Agar aapko ko desh videsh ghumne ka shauk hai aur aap ek romanchak job karna chahte hai to merchant navy aap ke liye ek sambhavit career ho sakta hai. Merchant navy romanch aur sahaas se bhara profession hai. Merchant navy me salary kafi jyada hoti hai. Aap isme 8 lakh per month tak kama sakte hai aur merchant navy mein job karne par tax dene se bhi bach sakte hai. Merchant Navy detail in Hindi ki jaankari jaise Merchant Navy me kaise jaye ke liye ye article dhyan se padhe aur kare apna sapna sakaar.
Iss article mein hum aapko batayenge Merchant Navy detail in Hindi:
Merchant navy kon join kar sakta hai
Merchant navy course details, colleges aur entrance exams
Merchant navy kya hai
Merchant navy bhale hi sunane mein Indian Navy jaisa lagta ho par yeh Indian Navy se alag hota hai. Merchant navy ya naval engineering ek commercial fleet hoti hai jiska kaam passenger ship, cargo ships, oil aur container ke dwara passenger aur saman ko ek jagah se dusare jagah tak pahunchana hota hai. Merchant navy government aur private dono ho sakte hai.
90% se jyada international import aur export merchant navy par depend karta hai isliye iss field mein technical person se crew member tak ki jarurat hoti hai.
Waise merchant navy ki work profile kafi sari hoti hai par hum usse 3 bhag mein divide kar sakte hai:
Deck Department: Wo department jo ship ki cleanliness ya saaf safai ka dhyan rakhta hai sath hi deck ke chote bade kaam ko karta hai.
Engine Department: Wo department jo ship ki engine ko sahi rakhne aur ship ko kaam karne layak yani technically ship ko sahi rakhne ke liye jimedar hota hai.
Catering Department: Wo department jo deck mein jitne bhi log present hote hai unke khane peene ka dhyan rakhte hai.
To iss tarah se aap inmein se kisi bhi deparment mein apne interest ke according decide kar ke merchant navy mein kaise jaye ka jawab pa sakte hai.
Merchant navy kon join kar sakte hai(eligibility)
Aap merchant navy 10th, 12th, ya B.Tech/ BSc ke baad bhi naval course kar ke join kar sakte hai. Merchant navy male aur female dono join kar sakte hai. Merchant navy join karne ke liye aapki age 17 se 25 years ke beech hone chahiye sath hi aap ‘unmarried’ hone chahiye. Iske sath hi alag alag courses ke liye kuch aur yogayta hoti hai jo ki hum aapko courses ke sath baatyenge.
Girls merchant navy mein kaise jaye (Merchant navy for girls):
Girls bhi 10th, 12th ya B.Tech/BSc ke baad naval course karke merchant navy join kar sakti hai. Girls kisi bhi post par merchant navy join kar sakte hai iske liye koi bhi restriction nahi hai. Mostly girls as officer merchant navy join karna prefer karti hai. Jo eligibilty boys ke liye hoti hai wahi girls ke liye bhi hoti hai.
Kayi institute to girls ko 50% tak ki scholarship dete hai sath hi kayi companies 9 month ki jagah 6 month ki duration ka girls ke sath contract karte hai.
Aap Captain Radhika Menon jaise mahila se inspiration le sakte hai. Captain Menon pehli woman captain hai Indian Merchant Navy mein sath hi pheli woman jinhone sea par Exceptional Bravery ke liye the IMO Award receive kiya.
Merchant navy course details, colleges aur entrance exams
Jaisa ki aap ko pata chal gya hoga ki aap merchant navy 10th, 12th ya B.Tech/ BSc ke baad bhi join kar sakte hai par iske liye aap ko different course karne padte hai. Chaliye different yogayta wale different courses ke bare mein jante hai:
Direct entry in merchant navy after 10th :
10 th ke baad merchant navy ke course karne ke liye aapko 10th standard mathematic, science aur english subject ke sath pass hona chahiye sath hi aapki age 17 se 25 years ke beech honi chahiye.
Aap mentally aur physically merchant shipping rules ke anusaar fit hone chahiye. Aapki eyesight 6/6 hona chahiye aur aap colourblind nahi hone chahiye. Chaliye kuch course ke bare mein jaante hai jise karke aap 10th ke baad direct merchant navy join kar sakte:
Course | Duration |
G.P.(General Purpose) Rating Course | 6 month |
Diploma in Nautical Science (DNS) | 3 month se 12 month |
Commercial Diving | 2 month |
NCV (Near coastal voyage) course | 6 months (academic) + 24 months (Sea training) |
Upar bataye gaye courses karne ke baad as deck ya engine crew aap merchant navy join kar sakte hai. Inn courses ki fees Rs.120,000 se 300,000 tak hoti hai jise aap government ya private institute se kar sakte hai.
Direct entry in merchant navy after 12th:
12th standard ke baad merchant navy join karne ke liye agar aap technical programs mein apply karna chahte hai to aap ko entrance exam dena padta hai.
Aap 12th ke baad inn inn courses ke liye apply kar sakte hai :
- B.Sc. Nautical Science
- B.E. Marine Engineering
- B.E. Naval Architecture and Offshore Engineering
- B.E. Petroleum Engineering
- B.E. Mechanical Engineering
- B.E. Harbour & Ocean Engineering
- B.E. Civil Engineering
- B.E. Electrical & Electronics Engineering
- B.Sc. Marine Catering
- Electro Technical Officer Course
- B.Tech (Marine Engineering)
- B.Tech (Naval Architecture & Ocean Engineering)
- B.Sc (Maritime Science)
- B.Sc (Ship Building & Repair)
- BBA (Logistics, Retailing & E-Commerce)
- 1-Year Diploma in Nautical Science leading to b.sc. (Applied Nautical Science)
Yeh courses 3 saal se 4 saal tak ke hote hai. Jinki fees (approx) Rs.200,000 se 600,000 lakhs tak hoti hai jo ki different colleges aur locations par depend karti hai.
Direct entry in merchant navy after B.Tech/ BSc:
Aap graduation karne ke baad bhi merchant navy join kar sakte hai. Engineering students B.tech karne ke baad inn dono course mein se koi ek course karke merchnat navy join kar sakte hai:
- PGDME (GME) : 1 year
- ETO (Electrical Technical Officer) : 1 year
Inn courses ki fees Rs.150,000 se 300,000 tak hoti hai. Jo ki different colleges aur locations par depend karti hai.
Ye dono hi course 1 saal ke hote hai jo aap ko B.Tech ke baad merchant navy join karne ke liye karne padte hai. Aap kisi bhi stream se BSc karke merchant navy join kar sakte hai. Bsc ke baad aap ko direct admission milta B.tech ke 2nd year mein. Aap inn B.Tech courses mein se ek course kar sakte hai jinki duration 4 saal hoti hai:
- B.Tech ( Marine Engineering)
- B.Tech ( Naval Architecture & Ocean Engineering)
Inn courses ki fees Rs.200,000 se 500,000 tak hoti hai. Jo ki different colleges aur locations par depend karti hai.
Note: Aagr apne BA mein graduation ki hai par apne 12th standard science stream se ki hai to aap merchant navy after BA join kar sakte hai. Aap 10th aur 12th ke baad wale course karke merchant navy join kar sakte hai.
Merchant Navy Entrance Exams:
Mainly 4 entrance exams hote hai different courses ke liye jismein aap apply kar sakte hai aur entrance exam qualify karke unn courses ko karne ke baad merchant navy join kar sakte hai:
IMU CET: Indian Maritime University Common Entrance Test (IMU CET) ek national level entrance exam hai jo ki undergraduate aur postgraduate courses mein admission ke liye conduct karya jata hai. IMU CET ka exam may-june mein hota hai. Iss exam ke through aap niche bataye gaye courses mein admission le sakte hai:
- B.Tech Marine Engineering
- B.Tech in Naval Architecture and Ocean Engineering
- B.Sc Nautical Science
- B.Sc Ship Building and Repair
- Diploma in Nautical Science
- M.Tech in Marine Technology and Management
- MBA
IMU CET entrance exam dene ke liye aap ko inn criteria ko pura karna padta hai:
- Candidate married nahi hone chahiye.
- Candidate ki age 17 se 25 years ke beech honi chahiye.
- Candidate jo engineering / B.Sc / Diploma courses ke liye apply kar rahe wo 12th Physics, Chemistry, Mathmatics subjects ke sath 60% aggregate mein pass hone chahiye sath hi English subject mein minimum 50% score hona chahiye.
- Candidate ko doctor ke dwara banaya hua medical certificate submit karna padta hai jo ki Director General of Shipping ke dwara approv hona chahye.
- IMU CET ke through admission lene se phele candidate passport ke liye apply kar dena chahiye agar passport unke pass passport na ho.
Exam pattern: IMU CET ek 3 ghante ka online mode mein hone wala ek national level entrance exam hai jo ki 200 marks ka hota hai aur ismein MCQ type ke questions puche jate hai. Jismein negative markting nahi hoti hai.
B.Tech aur M.Tech course ke exam mein Physics, Chemistry, Mathematics, GK aur Aptitude ke question puche jate hai. MBA ke entrance exam mein Quantitative, verbal, Data interpretation, and logical reasoning abilities ke question puchein jate hai.
Jyada jaankari ke liye yahan click karein.
AIMNET: All India Merchant Navy Entrance Test (AIMNET) ko Offshore Shipping Academy, Approved by Ministry of Corporate Affairs Govt. of INDIA conduct karta hai. Jiske through aap india ke 600 board school mein admission le sakte hai. Iss exam ke through aap niche bataye gaye courses mein admission le sakte hai:
- B.Sc Nautical Science
- B.Tech Naval Architecture
- G.P. Ratings
- Diploma of Applied Science (deck watch keeper) by AMSA
- B.Tech Marine
- MBA (Shipping and logistics Management)
Yeh ek online test hai jis mein MCQ type ke question aate hai jo ki Physics, Mathematics, Chemistry,English, General aptitude aur general knowledge se related question hote hai.
Jyada jaankari ke liye yahan click karein.
TMISAT: Tolani Maritime Institute Science Aptitude Test( TMISAT) bhi ek national level entrance exam hai jis mein undergraduate courses mein admission lene ke liye apply kar sakte hai. Yeh exam saal mein 2 baar conduct hota hai April aur june mein lekin candidate kewal ek bar hi exam de sakta hai. Inn undergraduate course ke liye TIMSAT ke through aap apply kar sakte hai:
- B.Tech Marine Engineering
- B.Sc Nautical Science
TMISAT online mode mein hone wala 90 minutes ka test hota hai jiske iske sath hi 30 minutes ka behavioral assessment bhi hota hai. Online test ek MCQ type ka paper hota hai jis mein Physics, Mathematics, Chemistry, Analytical aur logical reasoning se related question hote hai.
Iss exam ko dene ke liye aap ko inn criteria ko satisfy karna hota hai:
- Candidate married nahi hona chahiye.
- Candidate ki age 17 se 25 years ke beech honi chahiye.
- Candidate ko 12th Physics, Chemistry, Mathmatics subjects ke sath 60% aggregate mein pass hone chahiye sath hi English subject mein minimum 50% score hona chahiye.
Jyada jaankari ke liye yahan click karein.
MERI Entrance Exam: Marine Engineering and Research Institute (MERI) engineering undergraduate courses ke liye hone wala entrance exam hai jo ki state level par offline mode mein hota hai. Jiski duration 3 ghante ki hoti hai. Aap MERI Entrance exam ke through inn courses ke liye apply kar sakte hai:
- 3-year course leading to B.Sc. (Nautical Sciences) Degree
- 4-year Marine Engineering Degree
- 3-year Polyvalent B.Sc. (Maritime Sciences) Degree
Yeh courses aap T.S. Chanakya. Navi Mumbai, Marine Engineering & Research Institute (MERI) Kolkata aur Marine Engineering & Research Institute (MERI),Mumbai jaise institute se entrance exam qualify karne ke baad kar sakte hai.
MERI entrance exam dene ke liye aap ko inn criteria ko pura karna padta hai:
- Candidate 12th pass hona chahiye.
- Candidate Physics, chemistry aur mathematics ke sath 10th aur 12th pass hone chahiye.
- Candidate ke 12th mein 60% marks hone chahiye, SC&ST category ke candidate 55% marks ke sath pass hona chahiye.
MERI entrance exam hindi aur English dono mode mein hota hai. Yeh exam 3 ghante ka MCQ type ka question paper hota hai jismein physics, chemistry, reasoning, analytical aur test comprehension se related question hote hai. Jo ki june end mein hota hai.
Jyada jaankari ke liye yahan click karein.
Entrance exams | Level | Course offered | Mode | Official website |
IMU CET | National | ·B.Tech Marine Engineering ·B.Tech in Naval Architecture and Ocean Engineering ·B.Sc Nautical Science ·B.Sc Ship Building and Repair ·Diploma in Nautical Science ·M.Tech in Marine Technology and Management ·MBA | Online | |
AIMNET | National | ·B.Sc Nautical Science ·B.Tech Naval Architecture ·G.P. Ratings ·Diploma of Applied Science (deck watch keeper) by AMSA ·B.Tech Marine ·MBA (Shipping and logistics Management) | Online | |
TIMSAT | National | ·B.Tech Marine Engineering ·B.Sc Nautical Science | Online | |
MERI | State | ·3-year course leading to B.Sc. (Nautical Sciences) Degree ·4-year Marine Engineering Degree ·3-year Polyvalent B.Sc. (Maritime Sciences) Degree | Offline |
Kuch famous merchant navy colleges in India:
- Tolani Maritime Institute , Pune
- Samundra Institute of Maritime Studies, Lonavla
- Great Eastern Instituteof Maritime Studies, Lonavla
- Anglo Eastern Maritime Academy , Karjat
- Training Ship Rahman, Mumbai
Merchant navy mein jobs
Aap merchant navy mein kaise jaye ya job 10th, 12th aur B.Tech/BSc karne ke baad kuch basic marine course karke merchant navy join kar sakte hai. Officer rank par merchant navy join karne ke liye aapko minimum 12th pass hona chahiye. Merchant navy par lagbhag 90% import export depend karta hai jisse ismein technical crew se Captain tak ki jarurt hoti hai.
Chaliye kuch important job profiles ke bare mein jante hai:
- Radio officer: Radio officer wo hota hai jo deck par kaam karne wale staff par control rakhta hai.
- Electrical officer: Electrical officer engine room ke electrical samano ko maintain karta hai.
- Nautical Surveyor: Ye staff samundar ke maps par kaam karte hai.
- Pilot of ship: Ship ki speed, direction aur raste ko decide karna pilot ka kaam hota hai.
- Vice captain: Vice captain ship ke captain ko assit karta hai sath hi deck mein kaam karne wale logo par control bhi rakhta hai.
- Captain: Captain ship ke saree cheezo par control rakhta hai. Captain pure ship ki dekh rekh karta hai.
Merchant navy recruitment :
Merchant navy sector mein kuch top recruiting companies ki list. Jinki sites par ja kar aap recruitment check kar ke apply kar sakte hai:
Merchant navy mein salary
Merchant navy sabse jyada salary dene wale professions mein se ek hai. Merchant navy mein salary Rs. 20,000 se start ho kar Rs.8 lakh per month tak jati hai. Salary aapki job profile, import-export, seniority aur company par depend karta hai.
Ship ka Junior engineer Rs.70,000-1,00,000 per month tak kama sakte hai jis mein agar wo ship par hai to ship ki boarding aur lodging free hoti hai. Iske baad second engineer ki rank aate hai aur phir Chief engineer. Chief engineer ki salary Rs.2,50,000-5,00,000 per month tak ya usse jyada bhi ho sakte hai jo ki company par depend karta hai.
Ek Junior Engineer ko Chief Engineer ki rank tak promote hone mein 6-7 saal lag jate hai jo ki aap ki capability aur available job opportunity par depend karta hai.
Third officer ki salary Rs.2,00,000-4,00,000 per month tak hoti jis mein ship par hone par boarding aur lodging free hoti hai. Third officer promote ho kar second officer banta hai phir chief officer aur phir Captain ki rank hoti hai. Captain ki salary Rs.5,00,000-8,00,000 per month tak ho sakti hai.
Ek Junior engineer ko Chief Engineer ki rank tak promote hone mein 6-7 saal lag jate hai aur Third officer ko lagbhag 8 saal Captain ki rank tak promote hone mein jo ki aap ki capability aur available job opportunity par depend karta hai
Iske sath hi merchant navy ki salary par koi tax imposed nahi hota hai. Merchant navy mein kaam karne wale log ek saal mein 4 mahine ki chutti ke haqdar hote hai. Iske alwa imported liquor, cigarettes, canned foods, cosmetics board par duty free available hote hai.
Humein umeed hai iss article se aapko samajh agaya hoga ke aap merchant navy mein kaise jaye. Agar aap ke mann mein iske alawa aur bhi koi sawal hai merchant navy mein kaise jaye se juda hua hai toh comment karke humse jarur pucchein.
I have interested
I’m interested.
Aap ne kya padhai ki hue hai 10th, 12th ya graduation ?
Acha hi nic
12th but through commerce sector
Sorry science zaruri hai aur hum naukri nahi de rahe bas is career option ke baare mein jaankari de rahe hai.
Nice
Jise English ni aati wo bhi ise join kr skte h ky sir plz btaye
Merchant navy mein jane ke liye aap 10th standard english ke sath pass hone chahiye sath hi 12th standard ke baad hone wale entrance exams mein bhi english se question aate hai. Agar aap ye criteria fulfill nahi karte to aap merchnat navy mein nahi ja sakte.
Can any one prefer a best collage for merchant navy
I m interested
Hello mam I’m interested plzzz call me 8766898402
12th, ITI complete hai mera
Akshay hum naukri nahi de rahe bas is career ke baare mein jaankari de rahe hai
Nice
Sir i have done 3 Year hospitality management after 12th with English can I join merchant Navy
Aapko 12th mein PCM honi zaruri hai.
Pcm ka matlab
Physics, Chemistry aur Maths.
I m interested
Chetan aap iss article ko padhakr jaan payenge ki kaise aap merchant navy mein jaa sakte hai.
I am studying a science BSc second year
Aap Bsc complete karne ke baad apply kar sakte hai.
I want to merchant navy. I have completed 12th.
Bahut achi baat hai. Humne article mein puri jaankari de rakhi hai jise padhkar aapko pata chal jayega ki kaise merchnat navy mein jaaye.
acha
hai
12th Ma maths ya bio kon se site hona chaise.
Science side mein non medical lene se fayda hoga.
Yes
Meri Dilchaspi h
I am ready
Join Indian Navy
Join indian navy
I m interested ..
I have ajob
I have join to merchant navy
Thanks for the information
I am agree
I am ready
Job
I am mechanical engineer i like this job
You can apply.
It’s my biggest Dream to join navy. And work hard
Thanks
I have PCB so I can jion
Yes you can.
My join indian navy
Those who are from commerce sites can’t apply for it.why?some reason behind it.
It requires certain qualification because of the work profile.
i am interested in this job
I am interested
It’s my biggest dream to join merchant nevy get a work hard iam ready
Mmi am interested I have passed 10th and I have to join directly what type procedure I have to follow please help me
Bharat humne article mein saari jaankari de rakhi hai please dhyan se padhe.
Want to something for the nation
I am interested
I am interested
Name Rohit
Father Vikram Singh
State Kurali Punjab
12passed
I join to navi
Hi hum naukri nahi de rahe bas is career ke baare mein jaankari de rahe hai
How to join merchant navy after 12th class.and which course will.do
We have given all the required information in the article kindly read it.
I want join to merchant navy sir
re you qualified? to article mein humne apply karne ki sari jaankari de rakhi hai.
I am interested
Hi
hum naukri nahi de rahe bas is career ke baare mein jaankari de rahe hai
kerna job m na
Hi hum naukri nahi de rahe bas is career ke baare mein jaankari de rahe hai
I am interested
Hi Ronak, hum naukri nahi de rahe bas is career ke baare mein jaankari de rahe hai
Hii
Hi kya aapko koi sawaal hai?
Please tell me about next vecency
I passed 12th in 2019
How l get this job
Hi,
Hum naukri nahi de rahe bas is career ke baare mein jaankari de rahe hai
I am ready
Juned hum naukri nahi de rahe bas is career ke baare mein jaankari de rahe hai.
Main commerce stream se 12th pass him
Sonu isme science stream chahiye hoti hai.
I am interested mam but I have PCM 59%.
We are not providing job here.
But I don’t have first division in 12th. So which institute nd college I can join.
Mera 12th me
Physics 65 marks
Mathematics 57 marks
Chemistry 47 marks
English 68 marks
Total 61.60 percentage hai .
Can eligible for this?
Please tell me
Yes you are.
I am waiting for you mujhe aapna carrier Bana h me navy me ana cahta ho
Hum job nahi de rahe. Hum sirf is career ke baare mein jaankari de rahe hai.
I am interested and my qualifications is B.E. mechanical
We are not providing job here. We are just giving information for this career option.
Sir I want to join Indian. Navy
Kindly read here: https://www.joshtalks.com/joshkosh/sarkari-job/indian-navy/indian-navy-latest-male-recruitment/
Sir I want to join marchan navy
Hi Yashika, we have provided all the information regarding this career option. We do not provide job here.
Hello my name is Arun want to join …and I want more information about marchent Navy .. please some buddy contact me please please 6260933364
Kya ye jaruri h ki 12th me 6o%marks hi ho in pcm
Hanji
Good job
I liked
Mam merchant navy ke course krne ke baad direct job mil jayegi ya entrence exam dena hoga… Tell me mam..
Mam beater kon sa college se course karne me rahega government ya private
Or kon sa state se
Sir me 10th se lekar graduate tak arts subject me se hu kya m aply kar sakte hu
Nahi, aapko science background chahiye hoga.
I like this job good job
Mam arts ki h +2pass give me aa job becoz iam poor family
11th pass
How to join as a officer mam
I am 12 th pass science candidate
Aap dilaingi mujhe Navy me job kitne lakh rupee lengi plzz reply urgently for job in Navy
Kya iske koi govn clg bhi hai…jaha pr fees me scholarship mil jaye
I am b. A complete in moti bag campus mujhe mairi cahiye
Good Day
Mam/ Sir I interested merchant Navy and cruise ship I working in passenger ship in Iran I’m stay one year in Iran have one year experience cruise ship can you possible you provide cruise ship
Thank you
👌👌👌
Sir maine 12th pcm se kr rkhi h or mujhe 6 month wala course krna h but kaha se Kru
Please help me
Kis chiz ka course karna hai?
Mera garducation ho chuka hai or me b.com k jriyae toh kya me aplay kr shakta hu
Aapne 12th kaunsi stream se ki thi?
B.a pass art’s +iti complete me apply kese karu or join kese karu please help me
Sorry, you cant apply. Iske liye 12th science stream se honi chahiye.
I am 10th pass kya me apply Kar sakta huu toh apply kha se kre aur join kese kre please tell me
You need to be 12th pass atleast.
12th pass with PCB. can I eligible for this?
Yes you are if you have 60% in 12th boards.
I am interested in
12 (science) ho gaya
Hi, we are not offering the job. We are just providing information about this career option.
I am 10+2 pass and running b.sc science subject i am eglibal
Yes you can apply but we are just providing information here.
Mai 12th pass hu commerce student kya AI join Ho sakta hu merchant navy me
Nahi, aapke pass 12th mein science stream honi chahiye.
Mam mai B.Sc. bio.. Ka student hu kya m marchant navy m ja sakta hu
Ji haan, ja sakte hai.
I am studying in 12th science
If you are from science stream then you are eligible for it.
12th com se hu konsa course karna h
Nahi, aapke pass 12th mein science stream honi chahiye
I’m interested
Hi, we are not offering the job. We are just providing information about this career option.
Nice job
You need to be 12th pass atleast.
Yes from science field with atleast 60% marks
Mera 12th me50% but English me nhi hai kya Mai joint Kar sakte hai
No, you need minimum 60% to be eligible for it.
I am in 3rd year of mechanical engineering, how can I join the merchant navy after BE Mechanical?
I am ready for join indian merchant navy
Boz i am a science student (PCM)
Hi, we are not offering the job. We are just providing information about this career option.
12th pass by commer streem
It requires 12th pass from science stream.
I am 12th pass pcm se hu
Hiii
I am in 10th and i want to join Merchant Navy which is my dream. Please tell me when r the exams or any registration to do. I am Ready for it.