SSC CGL Tier 1 Admit Card 2019-20 release ho chuka hai. Tier 1 exam 11-03-2020 ko hoga.
SSC CGL Admit Card download kaise karein?
Region | CGL Admit Card |
SSC Madhya Pradesh Region (MPR) | Admit Card Download |
SSC Southern Region (SR) | Admit Card Download |
SSC Northern Region (NR) | – |
SSC Kerala Karnataka Region (KKR) | Admit Card Download |
SSC Central Region (CR) | Admit Card Download |
SSC Western Region (WR) | Admit Card Download |
SSC Eastern Region (ER) | Admit Card Download |
SSC North Western Region (NWR) | Admit Card Download |
SSC North Eastern Region (NER) | Admit Card Download |
CGL Admit Card Tier 1 Exam 2019-20 : Step by step download
SSC CGL ke candidates ko apna admit card SSC ki official website pe milta hai. SSC Official Website. Admit Card download karne ki step by step prakriya:
STEP 1) Sabse pahle aapko iss site par jaana hoga .SSC ki website par jaane ke liye yaha click kare.
STEP 2) Jab aap iss upar di gayi link par click karenge toh ek naya page khul jaayega. Waha sabse upar Admit Card ka option dikhega uss par click karna hoga.
STEP 3) Iske baad jab aap Admit Card par click karenge toh aapke saamne admit cards ki list dikhai degi jismein jo aapka region hai uss par click karna hoga.
STEP 4) Jab aap apne region ke URL par click karenge toh aapke saamne ek naya page khulega aur usmein agar aapka admit card nikal gaya hai toh uski notification dikh jaayegi.
Humein example ke liye arrow ke sign diye hai matlab URL ke niche waale sabhi region ke Admit Card download karne ki link hai.
STEP 6) Iske baad uss notification par click karna hoga.
STEP 7) Notification par click karne ke baad aapke saamne login karne ka option dikh jaayega jismein aapko kuch option milte hai, jaise Registration ID aur password, roll number ya name parents name daalkar bhi download kar sakte hai.
Note: kuch regions login details maangte hain lekin kuch regions aise bhi h jo login details ke bina hi seedha portal par direct kar dete hain.
Agar aap apna SSC CGL Admit card 2020 download nahi kar paa rahe hain toh aap apne region ke Regional/Sub Regional Office ko contact kar sakte hain , lekin apke paas aapke application form ki submission ka proof hona chahiye. Aapke Admit card mein neeche di gayi information meintion hogi.
Admit Card mein di hui jaankariyan
Admit Card ek aisa document hota hai jo ek SSC ke candidate ke bare mein basic jaankariyan deta hai, jaise ki:
- Candidate’s SSC CGL Roll Number
- Admit Card number
- SSC CHSL Application Number
- Candidate’s Name
- Candidate’s Date of Birth
- Candidate’s Category
- Scanned copy of Candidate’s colored photograph
- Candidate’s Postal address and contact details
- SSC CGL Exam center details
- Test Date and Timings of the exam
- Candidate’s Signature
- The language of Paper And
- SSC CGL Exam Day Guideline
Mahtvapoon documents jo chahiye hote hain SSC CGL Admit Card ke saath
Candidates jo exam ke liye appear karnge unhe apne SSC CGL Admit Card ke saath kuch mahtvapoon documents bhi rakhne hote hain, jo hain:
- Aadhar Card
- License
- Passport
- Voter ID
Iske alawa yeh unn id proofs ki list hai jo SSC CGL ke exam centers mein accept nahi honge:
- College ID
- Post Office ID
- Ration Card
- Bank Passbook
- Koi bhi photo id jo Government ke duwara issue naa hui ho
SSC GGL Syllabus aur baki jaankari ke liye click kare
Saari Latest SSC Bharti Updates 2020 ke liye click karein
Hum ummeed karte hain ki aapne SSC CGL 2020 Admit Card download kar liya hoga. Agar koi doubt ho hamein niche comment karein.