RPF Constable Recruitment matlab (Railway Protection Force). Ji haan, yeh ek protection force hai Railway ke under aati hai. Constable ke liye ismein bahut achhi khaasi post nikalti hai. Jismein male aur female dono apply kar sakte hai. Toh ab hum Josh Kosh par railway police bharti ki date se lekar selection process tak ki poori jaankari ke baare mein baat karte hai.
Aap inn topic par click karke seedhe padh sakte hai
RPF Constable Selection Process
RPF Constable Ke Liye Jaruri Documents
RPF Constable kya hai?
Sabse pahle aapko RPF Constable ke baare mein kuch baatein jaanani chahiye ki yeh post kaisi hoti hai aur ismein kya karna hota hai ityadi. Toh aapko bata dein ki RPF ka matlab Railway Protection Force hota hai. Yeh ek security force hoti hai jinka kaam railway stations par duty karna hota hai.
Railway Protection Force ka sthapna saal 1872 mein hui thi. Yeh ministry of railway (India) ki Governing body ke antargat aata hai. Jiske liye mahila aur purush dono apply kar sakte hai.
Ismein 6 group hote hai aur usi ke aadhar par vacancy nikali jaati hai. Group kuch iss prakar hote hai.
- Group E: NF Railway
- Group F: RPSF
- Group A: S Railway, SW Railway and SC Railway
- Group B: C Railway, W Railway, WC Railway and SEC Railway
- Group C: E Railway, EC Railway, SE Railway and ECo Railway
- Group D: N Railway, NE Railway, NW Railway and NC Railway
RPF Constable 2019 Exam
RPF Constable exam ya RPF constable Recruitment 2019 ki baat karein toh abhi koi letest bharti nahin aayi hui hai. Lekin jald hi badi RPF Constable Vacancy ka ailan ho sakta hai.
Purani recruitment ke baare mein aap niche dekh sakte hai
Events | Dates |
Online apply shuru hua | 1 January 2019 |
Online Apply ki last date | 30 January 2019 |
RPF Admit Card | Available hai |
Official Notification | Click karein |
Note: Latest Vacancy aane par update kar diya jaayega.
RPF Constable Eligibility
RPF constable post ke liye eligibility ki baat karein toh ismein kuch yeh eligibility honi jaruri hai jo humein niche batai hai.
RPF Constable age limit
Posts | Age limit | |
Maximum | Minimum | |
Constable | 18 saal | 25 saal |
RPF Eligibility Criteria 2019 – Relaxation in age
RPF constable ki post ke liye kuch category ko aayu mein relaxation bhi diya jata hai. Toh aap niche table mein age relaxation dekh sakte hai.
Category | Age mein relaxation |
SC/ ST | 5 saal |
OBC | 3 saal |
Ex-servicemen candidates who have put in not less than 6 months continuous service after attestation. | To the extent of service rendered in Armed Forces plus UR – 3 years, OBC-Non-creamy Layer – 6 years . SC/ST – 8 years |
The employees of Central Government – who have worked continuously for more than 3 years. (this does not include ex-servicemen) | UR – 5 saal OBC – 8 saal SC / ST – 10 saal |
Candidates (jo Jammu & Kashmir mein 1 January 1980 se 31 December 1989 ke dauran domiciled (rahne aaya) hua.) (Unreserved) | UR – 5 saal OBC – 8 saal SC/ ST – 10 saal |
Candidates (Vidhwa/Talakshuda mahila/mahilao ko nyayik roop se alag kar diya aur phir unhone phir se shaadi nahin ki. | UR – 2 saal OBC – 5 saal SC/ST – 7 saal |
Toh aap dekh sakte hai ki kuch reserved category waalo ko age mein relaxation diya jaata hai. Matlab age mein छूट milti hai aur wo humein upar bataya hai.
Note: Jo candidates reserved category se hai unko form bharte samay jo documents manga jaayega woh jarur submit karna hai.
Physical Measurement
Physical measurement mein bhi aapki body fit honi chahiye aur kuch criteria hai jo niche table mein bataya gaya wo hona chahiye.
Category | Height (in cm) | Chest (Male ke liye) (in cms) | ||
Male | Female | Bina phulaye | Phulakar | |
UR/ OBC | 165 | 157 | 80 | 85 |
SC /ST | 160 | 152 | 76.2 | 81.2 |
Garhwali, Gorkha, Maratha, Dogra, Kumaon aur anya category ke candidates ke liye. | 163 | 155 | 80 | 85 |
Ismein males ko:
Running – 1600 Meters 5 minute 45 second mein karni hoti hai.
High Jump- 04 feet aur
Long Jump- 14 feet karni hoti hai.
Females ko:
Running- 800 meters 3 minute 40 seconds mein.
High Jump- 03 feet aur
Long Jump- 09 feet karni hoti hai.
RPF Constable Qualification
Railway protection force mein educational qualification bhi bahut matter karta hai. Matlab aapko educational qualification ke baare mein bhi jaanna jaruri hai.
Toh RPF constable vacancy ke liye wahi log apply kar sakte hai jinhone kisi recognised board se 10th pass kiya hai. Aur haan, dhyan dijiye jinka 10th ka result nahin aaya hai wo apply nahin kar sakte hai. Toh iska dhyan rakhna hai.
RPF Constable Salary
Har kisi naukri ya job mein salary ek bahut bada point hota hai aur har koi jaanna chahta hai. Toh hum bhi RPF Constable ki salary ke baare mein aapko batayenge. Niche table mein class X, Y and Z ke anusar salary batayi gayi hai.
Sabse pahle toh aapko Class X, Y aur Z ke baare mein jaanna jaruri hai.
Class A: Metropolis (Population 50 Lakh ya isse jyada)
Class B: Metropolis + Anya bade shahar (Population 5 – 50 Lakh ke beech mein)
Class C: Village + Chhote shahar (Population 5 Lakh ke beech mein)
Detail | Class X | Class Y | Class Z |
Basic pay | Rs 21, 700/- | Rs 21, 700/- | Rs 21, 700/- |
Dearness Allowance (4% of Basic) | Rs 868/- | Rs 868/- | Rs 868/- |
House Rent Allowance | Rs 5208 (20% of Basic) | Rs 3472 (16% of Basic) | Rs 1734/- (8% of Basic) |
Transport Allowance (TA) | Rs 3600/- | Rs 3600/- | Rs 3600/- |
Gross Salary | Rs 31,270/- | Rs 29, 636/- | Rs 27, 902/- |
RPF Constable Apply Online
Apply karne waale lagbhg sabhi log yah bhi jaanna chaahte hai ki RPF Constable ke liye online apply kaise kar sakte hai. Toh aapko bata de aap kisi bhi samay iske liye apply nahin kar sakte, sirf tabhi apply kar sakte hai jab bharti nikli hui hoti tab hi apply kar sakte hai.
Lekin yahan hum apply online ka poora process jarur jaan sakte hai. Toh niche sabhi steps dhyan se padhiye aur iske baad apply kijiye.
Iss tarah karein RPF Constable bharti ke liye online apply
Ab hum baat karenge ki aap iss post ke liye online apply kaise kar sakte hai. Toh poore step bataye hai jo aapko follow karne hai application bharne ke liye.
Step 1) Sabse pahle aapko Iss link par jaana hoga. Registration ke liye yahan click karein
Step 2) Iske baad aapko “New Registration” par click karna hoga.
Step 3) Jab aap “New Registration” par click karenge toh aapko pahle dhyaan se instructions padhni hogi.
Step 4) Iske baad aapko apna zonal group select karna hai jo humne upar bataye hai. Lekin dhyaan rahe aap ek baar zonal select kar denge toh iske baad change nahin kar sakte.
Step 5) Jab aap apna zonal select kar denge toh iske baad aapko primary detail bharni hogi. Primary detail mein aapko Enter your name, Date of Birth and Father’s name, Mother’s name, Aadhaar number (Optional), State/UT, Category, Education Board, 10th/Matric Roll number, year of passing 10th/Matric, mobile number aur email-ID daalni hoti hai aur phir “Submit” par click karna hai.
Note: Dhyan rahe Submit button par click karne se pahle aapko dhyan se dekh lena hai ki detail sahi se bhari hai ya nahin kyonki baad mein change nahin kar sakte. Aur saath hi email address aur mobile no. bhi aapka khud ka hona chahiye kyonki uspar OTP aata hai.
Step 6) Iske baad aapko email ya mobile number dwar OTP se verification karna hota hai. Toh aapko ismein “Verify Through OTP” par click karna hoga aur jo OTP aata hai wo daalna hai.
Step 7) Iske baad aapko registration no. mil jaata hai aur password daalkar login karna hoga.
Step 8) Primary detail bharne ke baad aapko kuch aur jaankari bhi daalni hai jo kuch iss prakar hai, Trade, Educational qualification, Community, Gender, Religion, ExSM, Minority, Economically backward class, Age relaxation eligibility category aur other detail bharni hogi jo maangi jaayegi. Saath hi aapko exam ki language bhi choose karni hogi.
Step 9) Saari detail sahi se bharne ke baad aapke saamne fee pay karne ka option mil jaayega. Fees aap Online-net banking/credit card/debit card & offline-SBI Challan) ya Post Office- Challan dwara bhi bhar sakte hai.
Step 10) Jab aap online fees bharenge toh iske baad documents upload karne ka automatic hi stage aa jaayega. Ismein aapko kuch documents aur photgraphs upload karne hote hai.
Yeh documents upload karne hote hai:
1) Colour passport size photograph jiksi background white/light color ki honi chahiye.
2) Photograph ki size 35mmX45mm honi chahiye aur saath mein name aur date of photo bhi honi chahiye.
3) Photo JPG/JPEG format mein 100 DPI ke saath hone chahiye.
4) Photograph ki size 15-40 KB ke beech honi chahiye.
5) Photo clear aur bina cap aur sunglasses ke hone chahiye.
6) Photo mein Forehead, eyes, nose aur chin clearly dikhne chahiye.
7) Photographs latest hone chahiye kyonki CBTs, PET aur DV ke din face match kiya jata hai.
8) Candidates ko kam se kam 12 same photocopy upload karni hai.
RPF Constable Pattern
Railway Protection Force mein exam ke pattern ke baare mein baat karna bhi bahut important hai taaki aapko exam ke baare mein aur pata chal paaye ki kitne no. ka exam hoga aur usmein kitne question pooche jaayenge ityadi.
Test | Que ki sankhya | Marks | Time |
General Awareness | 50 | 50 | 90 Minutes |
Arithmetic | 35 | 35 | |
General Intelligence & Reasoning | 35 | 35 | |
Total | 120 | 120 |
Jo table mein bata gaya hai usmein se hi exam mein poocha jata hai. Exam mein 120 question hote hai aur inke 120 no. hi hote hai.
RPF Constable Syllabus
Ab hum baat karenge RPF Constable Bharti Syllabus ke baare mein. Matlab kis prakar ke questions pooche jaayenge. Exam ka Pattern toh humne upar dekh liya lekin ab syllabus ke baare mein baat karte hai.
Subject | Topics | Questions |
General Knowledge | History, Polity, Geography, Economics, Static Awareness, Biology, Chemistry, Physics, Computer aur Current Affairs | 50 Question 50 marks |
Arithmetic | Number System, Percentages, Ratio and proportion, Averages, Profit and loss, Mensuration aur Time and distance. | 35 Question 35 marks |
General Intelligence & Reasoning | Analogy, Odd One Out, Series, Statement & Conclusions, Directions, Coding-Decoding, Mathematical Operations, Matrix, Blood Relations (Age calculation), Non-verbal Questions aur Missing Term. | 35 Question 35 marks |
Toh aap dekh sakte hai ki har subject se itne saare topics se sawal pooche jaayenge. Har question ka 1 ank (mark) rahega.
RPF Constable Selection Process
Bahut sare logo ke man mein yeh sabse bada sawal hota hai ki aakhir Railway Protection Force ka selection kaise hota hai, kitne phase ka saamna karna hoga ityadi. Iss karan hum yahan RPF Constable ke selection procedure ke baare mein jaanenge.
Aise hota hai RPF constable recruitment ka selection process
Phase -1 Computer based test (CBT) exam
Computer par aadharit test jise CBT bola jata hai, yeh ek exam hota hai jisse computer par hi dena hota hai.
1) Iske exam desh ke alag-alag center mein hote hai. Ismein aap (1) Hindi (2) English (3) Urdu (4) Tamil (5) Telugu (6) Konkani (7) Malayalam (8) Kannada (9) Marathi (10) Gujurati (11) Bengali (12) Odia (13) Assamese (14) Manipuri aur (15) Punjabi mein se bhi koi language select kar sakte hai.
2) CBT exam 10th level ka hi hota hai.
3) Candidates will be required to answer all questions and shall be awarded 01(one) mark for each correct answer. Negative marks shall be awarded for every wrong answer. 1/3 marks shall be deducted for every wrong answer. No mark shall be awarded or deducted for questions not attempted
Iss exam mein candidates ko har question ka 1 mark milta hai aur agar koi galat javab deta hai toh uska 1/3 marks kat kar diya jayega. Aur agar kisi sawal ka javab nahin dete hai toh koi marks nahin katega.
4) Ismein aap se 120 questions pooche jaayenge jiske har javab ka 1 mark milega.
5) CBT exam mein General Awareness (50 marks), Arithmetic(35 marks) aur General Intelligence & reasoning ke (35 marks) honge.
PHASE – II- Physical Efficiency Test (PET) & Physical Measurement Test (PMT)
Merit ke aadhar par candidates ki list nikali jaati hai aur agle round PET aur PMT ke liye bulaya jata hai. Passing Physical Efficiency Test (PET) ko pass karna jaruri hai aur iske no. nahin diye jaayenge.
Category | 1600 meter run | 800 meter run | Long jump | High jump |
Constable (Male) | 5 min 45 sec. | — | 14 feet | 4 feet |
Constable (Female) | — | 3 min 40 sec. | 9 feet | 3 feet |
(i) 1600/800 meters running ka chance sirf ek hi baar diya jaata hai aur Long Jump aur High jump ke liye 2 baar mauka diya jaata hai.
(ii) Ex-servicemen ko PET mein छूट (exempted ) di jaayegi, halanki unhe PMT se gujrana padega.
(iii) Kisi bhi candidate ko qualify karne ke liye sabhi test mein pass hona jaruri hai.
(iv) Un sabhi candidate ko next stage mein bheja jaayega jinhone 1600/800 meter ki running mein qualify kiya hai. Agle stage mein unka measurement hoga height aur chest ka. Chest measurement sirf male candidates ka kiya jaayega. Agar kisi male candidate ki chest kam hai toh unko chaati phulane ka mauka nahin diya jaayega aur usse disqualify kar diya jaayega.
Saath hi male candidate ki agar minimum height bhi kam hoti hai toh disqualify kar diya jaayega.
(vi) Iss prakar jis candidate ki hieght aur chest nahin hai wo PMT ke liye failed maane jaayenge.
(vii) PET/PMT qualify karna jaruri hai aur ismein koi marks nahin diye jayenge.
PHASE – III: Document Verification
PET aur PMT ke baad agla phase hai document verification. Yeh RPF Constable vacancy selection process ka teesra phase hai.
(i) CBT aur PET aur PMT mein qualify karne waale aavedako ko Document Verification ke phase mein bulaya jata hai.
(ii) Ismein agar koi barabar marks lata hai toh age ke aadhar par shortlist kiya jaayega aur badi age waale ko select kiya jata hai.
(iii) Jo candidate Document Verification stage mein bhaag nahin lete hai unhe final selection ke stage mein mauka nahin diya jaayega bhale hi unhone CBT exam aur PET/PMT ko clear kiya ho.
Jaruri documents
Jo candidates CBT, PET aur PMT ko clear kar dete hai unhe original documents with self attested photo copies ke saath lekar aana hota hai.
- 10th/Matriculation certificate age proof ke liye.
- 10th/Matriculation certificate educational qualification proof ke liye.
- Caste certificate (SC/ST/OBC candidates ke liye).
- Discharge certificate Ex-Serviceman ke liye.
- 2 self attested colour photograph copy.
- No Objection Certificate (NOC).
- Domicile certificate.
RPF Constable Admit Card
Jab aap Railway Protection Force mein constable ki post ke liye apply kar dete hai toh iske baad admit card aana jaruri hota hai kyonki bina admit card ke exam mein baithne nahin diya jata hai.
Toh aap RPF Constable admit card ke baare mein niche diye gaye button par click karke pura process dekh sakte hai.
RPF Constable Result 2019
Railway Protection Force ka result aap niche button par click karke dekh sakte hai. Button par click karne par aapko group wise button dikhai denge jismein jo aap ka group hai uspar click karna hai aur phir PDF file khul jaayegi jismein aap Roll no., name, fathers name ya date of birth daalkar apna naam dhoondh sakte hai.
Result Dekhe
👇🏻 Railway Recruitment Board Control Board Ki Other Jobs 👇🏻
1⃣ Railway RRB ALP-Technician Bharti
3⃣ RRB Railway Group D Recruitment
Ummid karte hai ki aapko RPF Constable recruitment ke baare mein achhe se jaankari mil gayi hogi aur agar koi doubt ya kuch sawal poochna chahte hai toh comment mein poochiye.
I will join RPF.