territorial_armyta_bharti

TA Admit Card 2020 Ki Puri Jaankari

Yaad rakhe kisiko bhi admit card post hi bheja jayega. Admit card ko online download karna hoga.

Territorial Army Bharti Admit Card kaise download kare?

Step 1: Territorial army ki official website par jaaye – Join Territorial Army ke liye click kare

Step 2: Page khulte hi ek captcha code aayega jisko aapko enter karna hoga website ke andar jaane ke liye.

Step 3: Homepage khulne ke baad “Careers >> Join As An Officer” par click kare

Step 4: Page khulne ke baad “Login” par click kare

Step 5: Apni registered email id aur password use karke apne account mein login kare.

Step 5: Login karne ke baad Admit Card screen par display hojyega. Apne admit card ko download karke A4 sheet par print nikal ke rakhlein.

Note: Exam mein Admit Card ki printed copy ke bina entry nahi milegi. Yaad se apna admit card aur zaruri document jaise ek idenity proof lekar jaaye.

Territorial Army Bharti Admit Cards 2020 ke liye click kare

Login nahi kar pa rahe hai?

Agar aap kisi karan se apni login id ya password bhul gaye hai to ghabaraye mat. Hum aapko batayenge ki password bhul jaane ke baad kaise admit card download kare.

Step 1: Territorial army ki official website par jaaye – Join Territorial Army ke liye click kare

Step 2: Homepage par “Careers” mein jaakar “Join As An Officer” (Career << Join As An officer) par click kare.

Step 3: Page khulne ke baad “Forgot Password” par click kare.

Step 4: Ab maangi gayi details jaise “Email Id, Application Number, Mobile Number & Date of Birth” enter karke Submit kare.

Step 5: Aapko naya password ka option aajyega. Set kare aur phir se login karke Admit Card Download kare.

TA Bharti Exam Centres

Jaipur, Pune, Bengaluru, Hyderabad, Nagpur, Kolkata, Siliguri, Guwahati, Dimapur, Chandigarh, Jalandhar, Shimla, Hisar, Lucknow, Patna, Udhampur, Srinagar.

Territorial Army Admit Card 2020 mein ye details mention hogi

1.    Candidate’s Name

2.    Date of Birth

3.    Gender (Male/ Female)

4. Photograph

5. Exam Time & Venue

6. Important guidelines

Territorial Army Officer Bharti ki selection process ke liye yahan click kare

Territorial Army Pervious Year Question Papers

Previous years ke paper ke liye click kare

Agar abhi bhi aap Territorial Army 2020 ya TA Bharti se juda koi sawal ya koi jankari janna chahte hain toh niche comment karein aur aap humare Facebook group par ayiye aur apna sawal pucchiye, hum apki poori madad karenge.

52 COMMENTS

  1. sir
    i followed the same procedure as disscussed above but after pressing submitting bitton it shows my application form instead of admit card please help me out for downloading my admit card
    phone no. 9896262541

  2. In the admit card, reporting timing and duration of exam is mentioned but the actual timing of exam is not mentioned. Can you please tell me when the exam will over so that I can book my ticket for return.

  3. Mera form download ho ja rha hai .
    But admit card download nhi ho raha hai please help me. Mera form no.hai-19105273.please help me.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here