architecture kaise bane ki puri jaankari jaise nata exam, architecture career salary, job

Humara desh duniya mein sabse tezi se aage badhta hua desh hai, har sector mein Bharat apni alag pehchaan bana raha hai. Aisa hi ek sector hai architecture aur infrastructure. Humare desh ki badhti abadhi ke karan, naye infrastructures jaise ki ghar, flats, offices, industries etc. ki demand bhi badh rahi hai aur iss badhti demand ko pura karne ke liye hume zarurat hai ache architects aur planners ki. Toh yeh kehna toh galat nahi hoga aage chal kar ki architecture career mein kaafi achhi growth dekhne ko mil sakti hai. Agar aap architecture mein career banana chahte hain toh iss article mein aap jaan sakte hai ki architecture kaise bane, NATA entrance exam 2019, architect job etc jaise kayi sawaalon ke jawaab asani se.

Iss article mein aap jananege

Architect meaning in hindi

Architect kaise bane

Architecture courses ki eligibility

Architecture entrance exam 2019

NATA entrance exam 2019

Architecture courses aur colleges

Architect ke type aur specialisations

Architect jobs aur salary

Architect banane ke liye zaruri skills

Architecture career mein awasar

Architecture career se jude kuch sawaal

Architect meaning in hindi

Architect, unn logo ko kaha jaata hai jo ek area ki planning karte hai, wahan buildings, ghar etc jaise infrastructure banate hain aur unhein design bhi karte hain. Architects ko hindi mein vaastukar kaha jaata hai. Architects bhi ek tarah ke artists hote hain jinke paas apne unique skills hote hain jinse ve kisi bhi tarah hi building khadi kar sakte hain. Architects banane ke liye aur unke skills apnane ke liye kisi bhi vyakti ko proper training aur padhai ki zarurat hoti hai kyunki unhein aise infrastructures banane hote hain jisse poori manavta ka fayeda ho. Toh aayiye ab jaante hain ki architecture kaise bane.

Architecture kaise bane ?

Ayiye ab jaante hai ki architect kaise bane . Architect banane ke liye kisi bhi student ko neeche diye gaye steps follow karne honge:

Architecture courses ki eligibility

Architecture ka course karne ke liye ek student ki eligibility bahut matter karti hai.

Architecture courses karne ke liye student ko 12th paas hona zaruri hai jismein kam se kam 50% marks score karne hote hain. Iss field mein jaane ke liye student ke paas 11th aur 12th mein mathematics, physics aur chemistry hona zaruri hai, aur in sabhi subjects mein 50% marks ke saath kisi recognized board se pass hona zaruri hota hai.

Iske alawa agar aapne kisi recognised institute, college ya university se  10th ke baad 3 years ka diploma course kiya hain jismein aapke paas mathematics aur physics subjects hai, toh bhi aap architecture course ka entrance exam dene ke liye eligible hote hain. Lekin aapko diploma mein bhi 50% marks score karne hote hain.

Agar architecture ke entrance exams jaise ki National Aptitude Test in Architecture (NATA), ya JEE Mains Paper II clear kar lete hain toh aap inn scores ke sath kisi bhi available architectural college se graduation kar sakte hain.

Architecture entrance exams 2019

Architecture career banane ke liye 12th pass students ko entrance exams mein appear hona hota hai, jiske bad woh un entrance ke through college mein admission le sakte hain. National Aptitude Test in Architecture (NATA) ek aisa entrance exam hai jo ki architecture mein career ke liye sabse jyada demand mein hai. Iske alawa bhi kayi exams hai jisse aap architecture ke field mein jaa sakte hain. Neeche diye gaye table mein alag alag exams mention kiye gaye hain.

SNo.

Acronym

Name

Mode Of Examination

1

NATA

National Aptitude Test In Architecture

Online & Offline

2

JEE-Main

Joint Entrance Exam – Main (AAT)

Online & Offline

3

HITSEEE

Hindustan Institute Of Technology And Science Engineering Entrance Exam

Online

4

CEED

Common Entrance Examination for Design
(post graduation in design  )

Online & Offline
(conducted by IIT BOMBAY )

5

GAT

Gitam Admission Test

Online

6

AMU B.Arch

Aligarh Muslim University Bachelor of Architecture

Offline

7

BSAUEEE

BS Abdur Rahman University B.Arch Entrance Exam

Online & Offline

8

JEE-Advanced

Joint Entrance Examination  AAT (Advanced)

Online & Offline

9

KIITEE

Kalinga Institute of Industrial Technology Entrance Examination

Online

 Inn national level tests ke alawa bhi kayi state universities aur private universities apne khudh ke entrance exam conduct karvati hain.

 National Aptitude Test in Architecture yani NATA exam, Council of Architecture (COA) ke dwara conduct karvaya jaata hai, ye exam Bachelor of Architecture (B.Arch) degree course ke admission ke liye coduct karaya jata hai. NATA ke scores har achhe institute mein accept kiye jaate hain

Nata exam pattern 2019

Subject

Questions

Marks

Mode of Exam

Test on Scientific ability and General Aptitude

Mathematics

20

40

MCQ (Online)

General Aptitude

40

80

MCQ (Online)

Drawing test

 

02

80

Paper and Pencil

Nata exam syllabus

Nata exam preparation books

Preparation Books

Author

Algebra Made Easy

KP Basu

Elementary Math’s

DoroFeev, Patapov

A Problem Book in Mathematical Analysis

G.N. Berman

Intro. to Probability & its Applications

W. Feller

Maths XI & XII

R. S. Agarwal, R.D. Sharma

Plane Trigonometry Part I

S.L. Loni

Co-ordinate Geometry

SL Loni

Higher Algebra

Hall & Knight, Bernard & Child

Problems in Calculus of One Variable

A. Maron

Vectors & 3-D Geometry

Arihant Prakashan

Problems in Mathematics

V Govorov, P.Dybov, N.Miroshin, S.Smirnova

Co-ordinate Geometry

Dr Gorakh Prasad

Architecture courses aur colleges

Architecture ek aisa career hai jismein jaane ke liye student ko professional degree lene ki zarurat hai , chahe toh student yeh degree graduation course karke le sakte hain ya phir diploma nhi kar sakte hain. Kuch common degree aur diploma courses humne neeche diye gaye table mein mention kiye hain

Type

Name of course

Degree courses

  •  Bachelor of architecture
  •  Bachelor of planning
  •  B.Arch.(Architecture and Regional Planning )
  •  B.Arch.(Building and Constructional Management)
  •  B.Arch.(Interior Design)
  •  B.Arch.(Landscape Architecture)
  •  B.Sc.(Residential Space Design and Management)
  •  B.E.(Construction Technology)
  •  B.Tech.(Urban and Regional Planning)

Diploma courses

  •  Diploma in Architectural Assistant-ship
  •  Diploma in Architecture Engineering
  •  Diploma in Constructional Management
  •  Diploma in Constructional Technology
  •  Foundation Diploma in Architecture and Design
  •  Diploma in Town Planning

Ye courses alag alag colleges mein available hain. Generally degree courses ki duration 5 years ki hoti hai. Architecture courses aise courses hai jinmein unique skill set aur mindset ki zarurat hai isliye yeh courses generally 5 saal ka hota hai. Lekin aise kayi private institutes bhi hai jo 3 saal ya 4 saal ka course offer karte hain.

Diploma courses ke liye general duration 3 saalki hoti hai, yeh course koi bhi student 10th ke baad persue kar sakte hain aur iske liye NATA ya kisi bhi aur entrance exam clear karne ki bhi zarurat nahi hoti hai.

Architecture Course fees

Ab baat karte hain ke architecture course karne mein lagbhag kitna kharcha aa sakta hai. Yahan hum bata dein ke admission fee har ek college ki alag alag hoti hai. College ke rank aur reputation aur course par depend karta hai ke aapki admission fee kya hogi.

Dekha jaye toh kisi naami private university se architecture  mein bachelor degree lene par pure course ki fees kam se kam Rs. 3,00,000-Rs.5,00,000 ya usse jyada bhi ho sakti hai.Yahi degree agar aap kisi government institute se karenge toh fees Rs.1,50,000-Rs.3,00,000 tak ho sakti hai. Ye humne ek approximate range bataya hai. College ki fees regulatory bodies dwara kam ya jyada hoti rehti hai. Fees se judi puri jankari aapko ussi college ke website par aasani se mil jayegi.

Top architecture colleges ke baare mein padhne ke liye yahan click kare

Architect ke types aur specialisation

Residential Architects:  Ye ve architects hote hain jo residential areas, jaise ghar, flats, bunglows etc ka structure plan karte hain, design karte hain aur uss infrastructure ko banate hain. Ye unn clients se deal karte hain jo apna ghar customize karvana chahte hain

Commercial Architects:  Ye ve architects hote hain jo non-residentail areas ko develop karte hain.inka kaam residential article se thoda zyada hota hai kyunki inhein uss building ki engineering, construction, aur artistic skills par bhi poora dhayn dena hota hai kyunki unhein ye infrastructure ek particular insan ke liye nahi par poori public ke liye design karna hota hai.

Interior design : Architects sirf buildings hi nahi banate hain , un buildings ko andar se poora design bhi karte hain,aur ye kaam hota hai interior designers ka. Koi bhi infrastucrure jaise ki ghar, restaurant, hotels, office ko design karne ke liye artistic aur engeneering ability ki zarurat hoti hai jiske liye interior designer hote hain

Landscape architect: Landscape architecture , outdoor spaces jaise parks, gardens, public spaces, campuses tec se sambhandit hai. landscape architects in area ko public aur environment ke liye efficient, harmonious aur engaging banate hain

Inke alawa bhi kayi aur specialisations hain jaise ki

  • Urban planner
  • Town planner
  • Industrial architect

Architect salary aur jobs

jaise ki humne upar ke topics mein architecture ke branches aur architects ke types ko samjha toh ye jahir si baat hai ki sabki salary bhi same nahin hogi. Kisi bhi job ki salary bahut saari baaton par depend karti hai jaise ki aapki qualification kahan se hai, konsi branch se ho aap, kitne experienced ho aap aur bhi kuch cheezein. Jaise jaise aapke field mein aapka experience badta hai waise hi aapki salary bhi badh sakti hai. Current market demand kya hai wo bhi bahut bada role play karta hai ki konsi industry market mein aage hai. Architecture ke kuch types ke average salary ke baare mein hum aapko niche bataenge:-

Ek fresher ke liye architecture career mein average salary rs.1,50,000 se 2,50,000 Per annum , yeh salary experience ke saath badhti rehti hai . Ek experience architect Rs. 6,00,000-Rs.10,00,000 per annum tak bhi kama sakte hain

Architecture ki field mein hi salaries mein bahut farak aa jata hain kyonki private sector , public sector ke muqable kaafi zyada salary dete hain. Lekin jaha baat aati hai job security ki toh government sector mein job security, private sector se kaafi zyada hai. .

Neeche diye list mein India ke kuch sabse bade Public sector employers mention kiye gaye hain jo architects ko hire karte hain :

  • Public Works Department
  • The Archaeological Department
  • Ministry of Defence
  • Departments of Railways
  • Post and Telegraphs
  • Public Sector Undertakings
  • National Building Organization
  • Town and Country Planning Organization
  • National Institute of Urban Affairs
  • Housing and Urban Development Corporation
  • National Building Construction Corporation Ltd.
  • City Development Authorities

Private sector mein bhi kaafi aisi companies hain jo architecture aur infrastructure ke field mein kaafi grow kar rahi hain aur kaafi munafa kama rahi hain. Private sector ke kuch top architectural firms ke naam neeche mention kiye gaye hain :

  • Architect Hafeez Contractor
  • Archkons
  • Sanon Sen & Associates (S&S)
  • SPAN Consultants Private Limited
  • C. P. Kukreja Associates
  • Prem Nath & Associates
  • SEMAC Private Limited
  • OCI Architects

Architect banane ke liye zaruri skills

Aap yeh toh jaan gaye ki architecture kaise bane, aayiye ab jante hai ki ek successful architect banane ke liye konse skills chahiye hote hain.

Analytical skills. Architects ko design ka content samajhna bahut zaruri hai. Unhein uski surroundings, environment, aur location ke baare mein janana aur samajhna ki ve kaise uss infrastructure ko affect karenge , bhi bahut zaruri.

Communication skills. Architects ko apne ideas apni team ko aur apne clients ko samjhane hote hain auriske liye ve oral presenatations dete hain. Isliye unhein apne idea ko samjhane mein koi dikkat nahi aani chahiye aur unke paas confidence aur communication skills hone chahiye

Creativity. Ek Architect ke liye sabse zaruri hai apne idea ko paper par design karna aur uske ek look dena jiske liye creativity ki bahut zarurat hoti hai. Unka final product attractive aur functional hona chahiye jiske liye ek creative mind ka hona bahut zaruri hai.

Organizational skills. Architects ko kati baar alag alag contacts manage karne hote hain. Isliye unke pass ek team ko sambhane ka skill aur attitude hona chahiye. Unhein apne contract se related har cheez jaise total budget, cost, raw material, labour etc. ko organise krna aur usse dhang se utilize karna ana chahiye.

Technical skills. Architects ko generally apne Building Information Modeling (BIM)ke under plans banana ke liye CADD technology use karni hoti hai, isliye unhein apne techinal skills ki bhi zarurat padti hai.

Visualization skills. Architects ko apne ideas aur plans ko visualize karna ana chahiye. Usse yeh pata honachahiye ki ve jis plan par kaam kar rahe hain, uss plan ka end result kaisa hoga.  

Architect career mein awasar

Ek architect ke career mein kayi saare awasar hote hain.  Kisi bhi tarah ke infrastructure ko banane ke liye engineers, planners aur architects ki toh zarurat hoti hi hai, koi bhi insaan bina ek architect ki madad se koi bhi structure chahe woh ghar ho, office ho, hotels ho ya phir factories aur industries hi kyun na ho, nahi bana sakta. Toh agar aap ek achhe architect ban jate hai toh aapko aapke career mein achhi growth dekhne ko milegi.

Aap chahe  toh as a fresher aap kisi start-up ya kisi private firm se apne career ki shuruwat kar sakte hain. Experience ho jaane ke baad aap anya government sectors mein job ke liye apply kar sakte hain. Public sector mein job karna ka sabse bada fayeda hai job security.

Agar aap kisi firm ke under kaam nahi karna chahte toh aap required experience gain karne ke baad apna start-up bhi shuru kar sakte hain. Lekin agar aapke paas start-up shuru karne ke liye recources nahi hain toh aap as a freelancer bhi kaam karsakte hain. Freelancer ka matlab hota hai ki aap ek organisation mein bina ek employee bane unke liye kabhi-kabhi kaam karte hain.

Agar aapko creative side mein interests hain toh aap designing field mein bhi jaa sakte hain. Aaj kal kaafi saare hotels, restaurants, cafes aur kayi public places khul rahe hain aur unki achhi presenatation ke liye interior designing ka concept bahut popular ho gaya hai. toh agar aap kisi creative aspect mein job dhundh rahe hain toh aap as a interior designer bhi job kar sakte hain.

Architecture career se jude kuch sawaal

Q1.) Kya 12th mein commerce subjects ke saath pass hone ke baad architecture ka course kar sakte hain?

Ans. Nahi, architecture course ke liye eligiblie hone ko liye aapko 12th mein science stream ke saath paas hona hota hai aur apko atleast 50% marks score karne hote hain. Eligibility ke baare mein aur janane ke liye yaha click kare

Q.2) Kya bina NATA exam diye bhi B.Arch course kar sakte hain?

Ans. Haan, aap chahte toh kisi aur entrance exam ke through bhi architecture course kar sakte hain. National level aur state level par alag alag exams ain jinhein clear karke aap iss field mein jaa sakte hain. Exams ke baar mein janane ke liye yaha click kare

Q.3) Kya bina mathematics ke NATA exam diya ja sakta hai?

Ans. Nahi , kyuni NATA ke exam mein maths section hota hai, isliye aapke paas 12th tak mathematics subject hona zaruri hai

Q.4) Entrance exam ki preparation ke liye konsi books le?

Ans. Har exam ke liye alag preparation books market mein available hain. Lekin, kyunki NATA exam sabke common aur lokpriya entrance exam hain toh uski preparation books ke baare mein padhne ke liye aap yaha click kar sakte hain

Q.5) Architect banane ke baad ek fresher ko kitni salary expect karni chahiye?

Ans. Har firm ka salary structure alag hota hai. freshers ki average  per month rs. 18,000-rs. 25000 tak hoti hai. Salary ke baare mein adhik jaankari ke liye yaha click kare

Umeed hai aapko is article se puri jankari mil gayi hogi ki aap architect kaise bane aur kaise aap apne architect career ki shuruwat kare. Agar abhi bhi aapke mann mein koi bhi sawaal ho ki architect kaise bane toh aap humein comment section mein likhkar batayein, hum aapke saare sawalo ke jawab dene ki poori koshish karenge.

Iske alawa 12th ke bad aur bhi kayi career options hain jinme aap apna bhavishya bana sakte hain. Jyada jankari ke liye yahan click karein

She is a Bcom Hons. student of Shaheed Bhagat Singh College, University of Delhi. She is a senior member of Encode - the skill development society of SBSC, member of the Entrepreneur cell of SBSC and a member of Rotract Club Visioners League. She is a very positive person who always tries to contribute her bit towards the society She has also done a two month Digital Marketing internship with Josh Talks.

1 COMMENT

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here