mp police bharti | mp vyapam vacancy . mp police admit card

MP Vyapam vacancy 2020 mein MP Police vacancy 2020 ki notification release hone wali hai. Pichli baar MP police bharti mein Constable aur Sub Inspector (SI) Ki vacancy 2017 mein nikli thi. 2020 ki notification jald hi aane waali hai. Iss bharti ki har zaruri jaankari iss article mein batayi gayi hai.

Delhi Police Sub Inspector 2019 ki vacancy nikal chuki hai. Notification ke liye click kare

Aap inn links par click karke seedha apna topic padh sakte hain:

MP Vyapam Police Vacancy 2020 ki detail

MP police SI aur Constable salary

MP police vacancy 2020 date

MP Police Bharti Educational Qualification

Madhya Pradesh Police eligibility

MP Police vacancy Online form 2020

Form bharne ke liye jaruri documents

MP Police selection process

MP Police syllabus

MP Police study material

MP Police result


MP Vyapam Police vacancy 2019 ki detail

MP Police Constable aur SI Bharti (MP Vyapam Police Constable & SI Recruitment) Madhya Pradesh Professional Examination Board (MPPEB) ke antargat aati hai.Ye post s dono male aur female candidates ke liye hoti hai. Iss bharti mein sarkari naukri (state government job) lagti hai. Iss bharti ki 2020 ki notification aane wali hai. Jaise hi notification yaha par update kardi jayegi.

1. MP Police Constable ki vacancies

S.No.

Vacancies ke naam

Posts

1.

Constable (GD)

12,828

2.

Constable (Driver)

702

3.

Constable (cook)

136

4.

Constable (barber)

34

5.

Constable (Washerman)

39

6.

Constable (cobbler)

15

7.

Constable (water carrier)

97

8.

Constable (sweeper)

44

9.

Constable (mason)

11

10.

Constable (bugler)

11

11.

Constable (Tet Khalasi)

14

12.

Head Constable (Computer)

123

13.

Assistant Sub Inspector

34

 

Total

14,088

2. MP Police Sub-Inspector ki vacancies

S.No.

Vacancies ke naam

Posts (Number)

Post ke type (Technical/ Non- Technical)

1.

Sub- Inspector (District force)

Non- Technical

2.

Sub- Inspector (Special branch)

Non- Technical

3.

Sub- Inspector (Ordnance)

Technical

4.

Sub- Inspector (Q.D.)

Technical

5.

Sub- Inspector (Radio)

Technical

6.

Sub- Inspector (Finger prints)

Technical

7.

Subedar

Non- Technical

8.

Platoon Commander

Non- Technical

 

Total

850

 

MP Police SI aur Constable salary

Post level

Salary (In Rs)

Grade Pay (In Rs)

Constable

5,200 – 20,200

1,900

Head Constable

5,200 – 20,200

2,100

Sub Inspector

8,200 – 30,300

2,400

MP police bharti 2020 date

Particulars

Date

Official Notification release date

Will be updated soon

Application form submission starting date

Will be updated soon

Application form submission closing date

Will be updated soon

Application fee submission closing date

Will be updated soon

Date of written exam

Will be updated soon

Admit Card download date

Exam se 10-15 days pehle

Result date

Will be updated soon

MP Police eligibility

M.P. Police mein bharti ke liye kuch eligibility criterias hote hain jaise nationality, age limit, physical fitness ki requirement etc.

Nationality

M.P. Police bharti ke liye aap tabhi apply kar sakte hain agar aap-

  • India ke citizen yani naagrik hain
  • Nepal ke subject ho
  • Bhutan ke subject ho
  • Agar aap ek Tibetan Refugee hain jo ki 1 January 1962 se pehle India mein settle hone ke intention se aaye the.

Age Limit (Constable aur Sub Inspector ke liye)

Gazetted official executive post ke liye

21-28 years

MP Police group 3 aur group 4

21-25 years

Madhya Pradesh ke residents ke liye age limit mein relaxation

Category

Relaxation Years 

Upper Age Limit

MP state ke general category ke liye relaxation

5 years

33 years

MP police group 3 aur group 4 ke liye relaxation

8years

33 years

General Category ki female candidates ke liye

8 years

38 years

Male aur female candidates (SC/ST/OBC) ke liye relaxation

8 years

38 years

NOTE- Iss baat ka dhyaan rakhein ki age limit ki relaxation sirf Madhya Pradesh ke residents ko hi di jayegi. Jin logo ke pass Madhya Pradesh ka domicile nahi hai unko age mein koi relaxation nahi di jayegi chahe vo reserved category (SC/ST/OBC) se hi kyun na ho. Sirf MP ke reserved category ke candidates ke liye relaxation di gayi hai.

MP Police Bharti educational qualification

Madhya Pradesh Sub-Inspector (SI) aur Constable ki post ke liye educational qualification honi jaruri hai jo humne neeche bataayi hai. Toh pehle aapko apni educational qualification dekhni hai aur uske baad hi aap apply karein.

MP Police Constable ke liye qualification

Constable posts ka names

Unreserved/ SC/ OBC ke liye Qualification

ST ke liye Qualification

Constable (GD)

10th pass hona jaruri hai.

8th pass hona jaruri hai.

Constable (Driver)

10th pass hona jaruri hai aur valid driving license hona chahiye.

8th pass hona jaruri hai aur valid driving license hona chahiye.

Constable (Trade- barber, cook, washerman, cobbler, water carrier, sweeper, mason, Tet Khalsi, bugler) 

10th pass aur trade ki knowledge honi chahiye.

8th pass aur trade ki knowledge honi chahiye.

Constable (radio)

10th pass hona jaruri hai.

8th pass hona jaruri hai.

Head Constable (computer)

  • Aap 12th pass hone chahiye aur aapke pas 12th mein Physics, Chemistry aur Mathematics jaise subjects hone chahiye.
  • UGC (University Grants Commision) dwara kisi recognised University se Information Technology (IT) mein 1 saal ka diploma ya fir higher education honi chahiye.
  • Aap 12th pass hone chahiye aur aapke pas 12th mein Physics, Chemistry aur Mathematics jaise subjects hone chahiye.
  • UGC (University Grants Commision) dwara kisi recognised University se Information Technology (IT) mein 1 saal ka diploma ya fir higher education honi chahiye.

Assistant Sub- Inspector (computer)

UGC dwara kisi

Recognised University se

Computer ya IT subject

mein graduation ya fir

Computers mein 3 saal ka

 diploma ya fir higher

education

UGC dwara kisi

Recognised

University se

Computer ya IT

Subject

mein graduation ya

Fir

Computers mein 3

saal ka

diploma ya fir higher

education

Sub Inspector ke liye Qualification

Sub- Inspector posts ke names

Qualification

Sub Inspector (District force, Special Branch, Q.D., Finger print)

Graduation ya uske equivalent.

Sub Inspector (Ordnance)

Kisi recognised University se mechanical engineering mein 3 saal ka diploma hona chahiye.

Sub Inspector (Radio)

Electrical ya Electrical Tally Communication mein 3 saal ka diploma hona chahiye.

Subedar aur Platoon Commander

Graduation ya uske equivalent

Physical Fitness 

Police bharti mein physical fitness ek bahut hi important role play karta hai. To aaiye ab jaante hain male aur female candidates ke liye Physical fitness ka eligibility criteria-

CandidateHeightChest
Male Candidates167.5 cm81 cm (unexpanded)
86 cm (expanded)
Female Candidates152.4 cm

NOTE- Candidate ko kisi bhi prakar ki eye sight problem nahi honi chahiye aur paer (foot) flat nahi hona chahiye.

MP Police vacancy online form 2020

Online apply kaise kare (process)

Step 1: Sabse pehle MP Police ke official portal ya Vyapam ki website par visit karein aur notification ache se padhle.

Step 2: Uske baad Apply Online/New User par click karein. New user par new registration ke liye click karein, agar aap existing user hain to login karein.

Step 3: Jis post ke liye aap apply kana chahte hain uss par click karein.

Example- Agar aap MP police constable ki post ke liye apply karte hain, toh click karne par uska online form screen par aa jayega.

Step 4: Form mein apni personal aur required information bharein.

Step 5: Apni self attested recent passport size photograph aur signature upload karein.

Step 6: Online mode ke through application fee bharein.

Step 7: Confirmation ke baad fee process karein. Application form ki payment aap Debit Card/ Credit Card ya Net banking ke through kar sakte hain.

Step 8: Form ko save karle aur ek hard copy future use ke liye print karwa lein. 

NOTE- Iss baat ka dhyan rakhein ki aap application form sirf online hi bhar sakte hain. Application form ki payment aap Debit/Credit Card ya fir Internt banking ke dwara hi bhar sakte hain.

Category wise application fees

Category

Paper 1 fees (In Rs)

Paper 2 fees (In Rs)

General/Unreserved 

500

700

SC/ST/OBC (MP residents ke liye)

250

350

Form bharne ke liye jaruri documents

  1. 10th aur 12th ki marksheet- Iski original copy aur kam se kam 5-7 photocopies rakhein
  2. MP Domicile Certificate- Jo candidates MP mein rehte hain unke pas MP ka domicile certificate hona chahiye.
  3. 20 Passport size photos
  4. Marriage Certificate- Jo candidates married hote hain unke paas marriage certificate zarur hona chahiye.
  5. Cast Certificate- Jo candidates SC/ST ya kisi aur cast ko belong karte hain, unke paas proof ke taur par yeh Cast Certificate hona chahiye.
  6. Police Verification- Aap apne district ke SP Office se police verification le sakte hain. Police Verification isliye maangi jaati hai taki authorities yeh verify kar sakein ki candidate ka koi previous ya present criminal record na ho ya koi pending case na ho.

MP Police selection process

Iske baad ab hum baat karenge Madhya Pradesh Police selection process ke baare mein jismein aap jaanenge ki Constable aur Sub- Inspector ki posts ke liye kya steps follow karne padte hain.

Constable selection process: Constable post ke liye 4 phases mein selection hota hai.

Phase 1: Written Test

  • Written test mein aapse Multiple Choice Questions puche jate hain.
  • Written test mein 2 papers hote hain- Paper 1 aur Paper 2.
  • Paper 1 jo hai 100 marks ka hota hai aur constable ke sabhi posts ke liye hota hai.
  • Paper 2 bhi 100 marks ka hota hai par yeh sirf Head Constable (computer) aur ASI (computer) ki post ke liye hota hai.
  • Paper 1 jo hai 8th class ke standard ke according banaya jata hai.
  • Written paper mein wrong answer yani ki galat jawab ke liye koi negative marking nahi ki jati.

Paper 1 Exam Pattern

S.No.SectionMax.MarksDuration
1.

General Knowledge aur Reasoning

40 marks

120 minutes(2 hours)

2.

Intellectual ability aur Mental Aptitude

30 marks

3.

Science aur Simple Arithmetic

30 marks

 

Total

100 Marks

20 minutes(2 hours)

Paper 2 Exam Pattern

Agar hum Paper 2 ki baat karein toh yeh bilkul paper 1 jaisa hota hai par kyuki yeh paper Head Constable (computer) aur ASI (Computer) ki post ke liye diya jata hai isliye ismein Computer Networking Software subjects se judi technical knowledge bhi test ki jaati hai.

NOTE- Agar koi candidate Head Constable (Computer) aur ASI (Computer) ki post ke liye apply karna chahte hain toh unke liye Paper 1 aur Paper 2, dono dene compulsory hai.

Phase 2: Documents Verification
Ab hum aapko batayenge ki documents verification ke time aapko konse documents ki zarurat padti hai-

  • Original Birth Certificate aur 12th ki marskheet
  • Academic Qualification ke certificates
  • SC/ST/OBC Category ke candidates ke paas apne Permanant Caste Certificates hone chahiye. Caste Certificates issue karne wale officer ka naam, cast, office etc sab mention hona chahiye
  • Self serving Non- Commissioned officers ke pas age relaxation ke benefit ko avail karne ke liye Competent authorities dwara issue kiye gaye original certificates hone chahiye.
  • Ex- Servicemen ke paas Army ka original Certificate of Service hona chahiye.
  • Pre- employed candidates ke paas employer dwara issue kiya gaya Proof of Service hona chahiye.
  • Abandoned women ke case mein mahilaaon ko proof certificate dena padega ki shaadi ke baad unke husbands ne unhe bina divorce diye chodh diya tha.
  • Jin candidates ko ‘Vikram’ Award mila hai, unhe age limit ki relaxation ke liye ‘Vikram’ award ka proof dena padta hai.
  • Married candidates ko apne bachho ka birth certificate bhi submit karna padta hai.
  • Constable (Driver) ki post ke lie valid driving license hona chahiye.

NOTE- Jo candidates written exam clear karte hain, uske baad veh seedha Physical Proficiency Test ke liye nahi jaate. Written Exam clear karne ke baad candidate ke official certificates ki verification ki jaati hai. Agar candidate ke sabhi documents suitable paaye jaate hain tabhi weh next round ke liye qualify kar pate hain. Lekin agar aapne written exam clear karliya hai par aap document verification mein fail hogye hain, toh aap Physical Proficiency test ke liye qualify nahi kar payenge.

Phase 3: Physical Proficiency Test– Iss test mein candidate se 800 metre race lagwayi jati hai, shot put aur long jump bhi karwayi jati hai. Physical Proficiency Test mein candidates ko koi marks nahi diye jaate, yeh sirf qualifying hoti hai. Candidate ko 800 metre race mein 1 hi chance milta hai aur long jump aur shot put mein 3 chances milte hain.

NOTE- Physical Proficiency Test mein kisi bhi candidate ko Health ya kisi bhi basis par koi relaxation nahi di jaati aur kisi bhi type ka medical certificate accept nahi kiya jata.

Phase 4 : Trade/ Driving Test- Constable Tradesman/ Driver ke liye yeh driving/ trade ka test conduct karwaya jata hai. Iss test ki videography bhi karaayi jaati hai.

Sub Inspector selection process: SI ki post ke liye 4 phases mein selection hota hai.

Phase 1: Written Exam

  • Written test mein aapse Multiple Choice Questions puche jate hain.
  • Written paper mein wrong answer yani ki galat jawab ke liye koi negative marking nahi ki jati.

Sub Inspector Paper 1&2 Exam Pattern

Paper

Post ke type (Technical/ Non Technical)

SectionMax. MarksTotal MarksDuration

Paper 1

Sirf Technical posts ke liye

Physics

33 Marks

100 Marks

2 hours

Chemistry

33 Marks

Maths

44 Marks

Paper 2

Technical aur Non Technical dono posts

Hindi

70 Marks

200 Marks

3 hours

English

30 Marks

 

General Knowledge

100 Marks

 

NOTE- Written test ke baad candidate ke kuch aur tests bhi kiya jayenge jaise-

  1. Document Verification
  2. Height aur chest ki measurement
  3. Candidate ki knee aur flat foot ka test

Documents Verification
Ab hum aapko batayenge ki documents verification ke time aapko konse documents ki zarurat padti hai-

  • Original Birth Certificate aur 12th ki marskheet
  • Academic Qualification ke certificates
  • SC/ST/OBC Category ke candidates ke paas apne Permanant Caste Certificates hone chahiye. Caste Certificates issue karne wale officer ka naam, cast, office etc sab mention hona chahiye
  • Self serving Non- Commissioned officers ke pas age relaxation ke benefit ko avail karne ke liye Competent authorities dwara issue kiye gaye original certificates hone chahiye.
  • Ex- Servicemen ke paas Army ka original Certificate of Service hona chahiye.
  • Pre- employed candidates ke paas employer dwara issue kiya gaya Proof of Service hona chahiye.
  • Abandoned women ke case mein mahilaaon ko proof certificate dena padega ki shaadi ke baad unke husbands ne unhe bina divorce diye chodh diya tha.
  • Jin candidates ko ‘Vikram’ Award mila hai, unhe age limit ki relaxation ke liye ‘Vikram’ award ka proof dena padta hai.
  • Married candidates ko apne bachho ka birth certificate bhi submit karna padta hai.

NOTE- Agar koi candidate written test clear kar leta par agar unhone apne online application form mein koi false ya galat information likhi hai ya weh document verification mein fail ho jaate hain toh weh next round yani ki Physical round ke liye qualify nahi kar payenge.

Phase 2: Physical Measurement Test (PMT)- Isme candidate ki height aur chest dekhi jaati hai. Agar candidate ki height aur chest suitable paayi jati hai tabhi weh next round ke liye qualify kar pate hain jo ki Physical Endurance Test ka hota hai. PMT round mein yeh bhi check kiya jata hai ki kahin candidate ka flat foot toh nahi hai.

Phase 3: Physical Endurance Test (PET)- Iss test mein aapse daud lagwayi jati hai, long jump aur shot-put karwaya jata hai. Physical Endurance Test mein candidates ko koi marks nahi diye jaate, yeh sirf qualifying round hota hai. Candidate ko 800 metre race mein 1 hi chance milta hai aur long jump aur shot put mein 3 chances milte hain.

Phase 4: Interview- Upar bataaye gaye sabhi rounds clear karne ke baad aakhri round hota hai personal interview ka. Personal Interview round ke 10 marks hote hain.

MP Police syllabus 2020

Constable Post ke liye syllabus

  1. Written exam syllabus- Agar hum written exam ki baat karein toh isme Paper 1 aur Paper 2 hote hain.

a) Paper 1 Syllabus

Sections

Topics

General Knowledge

Major wildlife sanctuaries aur national parks, major rivers, Irrigation planning, major tourism (forts, palaces, ancient notable aur natural places, caves, mausoleum etc), Madhya Pradesh ki major personalities jaise sportsmen, political, artist, administration, author, social workers etc

Reasoning

Analogies, Similarities aur differences, Spatial Visualisation, Spatial Orientation, Problem solving, Analysis, Judgement, Decision making, Visual memory, Discrimination, Observation, Relationship concepts, Arithmetic Reasoning, Verbal and figure classification, Arithmetical number series, Non verbal series, Coding and decoding, Statement Conclusion aur syllogistic reasoning etc

Intellectual Ability aur Mental Aptitude

Venn diagrams, Drawing Inferences, Punched hole pattern- folding and unfolding, Figural pattern- folding and completion, Indexing’, Address matching, Date and city matching, Centre codes/ Roll numbers ki classification, Small and Capital letters/ numbers coding, Decoding and classification, Embedded figures, Critical Thinking, Emotional aur social intelligence

Science

General physics se jude kuch questions puche jate hain jaise weight, mass, volume, reflection, refraction, transparency,  law of motion, gravitation etc

Chemistry se jude kuch questions jaise chemical reactions, different acids, bases and salts, metals and non- metals, Chemical formula balancing etc

Biology se jude kuch questions jaise human body structure, bacterias, diseases and their symptoms

Simple Arithmetic

Simplification,Average,Percentage,Time and work,Area,Profit and loss,Simple and Compound Interest, Time and Speed, Investment, HCF and LCM, Problem on ages, Bar Graphs, Pictorial graphs, Pie Chart and Data Interpretation

b) Paper 2 Syllabus

Jo candidates Head Constable (computer) aur ASI (Computer) ki post ke liye apply karte hain unhe paper 2 dena padta hai jiska syllabus paper 1 ke syllabus ke sath sath usme Computer Networking Software subjects se judi technical knowledge bhi test ki jaati hai.

2. Physical Proficiency Test (PPT)

S.No.

Post ka naam

800 metre race

Shot Put (3 chances)

Long Jump (3 chances)

1.

Constable (GD)/ Head Constable (Computer)/ ASI Computer MALE

2 minutes, 45 seconds

19 feet (weight of sphere 7.260 kgs)

13 feet

2.

Constable (GD)/ Head Constable (Computer)/ ASI Computer FEMALE/ Female Homeguard 

4 minutes

15 feet (weight of sphere 4 kgs)

10 feet

3.

Constable (Tradesman)

3 minutes

N/A

N/A

4.

Ex- Servicemen

3 minutes 15 seconds

15 feet (weight of sphere 7.260 kgs)

10 feet

5.

Homeguard

3 minutes 15 seconds

17 feet (weight of sphere 7.260 kgs)

12 feet

Sub Inspector post ke liye syllabus

  1. Written exam- Written exam mein 2 papers conduct kiye jaate hain. Paper 1- jo ki sirf Technical posts ke liye hota hai aur Paper 2 – jo ki Technical aur Non Technical posts dono ke liye hota hai.

a) Paper 1 Syllabus (Sirf Technical Posts ke liye)

Iss paper mein graduation level science subject se jude topics cover kiye jaate hain jismein-

Subjects

Topics

Chemistry

Analytical Chemistry, Inorganic Chemistry, Organic Chemistry, Bio- Molecules, Polymers and drugs, Physical Chemistry- A molecular approach etc

Physics

Role of physics, Units, Dimensions, Vector, Scalar quantities aur elementary calculus, Gravitation, Friction, Motion in fluids, Circular motion, Properties of matter- Temperature, Internal energy, Oscillations, Waves etc

Maths

Simplification, Average, Percentage, Time and work, Area, Profit and loss, Simple and Compound Interest, Time and Speed, Investment, HCF and LCM, Problem on ages

Bar Graphs, Pictorial graphs, Pie Chart and Data Interpretation

b) Paper 2 Syllabus (Technical aur Non Technical posts dono ke liye)

Subjects

Topics

English

Tenses, Modals, Determiners, Articles, Voices, Narrations, Prepositions, Clauses

Ek question Unseen Passage ka aata hai jisme vocabulary related questions puche jate hain jaise ki word formation aur inferring meaning.

Passage 2 types ke ho sakte hain-

  • Factual Passages, eg- instructions, descriptions, reports
  • Discursive passages, eg- argumentative, persuasive

Hindi

भाषा बोध-

शब्द निर्माण- (उपसर्ग, प्रत्यय, संधि, समास), समोच्चरित भिन्नार्थक शब्द, अनेकार्थी शब्द, विलोम शब्द, पर्यायवाची शब्द, वाक्यांश के लिए एक शब्द, भाव पल्लवन/भाव विस्तार, वाक्य – अशुद्धि संशोधन, वाक्य परिवर्तन, मुहावरे/ लोकोक्तियाँ, समास विग्रह तथा समास के भेद, संक्षिप्तीकरण

पारिभाषिक, तकनीकी शब्दों का प्रयोग, वाक्य भेद (रचना, अर्थ के आधार पर) वाक्य रूपांतर

शब्द युग्म, बोली, विभाषा, मातृभाषा, राजभाषा, राष्ट्रभाषा, मुहावरे/ लोकोक्तियों का वाक्य में प्रयोग

काव्य बोध-

काव्य की परिभाषा – भेद, मुक्तक काव्य, प्रबंध काव्य (महाकाव्य, खण्डकाव्य), रस – परिभाषा, अंग, भेद और उदाहरण, अलंकार – वक्रोक्ति, अतिशयोक्ति, अन्योक्ति, छंद – गीतिका, हरिगीतिका, उल्लाला, रोला, रस परिचय, अंग, रस भेद – उदहारण सहित अलंकार, छंद, काव्य की परिभाषा एवं काव्य के भेद काव्य गुण, क्षेत्रीय बोली – पहेलियाँ, चुटकुले, लोकगीत, लोक कथाओं का परिचय तथा खड़ी बोली में उनका अनुवाद, म.प्र. से प्रकाशित होने वाली हिंदी भाषा की पत्र पत्रिकाओं की जानकारी

अपठित बोध-

एक गद्यांश – शीर्षक, सारांश एवं प्रश्न
एक पद्यांश – शीर्षक, सारांश एवं प्रश्न

General Knowledge

General knowledge ke paper mein Objective type ke questions puche jate hain jo ki  Madhya Pradesh ki general information par based hote hain. Iske saath national aur international mathematics, History, Geography, Economics, Political Science, Social Studies par based questions puche jate hain. General Aptitude, Reasoning aur General Intelligence Ability par based bhi questions puche jaate hain.

2. Physical Measurement Test

Particulars

Male

Female

Height

167.5 cms

152.4 cms

Chest

81- 86 cms (minimum 5 cms expansion compulsory)

N/A

3. Physical Endurance Test (PET)

 

Male

Female

Ex-Servicemen

800 metres race

2 minutes 40 seconds

3 minutes 30 seconds

3 minutes 5 seconds

Long jump

13 feet

10 feet

10 feet

Shot- put

19 feet (7.260 kgs)

15 feet (4 kgs)

15 feet (7.260 kgs)

MP Police study material

Ab hum aapko MP police bharti ke exam ki preparation ke liye kuch best books ke naam batayenge jinse padhkar aap exam mein achha perform kar sakte hain.

General Knowledge
MP Police exam ke General Knowledge section ke liye 2 books reccomend ki jaati hain jinke Publications ke naam hain-

1. Lucent’s
2. Punekar

Reasoning- Reasoning ka section sabse important hota hai aur iss section ke sabse zyada importance hoti hai. Iss section ke liye 2 main books recommended hain-

1. Arihant Publications by RK Jha
2. Perfect Publications by Deepak Kumar

Simple Arithmetic
Simple Artihmetic ke liye bhi kuch books recommend ki gayi hain jinke naam hai-

1. RS Aggarwal
2. Sharda Publications
Inn books mein exam pattern ke according topic diye gaye hain.

Science
Science mein aapko bahut fayda hoga agar aapne 12th mei ya graduation level par padhi ho parantu agar aisa nahi hai toh aapko kaafi dhyaan dena hoga. Iske liye Lucent’s ki book recommend ki jati hai.

Iske alaawa aap MP Pareeksha Application bhi download kar sakte hain jahan bahut se questions diye hote hain. Uss app par test papers bhi diye hote hain jinhe solve kar ke aap apni khud ki evaluation kar sakte hain.

MP Police result 2020

MP Police bharti ka result aap MP Police ki official website par check kar sakte hain ya fir Vyapam ki website par check kar sakte hain.

MP Police Constable expected Cut-off

Category

Expected Cutoff marks (100 mein se)

General/ Unreserved

70-75 marks

OBC

60-75 marks

SC

60-65 marks

ST

55-60 marks

Female

60-65 marks

Ex-Servicemen

40-45 marks

MP Police Sub Inspector Expected cut off

Category

Expected cut off marks ( 200 mein se)

General/ Unreserved

138-144 marks

OBC

132- 138 marks

SC

122-127 marks

ST

118-122 marks


Saari Latest Police Bharti 2020 Updates ke liye click karein


Aasha karte hain ki iss blog ki madad se aapko MP police bharti 2020 se judi puri jaankari detail mein mil gayi hogi. Agar abhi bhi aapke mann mein MP police bharti se jude koi sawaal ya doubt hai toh humse comment box mein zarur puchiye.

I am a student of Shaheed Bhagat Singh College, University of Delhi. I am the head of Operations Department at Encode- The Internship Cell of SBSC and I am also the part of Organising team of TEDxSBSC. I am an enthusiast who is always keen to explore different things in life.

21 COMMENTS

  1. Ek baat smaj me nai aai he sir ki
    * jo age ki baat he wo kitne tak avelaible he????
    * mp ke nagriko ke liye plzz???
    * Bharat yogi.Bamor damron shivpuri
    Pin no.473670

  2. Sir,ue bataiye ki mene 2013 me mp police constable ki bharti me sare round clear kar liye the uske bad mujhe posting k samy hight me 157.5 bata kar unfit kar diya jbki meri hight 157.5 se bhi jyada thi lagbhag 158cm.
    Plz koi upay bataiye.

    • Sir. Ye btaye. Mene. Abhi. Abhi. Pdhai krna. Start. Kiya he kuch din. Phle. To. Aapke. Hisab se me. KB. Tk. Govt. Job PR. Lg jaunga. AGR. Daily. Practice kru to

  3. Mam plz mujhe btaye ki mai othervstate ki girl hu kya m form apply kr skti hu or meri merit female genral catgeroy m jayegi ya fhir male m jbki m female hu ……agar genral m jayegi to female genral mai jayegi ya fhir male m plz answer krna plz

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here