yeh to btaa de ke ssc gd ki new vacancy kab tak aa jayegi 100%
Mam koi jwaab to bta do.
Apne na to jwaab btaya hai our na hi.
Koi ssc constable gd ki puri jaankari btai hai.
Aapse ek request bhi ki hai our wo bhi nahi btaa sakte kya.
Jai hind ,Hii mam bas Etna Bata dijiye army me mahila Bharti ab kab aayegi 22sep 2019 k baad please mam batadijiye ga. Jai , bhart Mata ki jai
Jai hind , hello mam aap bas Etna Bata do 22sep2019 k baad army me mahila Bharti ab kab tak aayegi mam batadijiyega ,jai hind, bhart Mata ki jai.
Sir Meri age 07/07/2002 hai Kya main apply kar sakta hu
Aap next year apply kar sakte hai.
Please give me a job maidan name virender Kumar 12th pass hu our mujhi bsf me job
Chahiye maidam please
ABhi kai vacancy nahi hai BSF mein. CISF Tradesman ki vacancy nikali hai. Puri jaankari ke liye click kare: https://www.joshtalks.com/joshkosh/sarkari-job/cisf-constable-tradesman-bharti/
Mai elevent pass kiya hua hu
Marks…58 persent hai
Kya mai crpf mai apply kr sakta hu
CRPF mein kaunsi vacancy ke lie?
Ssc gd vacancy ki nogifnotion kab niklegi?
Abhi nahi aayi hai. Umeed hai ki jald hi aajeygi. Jaise hi aayegi yaha par update kardi jayegi.
Mam Ssc Gd 2020 me kab Tak vacancy aa sakti h please mam
Abhi pata nahin. Jab aayegi toh aapko bata denge.
हेल्लो मैम ssc gd
दिसंबर तक आएगी नयी वेकेंसी
हम इंतेजार कर रहे हैं बताइए ना
Mame ssc GD ka bharti kab aye gi 2019.20 plize bataiye
Abhi nahi aay hai. Jaise hi aayegi yaha update kardi jayegi.
To thanks mam…..
hallo mam ssc gd ki new bharti kab tk aa rhi hai hum beshabri se intjar kar rhe hai
GD ke liye 45% hone chahiye. Agar 12th pass ho to baki position ke liye apply kar sakte ho
Please mam jaldi btaye na ssc gd ki new vacancy kab aayegi.
Our kab tak online hogi form.
Please request me.
Mera hieght 5″3 hai kya me apply kar sakti hun?
aap yahan dekhiye
Ssc gd ke liye 10 pass ke saath har subject m paas hona jaruri h kya
Aisa kuch nahin hai. Sirf 10th pass hona jaruri hai.
Mam mera 10 th class ma 42 percent hai kya ma army GD ka Liya apply kar Sakta ho
Indian army GD ke liye minimum 45% hona chahiye aur 33% every subject mein
Kab aai ssc gd ki vacancy plz reply
Abhi koi notification nahi aayi hai. Jaise hi aayegi yaha par update kardi jayegi.