Delhi Police Bharti ke liye Constable aur Sub Inspector (SI) ki vacancies har saal nikalti hai. Ye bharti Central Government ke antargat aati hai. Abhi Head Constable ki bharti nikal chuki hai jiski jaankari niche dekh sakte hai.
Delhi Police Head Constable Ki Bharti Nikal Gayi Hai, Yahan Click Karke
Delhi Police Bharti Recruitment Notification ki jaankari jaise:
Delhi Police Constable Bharti 2020
Delhi Head Constable Bharti 2020
Delhi Police Constable Recruitment Dates 2020
Delhi Police Constable Educational Qualification 2020
Delhi Police Physical Standard aur Eligibility 2020
Delhi Police Constable Salary 2020
Form Bharne Ke Liye Jaruri Documents 2020
Delhi Police Selection Process And Exam Pattern 2020
Delhi Police Constable Bharti 2020
Delhi Police Constable Bharti 2020 ki date abhi tak nahin nikali lekin abhi lekin haal ke samacharo ke anusar pata chala hai ki iss baar Delhi Police constable recruitment ki post ke liye 15,000 posts ki vacancy nikalane wali hai aur Delhi Police Sub-Inspector Bharti 2020 ki online application processjald hi shuru hogi Apply karne ke liye niche click kare.
Delhi Police Sub Inspector (SI) Bharti 2020 ke liye click kare
Head Constable Bharti 2020
Delhi head constable bharti 2020 ki notification abhi nahi nikali hai. Iss bharti mein 2019 mein Assistant wireless operator/Teleprinter operator ke liye total 649 post nikali hai.
Iss bharti mein male aur female dono apply kar sakte hai.
Bharti ki detail:
- Total Vacancies – 649
- Head Constable (AWO/TPO) – Male (Open) – 392 Posts (43 vacancies for Departmental candidates)
- Head Constable (AWO/TPO) – Female (Open) – 193 Posts (21 vacancies for Departmental candidates)
Delhi Police Constable Salary 2020
Delhi Police mein constable ki agar salary hai Rs. 21,700-69,100 hai.
Delhi Police Recruitment Dates 2020
Delhi head constable bharti ki dates aap niche dekh sakte hai.
Important dates
- Online application bharne ki date: Not updated
- Online application ki last date: Not updated
Official Notification
Official Website
Delhi Police Educational Qualification 2020
Delhi Sub inspector aur Constable ki post ke liye educational qualification bhi honi jaruri hai jo humein niche batayi hai. Toh pahle aapko apni qualification dekhni hai iske baad hi apply karna hai.
Post | Qualification |
Constable | 10+2 pass kisi recognized board se form fill karte samay. |
Delhi Police Physical Standard aur Eligibility 2020
Delhi Police Bharti mein constable aur sub inspector banane ke liye kuch basic eligibility requirements hoti hain jo ki humne neeche bataya hua hai.
Post | Age Limit |
Constable ke liye | 18 se 24 Saal |
Age Limit mein relaxation kuch iss prakar hai –
Code No. | Category | Age-Relaxation permissible beyond the Upper age limit |
01 | SC | 05 years |
02 | ST | 05 years |
03 | OBC | 03 Years |
04 | Ex-Servicemen (Unreserved/General) | 03 years after deduction of the military service rendered from the actual age as on the closing date. |
05 | Ex-Servicemen (OBC) | 06 years (3 years + 3 years) after deduction of the military service rendered from the actual age as on the closing date |
06 | Ex-Servicemen (SC) | 08 years (3 years + 5 years) after deduction of the military service rendered from the actual age as on the closing date. |
07 | Ex-Servicemen (ST) | 08 years (3 years + 5 years) after deduction of the military service rendered from the actual age as on the closing date. |
08 | Departmental Male/ Female Candidates for open vacancies in Delhi Police only Departmental Candidates (Unreserved) who have rendered not less than 3 years of regular and continuous service as on closing date. | Upto 30 years of age. |
09 | Departmental Candidates (OBC) who have rendered not less than 3years of regular and continuous service as on closing date. | Upto 33 years of age. |
10 | Departmental Candidates (OBC) who have rendered not less than 3years of regular and continuous service as on closing date. | Upto 35 years of age |
11 | Departmental Candidates (ST) who have rendered not less than 3 years of regular and continuous service as on closing date. | Upto 35 years of age |
12 | Sportsmen and women (un-reserved) | Upto 5 years |
13 | Sportsmen and women (OBC), | Upto 5 years |
14 | Sportsmen and women (SC) | Upto 10 (5+5) years |
15 | Sportsmen and women (ST) | Upto 10 (5+5) years |
16 | Sons/daughters of serving, deceased, retired police personnel/Multi Tasking Staff (Formerly group ‘D’ employees) of Delhi Police. | Up to 25 years of age |
17 | Widow/divorced women/ judicially separated women | Up to 30 years of age |
Delhi Police Physical Requirement 2019
Category | Height | Chest | Weight |
Male | 170 cm for all/165 cm for ST/SC | 81 cm se 85 cm.ST/SC ke liye 76 se 80 cm. | Height ke anusar |
Female | 157 cm sabhi ke liye aur155 ST/SC ke liye | – | Height ke anusar |
Delhi Police SI Vacancy
Delhi Police SI vacancy nikal chuki hai. Puri jaanakri ke liye click kare
Delhi Police mein Sub Inspector ki post ke liye vacancy SSC CPO ke antargat nikalti hai. Delhi Police anya State Police Departments ki tarah apne State Government yani ki Delhi Government ke under nahi aati hai , balki yeh Central Government ke under aati hai .
SSC CPO waale blog ko padhke agar aap Delhi Police mein Sub Inspector ki post ke liye vacancy ke baare mein janana chahte hain toh yahan click karein.
Delhi Police Online Form 2020
Delhi Police Bharti 2020 ke forms abhi available nahi hain par yeh forms delhi police ke official portal pe available hote hain.
Iss form ko bharne ke liye saare candidates ko Rs. 100 ki application fees deni hoti hai par yeh fees women, SC, ST candidates ko nahi deni padti hai.
Iske baad aapko apne kuch documents upload karne padenge form ke saath jiske baare mein hum aapko aage batayenge.
- Sabse pehle aapko official website par click karna hoga jo yahan di jaayegi.
- Iske baad jab page khulega toh form bharne ka link dikhega aur uspar click karna hoga.
- Iske baad khali box dikhenge jismein candidates ko apni jaankari bharni hoti hai. Ismein basic details bharni hoti hai jaise name, parents’ name, date of birth, email id, mobile number etc.
- Agle step mein, candidates ko apna photograph aur signature upload karna hoga jo official notification mein bataya hoga.
Photograph – Photograph ki white colour or light colour ki background honi aur uski size 4 kb se 12 kb honi chahiye. Jabki resolution 100×120 pixels in width and height mein honi chahiye.
Signature – Signature black yaa blue ink mein white sheet par hona chahiye. Aur signature ki scanned copy jpg format mein aur 1 kb se 12 kb ke andar honi chahiye. Resolution 40×60 pixels honi chahiye.
- Application form bharne ke baad, candidates ko ek baar dekh leni chahiye.
Iss tarah Delhi Police Constable Exam application form ko sahi se dekhne ke baad Final Submit button par click karna hai. Yahan application form ko print karne ka bhi option hota hai.
Delhi Police SI vacancy nikal chuki hai. Puri jaanakri ke liye click kare
Form Bharne Ke Liye Jaruri Documents 2020
Delhi Police Bharti 2020 ke liye aapko apne application form ke saath kuch zaruri documents bhi upload karne padenge jaise ki –
- Date of Birth ke liye Matric Certificate.
- Educational Certificates like Diploma/Degree/10+2.
- Cast Certificates like BCA/BCB/SC/ST/OBC.
- Hill Area Certificates.
- Driving License.
- DESM Candidate Certificates.
- Aadhar Card.
- Wards Certificate.
- Delhi Police Admit Card.
- NOC/Discharge Certificate For Ex-servicemen.
Delhi Police Selection Process And Exam Pattern 2020
Delhi Police constable ke selection process mein two stages hote hain –
1.Computer Based Examination – Constable ke post ke liye yeh test 100 marks ka hota hai aur ismein kuch basic general knowledge , reasoning etc check kari jaati hai ,
Iss Examination ke subjects , time allowed aur har subject ke liye maximum marks neeche diye hue hain –
Paper No. | Subjects | Duration | Marks |
1. Paper I | (a) General Intelligence and Reasoning | 2 Hours | 400 Marks |
(b) General Awareness | |||
(c) Numerical Ability | |||
2. Paper II | (a) Hindi Language | 2 Hours | 200 Marks |
(b) English Language |
2. Physical Endurance and Measurement Tests – Physical Measurement tests donon male aur female candidates ke liye alag alag hote hain.
Male candidates ke liye neeche diye gaye table ko dhyaan se dekhein
Age | Race 1600 metres | Long Jump | High Jump |
Upto 30 years | 6 Minutes | 14 feet | 3’9” |
Above 30 to 40 years | 7 Minutes | 13 feet | 3’6” |
Above 40 years | 8 Minutes | 12 feet | 3’3” |
Note : Jo candidates race mein qualify karlenge wahi Long Jump aur High Jump ke liye eligible honge. Inn donon activities mein aapko teen chances di jaayengi jinmein aapko apne age ke hisaab se qualify karna hoga. Agar koi candidate inn activities ke dauran disqualify hojaata hai toh uske against appeal nahi kari jaa sakti hai.
Female candidates ke criteria ke liye –
Age | Race 1600 metres | Long Jump | High Jump |
Upto 30 years | 08 Minutes | 10 feet | 03 feet |
Above 30 to 40 years | 09 Minutes | 09 feet | 2’9” |
Above 40 years | 10 Minutes | 08 feet | 2’6” |
Note : Jo candidates race mein qualify karlenge wahi Long Jump aur High Jump ke liye eligible honge. Inn donon activities mein aapko teen chances di jaayengi jinmein aapko apne age ke hisaab se qualify karna hoga. Agar koi candidate inn activities ke dauran disqualify hojaata hai toh uske against appeal nahi kari jaa sakti hai.
Delhi Police Syllabus 2020
Delhi Police ke selection exam ke liye different subjects ke liye yeh syllabus hai –
General Knowledge
- Indian Constitution.
- Indian Geography.
- History – India & World.
- Indian Economy.
- Science & Technology.
- Indian Polity.
- Environmental Issues.
- Current Affairs – National & International, etc.
Numerical Ability
- Arithmetic
- Algebra
- Geometry
- Mensuration
- Statistical Charts
- Trigonometry etc.
Reasoning
- Similarities & Differences.
- Decision Making.
- Spatial Orientation.
- Discrimination.
- Problem Solving.
- Spatial Visualization.
- Analysis.
- Judgment.
- Arithmetic Reasoning.
- Arithmetical Number Series.
- Observation.
- Visual Memory.
- Relationship Concepts.
- Coding & Decoding.
- Statement Conclusion.
- Non-Verbal series.
- Verbal and Figure Classification.
- Syllogistic Reasoning.
- Analogies etc.
Delhi Police Admit Card 2020
Har candidate jo Delhi Police Constable exam ke liye apply karte hain unhein exam se pehle roll numbers aur Admission Certificate yani Admit Card issue kare jaate hain. Delhi Police recruitment exam ka admit card aap unki official website se download kar sakte hain. Abhi Delhi Police Constable Exam ka admit card aaya nahi hai par jaise hi aayega hum aapko uski jaankari pradan kardenge.
Admit Card ke baare mein vistaar se janane ke liye neeche click kare.
Delhi Police Constable Admit Card 2020
Delhi Police SI vacancy nikal chuki hai. Puri jaanakri ke liye click kare
Saari Latest Police Bharti 2029 Updates ke liye click karein
Humein umeed hai ki iss article se aapko Delhi Police Bharti ki puri jankari mil gayi hogi jaise recruitment, eligibility, vacancy , selection process etc . Humne poori koshish kari hai ki shuruwaat se ant tak aapko har sawal ka jawab mil jaaye. Agar aapko kisi anya jankari ki zarurat hai toh humein comments section mein likhke zarur batayein, hum aapki madad karne ki poori koshish karenge.
Mujhe Delhi police ka farm bhrna h me sc hu eske farm kab Tak niklega aap mujhe ye bta sakte h plzzzz
Abhi nikla nahin hai lekin jab niklega toh yahan update kar diya jaayega.
Mujhe Delhi police ka form bhrna h eske form kab Tak niklega aap mujhe ye bta sakte h plzzzz
Abhi date bata nahi sakte. Aap yaha updates check karte rahe.
Mujhe Delhi police ka form bharna he ye form kab Tak niklega plzzzzz plzzzzz aap muje Bata date ho….
Aap iss article ko check karte rahe updates ke liye.
Delhi police forms ki date kab tak aa sakti hai btado plzzz
Abhi dates annouce nahi hui hai jaise hi hogi yaha update hojyegi.
Plz form ki date bata dijiye ki kab tak form nikalenge
Jab bhi form nikalenge yaha upate kardiye jaenge, Aap check karte rahe.
Mujhe bhi Delhi Police ke form ke date bta dena Please
Ji, jab date aayegi toh page mein daal denge.
Sir m haryana se belong karta hu
Mere pass Delhi ka regidensi nahi h
To m Delhi ka farm nahi bhar sakta Kya
App muje jarur reply jarur kre sir
Non Haryana wale bhi form bhar sakte hai
Ek baat btaiye delhi police ke liye 10 cls pass ho to bhi apply kr skte hai ?
Minimum 12th pass chhaiye constable post ke liye
Sir m Delhi police k liya apply Karna chathi Hu mujhe form date bta dena or ya be bta dena phala physical h ya phir test h
Sari details is article mein likhi hai. Ek baar check kariye aur phir agar kuch samajh nahi aata to please puchiye.
Mujhe bhi delhi police ke form ji date bata dena sir
Humne article mein sari jaankari de rakhi hai. Please dhyan se padhe.
Sir UK se hu delli police Mai Jana h
Bharti mar sakte h
Hanji kar sakte hai.
Bharti date confirm hote hi notification jarur dale sir
Hanji zarur.
Delhi police ke liye kya form bharte samay License ki jarurat padti hai p
Nahin lekin agar driver post ke liye form bharenge toh driving license chahiye hoga.
Age ..for constable kitni honi chahiye general category ke liye kuch websites btati hai ki 21 tk hi kar sakte hai constable ke liye plzz btaiye🙏
Bhai Delhi police constable ke liye age 18 se 24 Saal hai.
Phle peper hoga ja .fijkel
Pehle test hoga phir physical joga.
Sir Please Btao 10 th kr Rkhi h To Bharti ho skte h ya nhi please sir btao
nahi constable ke liye kam se kam 12th pass hona zaruri hai.
female ko bhi driving licence hona jaruri h kya form bhar ne ke liye
Hanji zaruri hai.
sir physical se pehle test hoga
Hanji pehle test hota hai.
Me bi Karna chahti hu delhi police nokri
Aap kar sakti hai agar aap eligible hai. Humne article mein saari jaankari de rakhi hai.
Mujhe bhi Delhi police k form bhrne h, please niklte hi Bta dena
Abhi Sub Inspector ke form nikale hue hai.
Sub inspector k liye kitna education chahiye nd or form kb niklegye
Sub Inspector ke form nikal chuke hai aur iske liye graduation complete hona zaruri hai. Puri jaankari ke liye upar article mein padhe.
Iske liye minimum % kitne hone chaiye 12th me plz bataiye?
Humne article mein iski jaankari de rakhi hai.
Sir meri age 08-08-2001 hai toh kya m delhi police constable 2019 m aply krr skti hu
Hanji aap kar sakte hai apply.
Sir other state wale Kya general me apply krenge
OBC ki age limit Kya hogi uttar Pradesh k liye
Yes, kar sakte hai. UP ke liye koi alag se age limit nahi hai par OBC candidates from all states ke liye hai jiske baare mein upar article mein puri jaanakri de rakhi hai.
Delhi police ka paper keb h sir
Kaunsi post ke liye?
Meri age 20/12/2001 h kya m Delhi police ki Bharti dekh sktha hu sir please btaiye 🙏
Kaunsi post ke liye? constable? Hanji.
Ye form apply karne ke liye 12 me kitne percentage hona chahiye pls bataiye
Nice
12th boilogy se chalegi kya sir
Ji ha chalegi.