Last updated: 4 March 2020
Bihar Police mein Constable aur Sub inspector ki post nikalne wali hai. Aur abhi Bihar Police Steno Assistant Sub Inspector ke liye 133 posts nikali hai. Toh abhi Bihar police vacancy 2020 in Hindi mein Constable aur Sub Inspector (SI) ki post ki saari jaankari niche padhein.
Bihar Police Steno Ass. Sub Inspector Bharti Direct Bharti
Iss article mein hum aapko batayenge
Bihar Police Vacancy 2020 Ki Details
Bihar Police SI & Constable Salary
Bihar Police Bharti 2020 Ki Important Dates
Bihar Police Bharti Educational Qualification
Form Bharne Ke Liye Jaruri Documents
Bihar Police Selection Process
Bihar Police Vacancy 2020 Ki Details
Bihar police ne Steno Assistant Sub Inspector ke liye 133 khali post nikali hai. Iss bharti ke liye Bihar aur other state ke candidates online apply kar sakte hai.
Bihar Police SI & Constable Salary
Bihar Police mein SI aur constable ki agar salary ki baat karein toh Constable ki salary Rs.5200-20,200+Grade pay Rs.2000 hai. Jabki Sub Inspector ki baat karein toh unki salary Rs.9300-34800+Grade pay 4200 hai.
Category | Pay Scale |
Constable | Rs.5200-20,200 + Grade pay 2000 |
Sub Inspector | Rs.9300-34800 + Grade pay 4200 |
Bihar Police Bharti 2020 Ki Important Dates
Bihar Police Steno Assistant Sub Inspector Vacancy Notification: Niche aap is bharti ki dates dekh sakte hai.
Event | Date |
Online apply starting date | 4 March 2020 |
Last date for apply | 30 March 2020 |
Important Links
Bihar Police Bharti educational qualification
Bihar Sub Inspector aur Constable ki post ke liye educational qualification bhi honi jaruri hai jo humein niche batayi hai. Toh pehle aapko apni qualification dekhni hai iske baad hi apply karna hai:
Post | Qualification |
Constable ke liye | Candidate kisi recognize board se 12th standard pass hona chahiye. |
Sub Inspector ke liye | Candidate kisi recognized university se graduate hona chahiye ya state government dwara recognized equivalent exam pass hona chahiye. |
Steno Ass. Sub Inspector | Kisi recognized board se 10+2 pass |
Bihar Police Eligibility
Bihar Police Sub Inspector aur Constable bharti mein agar physical standard ki baat karein toh kuch iss prakar se hai:
Age limit dekhein:
Male Category | Age Limit |
Constable ke liye | 18 se 25 years |
Sub Inspector ke liye | 20 se 37 years |
Steno Ass. Sub Inspector | 18 se 25 years |
Female Category | Age Limit |
Constable ke liye | 18 se 28 years |
Sub Inspector ke liye | 20 se 40 years |
Steno Ass. Sub Inspector | 18 se 25 years |
Bihar Police Constable vacancy mein reserved categories ko upper age limit mein relaxation di jayegi.
Category | Minimum Age | Maximum Age |
EBC/BC (Male) | 18 years | 27 years |
EBC/BC (Female) | 18 years | 28 years |
SC/ST (All) | 18 years | 30 years |
Note: Candidate jo reserved category ke hai par bihar ke resident nahi hai, unko iss relaxation ka phyada nahi milega. |
Bihar Police Sub Inspector bharti mein reserved categories ko upper age limit mein relaxation di jayegi.
Category | Male | Female | ||
Minimum Age | Upper Age | Minimum Age | Upper Age | |
General | 20 years | 37 years | 20 years | 40 years |
BC/EBC | 20 years | 40 years | 20 years | 40 years |
SC/ST | 20 years | 42 years | 20 years | 42 years |
Note: Candidate jo reserved category ke hai par bihar ke resident nahi hai, unko iss relaxation ka phyada nahi milega. |
Bihar police height
Aap niche Bihar Police height ke baare mein jaan sakte hai ki constable aur Sub Inspector (SI) ki kitni height honi chahiye.
Constable- Bihar Police Height
Constable Post | Height | Chest | Weight |
Male | General(UR)/BC -165 cms EBC-162 cms SC/ST-160 cms Gorkha-158 cms | 81-86 cm( SC/ST -79-84) | Height ke anusar |
Female | 155 cms | NA | Height ke anusar |
Sub Inspector – Bihar Police Height
Sub inspector Post | Height | Chest | Weight |
Male | General(UR)/BC/OBC-165 cms SC/ST- 160 cms | 81-86 cm( SC/ST -79-84) | Height ke anusar |
Female | 160 cms | NA | (Minimum weight 48 kg) |
Other state ke candidates bhi form bhar sakte hai.
Bihar Police vacancy ki dono post ke liye koi bhi state ke candidates apply kar sakte hai. Lekin other state ke candidates jo chahe General category ke ho ya reserved category ke unn sabko ‘General category’ mein count kiya jaayega. Other state ke reserved category ke candidates ko koi reservation ya relaxation nahi diya jaata hai. Reservation ke liye Bihar ka domicile hona zaruri hai.
Bihar Police Bharti Ke Liye Application Fees Aur Process
Bihar police mein bharti ke liye aap ko application form fill karna padta hai. Aap application online hi fill kar sakte hai. Jismein payment aap Net Banking/ Debit Card/ Credit Card ke through kar sakte hai.
Chaliye online application form fill karne ka process jante hai:
Step 1: Sabse phele official website par jayein.
Bihar Police Constable ke liye yahan click karein.
Bihar Police Sub Inspector ke liye yahan click karein.
Step 2: Iske baad ek page khulega usmein ‘Click here for new registration’ ka option aayega uss par click karein.
Step 3: Iske baad ek naya page khulega. Usmein ‘Part 1 details’ likh kar aayega. Usmein apni details fill karein jaise domicile state, Category, Gender, Mobile number, Email id etc enter karein.
Step 4: Details fill karne ke baad ‘Submit’ par click karein.
Step 5: Submit par click karne ke baad aap dobara se website ke home page par aa jayenge. Ab aap ‘Login Registered User’ par click karein.
Step 6: Aap apni User Id aur password enter karein. Ab jo naya page khulega usmein aapko apni details fill karne hogi jaise educational qualification, date of birth aur other details.
Step 7: Details fill karne ke baad payment karein aur Submit par click karein.
Step 8: Aap application form print bhi kar sakte hai jaha par aapko signature( Hindi aur English dono mein), Photograph submit karni hogi.
Application fees ki jaankari
Bihar Police Constable ke liye
Category | Application Fees |
General/OBC Candidates | Rs.450 |
SC/ST Candidates | Rs. 112 |
Bihar Police Sub Inspector ke liye
Category | Male | Female |
General | Rs.700 | Rs.700 |
BC/EBC | Rs.700 | Rs.700 |
SC/ST | Rs.400 | Rs.400 |
Form bharne ke liye Jaruri Documents
Bihar Police Recruitment 2020 mein aapke paas kuch jaruri documents bhi chahiye jo kuch iss prakar se hai:
- Bihar ke residents ke liye domicile certificate.
- Education qualification ki mark sheets aur certificate.
- Reserved category ka certificate (SC, EWS, BCA,BCB & ESM).
- Recent Photo and Signature.
Bihar Police Selection Process
Iske baad hum baat karte hai ab Bihar Police Selection Process ke baare mein ki aapko kitne step follow karne hote hai Bihar police mein Sub Inspector aur Constable banne ke liye.
Bihar Police Constable Selection Process
- Phase 1: Written Exam
- Phase 2: Physical Test
Phase 1: Written Exam
Written exam ek objective type question paper hota hai jo ki 100 marks ka hota hai. Yeh exam 2 hours ka hota hai jismein 100 question hote hai. Har question ek number ka hota hai. English, Hindi, General knowledge aur Current affairs se hote hai baki optional subjects jaise Maths, Chemistry, Biology, Geography, Political Science, History, Economics mein se kisi 2 subjects se aate hai jo ki aap ko choose karne hote hai.
Subject | No of question | No of marks |
English | 50 questions | 50 marks |
General Awareness | ||
Current Affairs | ||
Maths, Chemistry, Biology, Geography, Political Science, History, Economics( Inmein se aap ko koi 2 subjects choose karene honge) | 25+25 questions | 50 marks |
Physical test ke liye wahi candidate qualify karte hai jo written exams mein total marks ka 30% marks gain karte hai.
Phase 2: Physical Test
Physical test exam total 100 number ka hota hai. Inn teeno rounds High jump, Gola phek, Running mein ek minimum criteria pura karna padta hai nahi to candidate disqualify ho jata hai.
Category | High jump (25 marks) | Gola phek (25 marks) | Running (50 marks) |
Male | 4 feet | 16 pound through 16 feet | 1.6 km 06 minutes mein |
Female | 3 feet | 12 pound through 12 feet | 01 km 05 minutes mein |
Written exam ke marks merit mein valid nahi hota ye exam physical exam ke liye qualifying exam hota hai. Merit list Physical test ke teeno rounds running, gola phek aur high jump mein gain marks ke according bante hai isliye aap ka selection physical test mein performance par depend karta hai.
Bihar Police Sub Inspector Selection Process
- Phase 1: Preliminary Exam
- Phase 2: Mains Exam
- Phase 3: Physical Test
Bihar Police ke dwara written exam conduct karaya jata hai. Yeh written exam 2 phase mein hota hai: Preliminary Exam aur Mains Exam. Dono phase ke paper objective type ke hote hai. Jo prelimnary exam pass kar leta hai wahi mains exam de sakta hai.
Phase 1: Preliminary Exam
Yeh exam 200 marks ka 2 ghante ka exam hota hai. Jismein 100 questions hote hai. Iss paper mein General Knowledge aur Current Affairs se related question puchein jate hai. Jismein candidate ko total marks ka 30% marks exam qualify karne ke liye chahiye hota hai.
Subject | No of question | Marks |
General Knowledge Current Affairs | 100 questions | 200 marks |
Phase 2: Mains Exam
Preliminary exam mein pass hone ke baad candidate ko mains exam dena hota hai. Iss exam mein 2 paper hote hai. Dono paper mein 100 questions hote hai aur dono hi paper 2 ghante ka hote hai.
Paper 1: Iss paper mein General Hindi se related 100 questions puchein jate hai. Jo ki 200 marks ka hote hai. Jismein total number ka 30% marks gain karna necessary hota hai. Iss paper ka marks merit mein add nahi hota hai.
Paper 2: Iss paper mein General Studies, General Science, Civics, Indian History, Geography of India, Mathematics and Mental Ability Test se related 100 questions puchein jate hai. Jo ki 200 marks ke hote hai.
Paper | Subject | No. Of Question | Max. Marks |
1 | General Hindi | 100 Question | 200 Marks |
2 | General Studies, General Science, Civics, Indian History, Geography of India, Mathematics and Mental Ability Test | 100 Question | 200 Marks |
Inn dono phase ke exams mein negative marking hoti hai. Aap ke har galat answer dene par 0.2 marks kam ho jayenge.
Phase 3: Physical Test
Candidate ko iss exam mein pass hona mandatory hota hai. Iss exam mein 4 rounds hote hai jaise High Jump, Long Jump, Running, Gola Phek.
Category | High jump | Gola phek | Long jump | Running |
Male | 4 feet | 16 pound through 16 feet | 12 feet | 1.6 km 06 minute 30 seconds mein |
Female | 3 feet | 12 pound through 10 feet | 9 feet | 01 km 06 minutes mein |
Constable aur Sub Inspector ke Physical test pass karne par aap ka document verification hota hai.
Documents Verification
PMT clear karne wale candidates last phase mein jayenge jo Document Verification hai. Isme aapko saare zaruri documents verification ke liye dene honge. Ye documents vahi honge jo application form fill karne ke samay submit karne honge. Toh agar koi bhi document alag hoga toh usi samay unko reject kar diya jayega.
Jaruri documents ki list ke liye yahan click karein.
Bihar Police Admit Card 2020
Jaisa ki aapko pata hai ki Bihar Police Recruitment 2020 mein males aur females dono ke liye vacancy nikli hai jismein constable ki 9900 aur Sub Inspector ki 1717 post nikli hai. jismein interested candidates apply kar sakte hain. Iss recruitment ke liye apply karne ke baad sabse pada sawal yahi hai ki admit card kaise milega. Aap admit card Bihar police ki official website par ja kar download kar sakte hai.
Bihar Police Admit Card ke baare mein vistaar se janane ke liye yahan click karein.
Bihar Police Syllabus 2020
Chaliye Bihar Police ke Constable aur Sub Inspector ke written exams ke syllabus jante hai:
Bihar Police Constable Syllabus
Subjects | Syllabus |
Hindi | Synonyms, Antonyms, Sentence Error, Sentence correction, fill in the blanks, Comprehension & Cloze Test jaise topic par focus karein. |
English | Synonyms, Antonyms, Sentence Error, Sentence correction, fill in the blanks, Comprehension & Cloze Test jaise topic par dhyan de aur English grammar se related question par focus karein. |
Mathematics | Fundamental Arithmetical operations, Percentages, Ration aur Proportion, Profit aur Loss, Simple Interest, Average, Discount, Partnership, Time aur Work, Time aur Distance, Mensuration. |
General Studies (History, Geography aur Politics) | Social Study ke question Indian History, Culture, Geography, Environment, Economic aspects, Freedom Movement, Indian Agriculture & Natural Resources ke major features aur Indian Constitution & Polity, Panchayati Raj, community development aur 5 years Plan se related honge sath hi Bihar ke Geographical aur Political condition ki General knowledge. |
General Science (Physics, Chemistry aur Biology) | General science ke questions mein har din ke matters ke knowledge ka examination aur unke scientific aspect se related questions include hoga, sath hi 12th standards ke Physics, Chemistry aur Biology subjects ki knowledge. |
Bihar Police Sub Inspector Syllabus
Subjects | Syllabus |
General Knowledge & Current Events | Culture aur Religion, Soil, Rivers, Mountains, Ports, Inland Harbours, Freedom Movement, Sports : championships/ Winners/ Terms /No. of Players, Defence, Wars aur Neighbours, Current Affairs, India ke Important National Facts, Heritage aur Arts, Dance, History, Languages, Capitals aur Currencies, National : Bird/ Animal/ Sport/ Flower/ Anthem/ Song/ Flag/ Monuments, Eminent Personalities, Common Names, Full forms aur Abbreviations, Discoveries, Diseases aur Nutrition, Award aur Authors. |
General Hindi | Synonyms, Antonyms, Sentence Error, Sentence correction, fill in the blanks, Comprehension & Cloze Test jaise topics par focus karein. |
General Studies | Indian History, Indian Polity, Current Events, Geography, Economy se related question. Current national & International events, banking, sports jaise topics par bhi focus karein. |
General Science | General science ke question mein basic knowledge check hogi aapki jismein aapke scientific matter par dhyan dena hoga. Sath hi 12th standard ke Physics, Chemistry and Biology subjects ki knowledge. |
Civics, Indian History, India ki Geography | Social Study ke question Indian History, Culture, Geography, Environment, Economic aspects, Freedom Movement, Indian Agriculture & Natural Resources ke major features aur Indian Constitution & Polity, Panchayati Raj, community development aur 5 years Plan se related honge sath hi Bihar ke Geographical aur Political condition ki General knowledge. |
Mathematics | Questions Simplification, Average, Percentage, Time & Work, Area, profit & Loss, Simple & Compound Interest, Time & Speed, Investment, HCF LCM, Problem On Ages , Bar Graph, Pictorial Graph, Pie Chart aur Data Interpretation jaise topics se puchein jayenge. |
Mental Ability Test | Analogies, similarities aur differences, space visualization, problem solving, analysis, judgment, decision making, visual memory, discriminating observation, relationship concepts, verbal aur figure classification, arithmetical number series, non-verbal series jaise topics se par focus karein. |
Bihar Police Results 2020
Bihar police bharti ke liye Constable aur Sub Inspector exam mein Physical test hone ke baad results aate hai. Jismein selection released merit list ke according hota hai. Jiske baad documents ka verification hota hai jo apne application fill karne ke time submit kiye honge.
Pichle saal Bihar Police Constable ka result February mein nikla tha jabki Bihar Police Sub Inspector exam ka result August mein declare hua tha. Chaliye pichle saal hue exams ke according written exam ka expected cut off jante hai.
Expected Bihar Police Constable Cut Off
Gender | Male | Female |
Unreserved | 79 | 68 |
EBC | 71 | 56 |
BC | 73 | 58 |
SC | 66 | 49 |
ST | 52 | 36 |
Expected Bihar Police Sub Inspector Cut Off
General | BC | EBC | SC | ST | Backward class ki women(3%) | Freedom Fighter ward | ||||||
Male | Female | Male | Female | Male | Female | Male | Female | Male | Female | |||
Preliminary Exam | 109 | 63.6 | 103.6 | 60 | 97.6 | 60 | 88 | 60 | 101 | 60 | 60.4 | |
Mains Exam | 137.2 | 108.2 | 133.4 | 98.4 | 129 | 75.6 | 119.4 | 60 | 128.2 | 93.6 | 90.8 | 76.2 |
Final Selection | 136.2 | 122 | 133.4 | 112.2 | 129 | 85.2 | 119.6 | 68 | 129.6 | 100.2 | 107.6 | 77.8 |
Saari Latest Police Bharti 2020 Updates ke liye click karein
Humein umeed hai iss article se aapko Bihar Police Constable & Sub Inspector Bharti se jude puri jaankari mil gaye hogi. Agar aapke mann mein iske alawa aur bhi koi sawal hai toh comment karke humse jarur pucchein.
2012 see 2017 tak vacancy nahi diya aapne eska jabab chiye. En five years mein aapko pata hai kitne larko ka self respect par var kiya hai. But aap ko esse kiya matlab. Aapka kaam hona chhaiye baki ka to Mar ke jiye sar ke jiye. Aap sabko keval bhhot see matlab hai. Dear sir kabhi en five years mein jitne larka barbad hua hai ouske bare mein sochne vala koi nahi hai
मेरा नाम प्रियंका कुमारी मैं ट्वेल्थ पास किया हूं 2020 में जिसमें दो विषय क्रॉस लगने के वजह से इंग्लिश और मैथ तो ग्रेस मार्क देकर पास कर दिया गया है जिसमें 51 परसेंट बटन ट्वेल्थ में है तो मैं बिहार पुलिस के लिए इसीलिए हूं बिहार पुलिस के लिए फॉर्म भर सकते हैं