Travel Agency Business Kaise Shuru Kare?

travel agency business plan

India mein tourism industry 7-10% har saal badh rahi hain.Indian government ne bhi ye change dhekha aur kaafi isse promote kara jara hain.Travel agency ek service providing business hain.India tour and travel industry ki 12th rank hain 184 countries mein se aur 50% log India ghumne aate hai unmein se jo South Asia ke tourists hain.India mein tourism har saal kaafi bad raha hain aur abhi bhi kaafi logo ko ticket book karana nahi aata hain.Kaafi log bahar se India ghumne ke liye aate hain. Ismein ticket booking aur package booking ke liye travel agencies ki zarurat padti hain. India mein seven wonders of the world mein se ek hain, Taj Mahal aur har saal tourist attraction bad hi rahi hain. Agar aapne kabhi apna travel agency business plan chalane ka socha hain toh iss blog mein aapko travel agency business plan ke baare mein janane ko milega.

Travel agency kaise se judi puri jaankari yahan jaaniye-

Travel agency kya hota hain

Travel agency kaise shuru kare

Punji aur Infrastructure

Registration process, licenses

Travel agency business mein munafa

Prachaar (marketing)

Travel agency business tips

Kuch puche janane vaale sawal javab


Travel agency business chalane ke liye koi technical skills ya course karne ki zarurat nahi hoti. Lekin aapko consumer ki ghumne ki pasand samajh aani chahiye aur baat chit karna unse ache se. Travel agency business plan shuru karne mein laagat bhi itni zyada nahi hain aur profit bhi acha hain. Agar aap dil se iss sector mein interest hain toh aap kaafi aage ja sakte hain.

Travel agency kya hota hain

Travel agency ek type ka business model hain jismein ticketing, online bookings se related kaam hota hain.Travel n toursim ke business connections aur network pe dependent hain. Agent ka matlab hai middleman jo apni services aage provide karke uss service ke liye tax charge karta hain. Har agents ka ek network hota hain aur jitne zyada acha sambhand utna bada business ka scope. Travel agency mein kaafi tarike ki services provide kari jaati hain jaise hotel, bus, visa, tourist guide, etc. Kaafi logo ko naye shehar jane se pehle uss jagah ka culture, rules aur regulations ka nahi pata hota hai. Aise mein travel agencies apna support provide karti hain aur tourists ko safar comfortable aur mazedaar banati hain.

Ek travel agent ka kaam hota hain ki customer ke budget mein unko services provide karna. Ve customers ko unke price limit ke andar best hotel booking, tour packages, aur transportation ki suvidha dete hai.

Travel agency kaise shuru karete hain

Travel industry mein aapko interest hain aur market ki samajh hain toh aapke liye ye buisness kaafi acha rahega. Iss business ko shuru karne  ke liye koi degree ya course ki zarurat nahi hain aap kisi ke yaha thode time kaam karke bhi seekh sakte hain.Travel and toursim ke short term courses bhi hote hain aap unko bhi karna consider kar sakte hain. Ismein sabse zaruri hain trends aur customer ki requirement samjhna. Kaha rehne vale log kaha ghumna pasand karte hain aur kaise unko best deals, offers provide kar sakte hain.

Travel agency ka business plan kam investment mein aap ghar se bhi shuru kar sakte hain. Travel agent ki kamaai zyadatar  commsisson based hoti. Ye ek chote laagat vala business model hain.Iske liye aapke paas ek shop honi chaiye ya ghar se ya ek office area hona chahiye.Uska kya size hain vo itna maniye nahi karta. Ye business kyunki phone aur internet ke support se run kiya ja sakta hain toh aapko koi specific location ki nahi zarurat jaha shop honi chahiye. Aapki online ek achi presence ho sakti hain bina kisi dukaan se bhi.

Do tariko se travel agency business plan execute kar sakte hain-

  1. Kisi company ke saath jud ke(B2B) Iska matlab hai aap unki franchise lenge aur vo aapko ek portal denge ticket booking ka. Vo aapko kuch set commission slabs denge jiske hisaab se aapko commission milta hain. Commission jitni aap tickets book karenge usse hisaab se milta hain ya usse asaan kare toh jitni aap company ke liye sale karvate hain.
  2. Dusra tarika hain aap khud ka inventory pura set  up kare aur apni service provide karne ke liye charge le. Jaise aap koi train ka ticket book kare IRCTC se aur uspe thoda zyada charge karke customer se le toh vo aapka profit hota hain.

Ismein aap apni taxis kharid ke unhe rent out kar sakte hain par usmein shuru mein investment zyada hain.

Travel agency mein kya kya services provide kari ja sakti hain-

Train ticket booking, tourist guide service foreigners ke liye, Passport visa services, bus volvo booking, airline ticketing, hotel rooms booking, cab taxi booking service, money transfer, PAN aur AADHAR card service.

Kuch travel agency companies jo franchise deti hain unka naam hain-

Makemytrip

Traveleasy

Coxandkings

Riya travels

SOTC Holidays

Akbar tour n travels

Main fayda jo aapko travel business mein rehta hain vo aata hain packages banake bechne mein, student visa aur study abroad support dene mein,aur corporate firms ko booking plans bechne mein.

Tour Packages design karke bechne mein aapko ( Air tickets, hotel booking, visa facility , local sightseeing jaise activities ki tickets aur in-city ghumne phirne ke liye transportation ) jaise bookings karni hogi aur aage unhe market karna hoga.

Online air tickets book karne ke liye aapko Global Distribution System chahiye hoga. Aap kisi bhi GDS ko approach kar sakte hain ya phir direct Airline’s ki website se tickets book kar sakte hain.
Agar aapka ek acha network hain toh aur koi lead aapke paas aaye toh aap usse aage bhi de sakte hain dusre agencies mein aur uss lead transfer ka bhi aapka commission milta hain. Shuru-shuru mein aap sirf aise hi apna business shuru kar sakte hain jisse aapko query aage. Transfer karne ke commission basis pe paise mil jaenge.

Ek travel agent ko jiss area mein zyada operational hain vaha ke saare tourist spots ke baare mein pata hona chahiye aur ek complete city guide apne customers ko di jaiye toh kaafi acha impression rahega. Apne area ke hi nahi saari jagaho ka idea ho toh kaafi achi baat rahegi. Shuru mein agar aapke price kam honge tohi log aapki service lena chahenge.

Punji aur Infrastructure

Travel agency ka business shuru karne ke liye kitna paise lagega aur kya kya chize chahiye hongi. Ismein aapko paise zyada nahi chahiye.

Requirement

Cost

1.Jagah 

Rent-Rs. 10000-15000

2. Laptop ya desktop

Rs.25000-40000

3. Website 

Rs.5000-25000

4. Internet connection

Rs.500-1500

5. Printer

5000

6. Inverter

15000

7. Visiting card

500-1000

9. Shop Board

800 per square feet (approx)

8. Furniture

 ( Table, chairs)

15000-20000

Total

105000-135000(approx)

Sabse zaruri ismein aaj ki date mein aapki digital presence hoti hain aur webiste honi bahut zaruri hain agar aap apna personal shuru karna chaha rahe hain toh. Baaki visiting cards, internet connection rent, aur laptop sabka cost milake aapko ye business shuru karne mein kam se kam Rs. 105000-135000 (approx) lag sakte hain. Kaafi chize aapke paas already hai toh aap ghar se shuru kar sakte hain usmein aapko office space rent karne ki zarurat nahi padegi aur furniture ka kharcha bhi nahi padega. Aise karne se aapke paise bhi  bach jaate hain. Apne ghar se shuru karne pe aapka electricity bill, rent, maintenance, jaise kharche bhi bach jaate hain. Jis company se aap agar franchise basis pe tie up karte hain toh unki bhi kuch fees hoti hain. Ye fees har company ki alag hoti hain par example ke taur pe ye Rs.1000 se shuru hoti hain.

Yadi aapko business shuru karne ke liye loan chahiye toh uske upaar humne pura article likha hain. Aap yaha click karke jaan sakte hain.

Registration process, licenses

Travel agency shuru karne ke liye aapko kuch kaafi zaruri licenses lene honge. Niche unn sab licenses ke details di gayi hain.

1. Company registration- Aapko company registration karvana hoga. Aap chahe toh Pvt Ltd. ya One Person Company (OPC)  ya Partnership mein register karva sakte hain jiske liye aapko company act ke according rules follow karne honge.

2.GST Registartion- GST registration bahut zaruri hai taaki aap gst charge kar paye apne customers se jab aap unki ticket book kare. GST Registration ke upar humne pura alag article likha hain jiske baare mein aap yahan click karke jaan sakte hain.

Aapko apne dukan ka GST registration bhi karwana padega . Aap apni dukan ka GST registration government dwara provided website se kar sakte hain,jiska link yeh hai – GST ki Official Website aur iske liye humein inn documents ki zaroorat hai-

  1. Aapka PAN Card.
  2. Business Registration ka proof.
  3. ID & Address proof(photograph ke saath).
  4. Aapke business ka address proof.
  5. Bank Account Statement.
  6. Digital Signature.

GST form kaise bharein janne ke liye yahan click karein

3. Current bank A/c aur Savings Bank A/c.- Current account toh business transactions ke liye zaruri hai kyunki sab bookings online hoti hai aajkal. Iske saath ek saving account ka card hona acha rehta hain safer side pe.

4. Ministry of tourism Registration- Ye registration 5 saal ke liye hoti hain. Puri information aur form ki jankari yaha se aapko milegi.Travel agent ko incentives aur concessions milte rehte hain government ki taraf se time to time. Approved certificate of approval of recognition aane ke baad aap usse apne office area mein frame karvake display kar sakte hain jisse potential customers pe ek impression padta hain.Agar travel business shuru karna hai toh ministry of tourism ki website pe jana hoga.

5. IATA Registration- IATA registered travel agent ek International level travel agent mana jata hain aur uske baad foreign tourist bhi aaram se book kar sakta hain kyunki aapke paas international agency proof aajaega. IATA aapko complete training provide karvati hain jisse aapko business chalane aur grow karne mein madad hoti hain.

Apni travel agency IATA ke andar register karvane ke kaafi fayde hain-

1.Isse agency ko aur logo tak pahunche mein fayda hota hain aur overall value badhti hain.

2. Agency ki authority badhti hain aur foreign clients ka trust gain kar pati hain.

IATA Registered process yahan se jane.

4. Trademark registration- Agar aap apni agency ko ek brand ki tarah dhekte hai aage aur uska naam protected rakhna chahte hai toh ye advisable hain ki aap tradmark register karvale. Registration se judi aur jankari yaha paye.

Travel agency business mein munafa/kamai

Travel agency ki kamaai  hoti hain commission basis pe.Ya toh apne time aur service dene ke liye kuch charge liya ja sakta hain.Varna agar aapke B2B kisi company ke saath jude ve hai toh aapko har ticket ke hisaab se ya ek certain no. of tickets bechne ke hisaab se paise milte hain. Ismein aapko targets bhi diye jaatein hain aur unko bhi achieve karne ke baad aapko incentive ya offer deti hai company.

Badi travelling company packages nikalti hai aur agar aap unhe bechte hai toh aapko acha commission milta hain. Taxi service provide karke bhi aap earn kar sakte hain.Dhire dhire aap apne packages bhi bana sakte hain aur taxi bhi kharid sakte hain.

Jaise aapka network aur naam ban jata hain aur aapki services bhi bad jaati hain toh aapko aaram se mahine ka kam se kam Rs. 35000-70000 tak ka profit ho sakta hain.

Prachaar (marketing)

1. Travel agency ki marketing ke liye facebook ads best option rehta hain aur baaki aap apne existing customers ko offer ke saath Whatsapp pe personalised discount message bhej sakte hain.

2. Google My Business se bhi local leads laane mein kaafi help hoti hain kyunki kaafi log search karte hain Travel agency near me ya ticket booking in (city ka naam).

3.Aap kisi college ke event ko sponsor karke apna naam bana sakte hain aur baad mein vacations ke time unke groups mein apne tour ka post promote kar sakte hain.

4. Instagram ka pura fayda uthaye aur short videos daale vaha pe jaise top 10 places ghumne ki kisi particular city mein.

5. Aap influencer marketing kar sakte hain aur travel bloggers ko sponsored trip de sakte hain.

6. Quora pe aap answer kar sakte hain travel related logon ke questions apne company account se usse ek authority aur trust build up hota hain.

7. Kaafi travel platforms hai ab aur aap unpe active rehke apni stories aur travel hacks share kar sakte hain.

8. Adventure activities aur camping jaise trips kaafi popular hain college students ke beech, toh aap koi college mein specially jaake pitch kar sakte hain ya phir corporates bhi apne employees ko trips gift karti hain.

Travel agency business plan tips

1.Website kaafi achi honi chahiye aur koi bhi option navigate karne mein asaani honi chahiye. Aapki website pe ache se details honi chahiye famous cities ki aur tourist places ki.

2.Apne website ko, local listing ko ache se optimise kare aur social networking sites jaise Facebook, Instagram pe bhi kaafi active rahe. Video testimonial ka kaafi acha response hota hai in platforms par. Aise karne se naye audience ka trust build up hota hain.

3.Aap travel platforms jaise Trello aur Tripoto jaise travel story platforms pe apna ek image bana sakte hain details  aur travel se judi information share karke.

Example ke taur pe

-Best places kya kya hai June-July mein ghumne ke liye.

 -Ya solo travel plan kaise kare?

4.Aap local newspapers mein ad deke publice kar sakte hain.

5.Aap naye naye packages banake unke ad chala sakte hain aur holidays ke time pe aapko acha result aaega.

6.Agar aapko apna travel agency kholne mein dikkata aa rahi hain toh aap kisi branded tarvel agency ka franchise le ke kaam shuru kar sakte hain. Ismein risk kam hota hain kyunki aapko brand nahi build up karna padta aur ismein experience na ho toh aap operations carry kar sakte hain phir bhi kyunki procedure vo sab aapko sikhaya jata hain.

7. Aap apne customers ke numbers organise karke unhe whatsapp pe apne naye offers aur packages ka uppdate send kar sakte hain.

8.Iss business mein jitne connections, network ho utna fyada rehta hai kyunki service query ya lead aage bhejne par bhi aapki firm ko benefit hota  hain.

9.Treks aur solo backpacking travelling bahut popular hai aaj kal. Kaafi log group main adventurous jagah jaane mein dilchazbi rakhte hain toh aap koi aise tour organise karva sakte hain.

10.Aap small tour plans banake schools,colleges,corporates aur institutions ko pitch kar sakte hain.

11.Apki service skills bahut maniye rakhti hain aur kaise aap apne existing customers ko retain karte hain uska karaaan ye hain ki vahi aapko aur customers laake denge aur iss industry mein referral bahut zaruri hain. Word of mouth se bahut fayda hota hain tourism industry mein.

12. Kaafi travel agencies reservation aur booking business mein hone ke saath saath DTH aur recharge  business bhi shuru kardeti hain. Aap saath mein forex ki knowledge bhi le sakte hain aur dhek sakte hain usse apne business model mein kaise add karein.

13. Ye advisable hain ki aapki tickets sahi se stamped aur dated ho aur aapke computer mein kaafi clients ka data hota hain toh aapka computer secured rahe isliye privacy policies ka dhyaan rakhe.

Kuch puche janane vaale sawal javab

Q1.GST lena zaruri hain agency registration ke liye?
Ans- Travel agency business ke liye aapko GST lena zaruri hai kyunki uske bina aapka current account nahi khulega aur ticket booking transactions ke liye aapko current A/c. toh hona hi chahiye.

Q2.Konsa company ki franchise best hain?
Ans- Kis company ki franchise best hain jo leni chahiye toh aapko terms aur conditions padke aur jo aapko suit kare, jiska service fast aur payment vo aapko dhekna hoga.

Q3. Network kaise badaye?
Ans-Aap local agencies ke saath tie up kar sakte hain baaki online jiska presence acha ho unse contact karle.  Ye business tie ups aur connections pe dependent hain aur aata va business kise nahi pasand? Kaafi travel agencies ke network hote hain aur unpe uss chiz ki availability na ho toh aage transfer kar dete hain jisse unhe thoda commission miljata hain.

Q4. Kis company ka commission sabse zyada hain?
Ans- Commission sales(number of booking) ke hisaab se hoti hain aur iski detail bhi aapko company ke franchise program mein jaake milegi.

Ek baari customer ne aapse book karvaya aur aapne use ache rate, service, relationship banaliye toh vo aapko ho jaega. Idhar udhar jane ki, ghumne ki har koi jata hain aur aage vo jitni baari jaega aapse hi book karvaega. Aapki services aapke clients ko pasand aayi toh voh aapki agency  apne friends aur family mein refer kardega jisse kabhi vo log bahar jaenge aur aapki service ki zarurat padegi toh aapse lenge. Travel agency ek acha model hain jimein aap jitna customer satisfaction pe focus karnege utna dubara clients aapke paas aanege aur aapka business grow ho paega.

Hum asha karte hai travel agency business plan se related aapko kaafi janane ko mila hoga . Phir bhi aapko koi doubt ya dikkat hain toh aap niche comment section mein puche, hum uska javaab dene ki puri koshish karenge. Blog ant tak padne ke liye dhanyawaad.

Vansh is a career coach and has helped many people realize what they are actually meant for. He believes making the right career choice is an important decision in one's life. To ask any question ping him on Instagram - @vangujral

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here