BSF Head Constable RO & RM Admit Card 2019

bsf_head_constable_bharti admit card

Last updated: 13 September 2019

BSF Head Constable (HC) RO & RM Admit Card 2019 Release ho chuka hai. BSF HC Exam Date Postpone kardi gayi hai. Ab Exam 22 September 2019 ko hoga. 

CISF Constable/Tradesman ki bharti nikal chuki hai. Notification padhane ke liye yahan click kare

Seema Suraksha Bal yani Border Security Force(BSF) Bhaarat ka ek pramukh ardhsainik bal hai aur vishwa ka sabse bada seema suraksha bal hai. Jise 1 December, 1965 ko sthapit kiya gaya tha. Ye Bhaarat ki seema ki raksha karane aur anterrashtriya aparaadh ko rokane ka kaam karti hai. BSF kendriya sarkaar ki ek agency hai jiska niyantran greh mantralaye dwara kiya jata hai. Ye vishwa ka sabse bada seema suraksha bal hai. BSF Head Constable Admit Card 2019 se judi saari jaankari is blog me humne dene ki koshish ki hai.

BSF ne iss saal 1072 Head Constable RO & RM Posts ki posts nikali hai jiske selection process ke exam ka Admit card nikal chuka hai.

** September mein BSF HC ki Vacancies badha di gayi hai. Ab total vacancies kuch prakar hai:

Head Constable Radio Mechanic (RM):786

Head Constable Radio Operator (RO):462

Total vacancy 2019: 1248 Posts

**BSF HC RO/RM Exam Date 2019 postpone kardi gayi hai.

Online Application Start Date14-05-2019
Online Application End Date12-06-2019
Date of OMR based screening test28-07-2019 (Postponed to 22-09-2019)
Date of PST, PET & Documentation From 09-10-2019 (Postponed to 02-12-2019 onwards)
Date of Descriptive written test24-11-2019 (Postponed to 02-02-2020)
Date of Final Medical Exam From 30-01-2020 (Postponed to 13-04-2020 onwards)

BSF Head Constable RO & RM Admit Card kaise download kare?

BSF Head Constable RO & RM Admit Card download karne ke liye ye steps follow kare:

Step 1: Sabse pehle hum BSF ki official website par jaaye – Yahan Click Karein . Iske baad humare samne BSF ka official page khul jayega.

Step 2:Official page khulne ke baad Online Recruitment HC RO/RM par click karein jo humne yellow arrow se show kiya hai.

Step 3: Online Recruitment HC RO/RM par click karne ke baad humari dusri window khulegi jo kuch is tarah ki hogi.

Step 4: Iske baad humein scroll kar ke niche jaana hai aur Download Admit Card par click karna hai.

Step 5: Jese hi hum Download Admit Card par click karenge to humse Registration No. aur Password manga jayega jo hume shuruwat me form bharte samaye mila tha. Uske baad hum captcha code bharenge aur next pe click karenge.

Step 6: Next par click karne ke baad humara Admit Card screen par display hojyega. Admit card ko download karke A4 size sheet par print out nikal le.

Dhyan rahe doston apko apna admit card carry karna compulsory hai warna apko exam me baithne nahi diya jayega.

Selection Procedure Kya Hai:

BSF head constable bharti chaar charno me ki jayegi

Phase 1: Written Test

Phase 2: PST/PET and Documentation

Phase 3: Descriptive Test

Phase 4: BSF Head Constable Medical Test

BSF Head Constable Bharti 2019 ke Syllabus Ki puri jaankari ke liye yahan click karein

Agar abhi bhi aap BSF bharti 2019 ya BSF recruitment se juda koi sawal ya koi jankari janna chahte hain toh niche comment karein aur aap humare Facebook group par ayiye aur apna sawal pucchiye, hum apki poori madad karenge.Yahan click kare

27 COMMENTS

  1. News and Announcements
    OMR Screening test will be held on 22nd Sep 2019 in place of 28th Jul 2019. ओ एम आर जांच परीक्षा अब २८ जुलाई २०१९ की जगह २२ सितंबर २०१९ को आयोजित की जायेगी…. sir my name Vinav Rathod kya ye bat sach hai exam Date Cheng huva hai ….????? please replay mi sir…… JAI HIND

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here