Aajkal iss badte fashion ke daur mein, apne ghar ko sajaana bhi bahut important hogya hai. Aajkal logo ki organised aur systematic tareeke se rehne ki aadat bhi kaafi badh gayi hai. Bahut se log apne ghar ke ya office ke interior ko design karwana pasand karte hain. Ghar ki designing ke sath sath apne office, dukaan aur anya types ki buildings ko design karwana hi Interior Designing kehlaata hai. Aaj ke daur mein bahut se log jaanana chahte hain ki interior designer kaise bane. Toh aaj hum apne blog mein aapko interior designer kaise bane se lekar Interior Design course aur salary ke baare mein batayenge.
Iss article mein hum aapko batayenge-
Interior Designer kisse kehte hain
Interior Designing ke liye eligibility
Interior Design Courses in India aur fees
Interior Design Entrance exams
Interior Design Colleges in India
Interior Designer Salary aur Job options
Interior Designer kisse kehte hain
Agar aapke man mein bhi ye sawaal hai ki interior designer kaise bane toh usse pehle jaante hain ki Interior Designer kisse kehte hain. Interior Designer ka kaam hota hai ghar, office, dukaan ya anya types ki buildings ke interior ke achhe se design karna. Designing ka kaam Environment, Psychology, Architecture aur Product Design se juda hua hai. Interior Designer ka kaam kafi artistic hota hai. Agar aap har ek cheez ko naye look dene ke andaaz se dekhte hain ya fir aapka interest creative work mein hai, toh aap iss profession mein aapna career bana sakte hain
Ek achha interior designer kehlaane ke liye aap mein yeh qualities hona bahut jaruri hai-
- Ek interior designer ka har kaam artistic dhang se hona chahiye.
- Interior designer ko ek work budget ke according hi kisi ghar ya building ko design karna chahiye.
- Interior designer ke profession mein aapko har ek area ke baare mein achhi jaankari honi chahiye taaki aap chote se chote area ko bhi attractive aur beautiful bana paayein.
- Ek achhe interior designer ke andar sirf artistic skills hi nahi par technical skills hone bhi jaruri hain.
- Ghar ki designing ke liye ek interior designer ko bahut se logo se milna padta hai aur unse baat karni padti hai. Aisi situation mein ek interior designer mein impressive tareeke se baat karne ki quality honi chahiye taki aapka client aapki baat achhe tareeke se samajh paaye.
- Ek interior designer mein Technical langauge ko normal language mein convert karne ki quality honi chahiye. Iske alaawa ek achhe interior designer ko tolerant aur courteous hona chahiye.
Interior Designing ke liye eligibility
Aajkal har koi janana chahta hai ki Interior Designer kaise bane. Toh agar aap Interior designing ke profession mein career banana chaahte hain, toh uski eligibility iss baat par depend karti hai ki aap kaunsa course pursue karna chaahte hain. Interior designing mein aap 3 types ke courses pursue kar sakte hain jaise-
- Diploma/Certificate in Interior Design
- Degree in Interior Design
Diploma in Interior Design- Interior designing ki domain mein Diploma in interior designing 1 saal ka basic certificate level course hai. Diploma course mein interior designing se jude kuch fundamental concepts aur principles ke baare mein padhaya jata hai.
Toh aayie ab jante hain ki interior designing mein diploma karne ke liye eligibility criterias kya hote hain-
- Candidate ki minimum qualification 10+2 honi chahiye aur unke 12th mein atleast 50% marks hone chahiye. Reserved category ke case mein minimum percentage 40%-45% ke beech honi chahiye.
- Candidate ki 12th mein admission ke time kisi subject/subjects mein compartment nahi honi chahiye.
- Reserved category ke students ke case mein, unhe unke dwara lagu kiye gaye benefits ka advantage lene ke liye Competent authorities dwara jaari kiye gaye registration certificates dikhaane hote hain.
- Kuch Institutes mein admission entrance exams ke through hota hai. Inn entrance exams ko clear karne ke liye kuch minimum qualifying marks secure karne padte hain.
Humne apne blog mein aapko wo eligibility criterias bataye hain jo ki bahut se universities mein common hai. Iske alawa bhi aise bahut se eligibility criterias hain jo aap universities/colleges ki website par dekh sakte hain.
Degree in Interior Design- Interior designing mein degree lene ke liye bahut se courses hote hain par inke liye kuch eligibility criterias bhi hote hain jaise-
- Date of application par Candidate ki age 20 years honi chahiye.
- Reserved Category ke students ke liye 3 saal ki relaxation hoti hai. Reserved Candidates ki upper age limit 23 years hai.
- Candidate ki minimum qualification 10+2 honi chahiye aur unke 12th mein atleast 40% marks hone chahiye.
- Kuch colleges mein admission ke liye candidates ko All India Entrance Examination for Design (AIEED) dena padta hai. Yeh exam un candidates ke liye hota hai jo undergraduate courses mein admission lete hain.
Interior Design Courses in India aur fees
Interior designer kaise bane, ye toh sab puchte hain par kya aap jaante hain ki Interior designer banane ke liye kuch courses karne padte hain. Yeh courses degree courses bhi ho sakte hain aur diploma bhi. Degree Courses ki duration generally 3 saal se 5 saal tak ke beech ki hoti hai aur diploma courses ki duration generally 1 saal hoti hai. Toh ab hum janenge unn courses ke baare mein jo aap graduation level aur post graduation level par pursue kar sakte hain.
Name of Course | Course level | Duration | Course Fees (Rs.) |
B.A. Interior Design– Iss course ko iss tarah se design kiya gaya hai taki students subject ke theoretical aur practical aspect ko samajh sakein. Iss course ke dwara aap apne bahut se skills polish kar sakte hain jaise communication, designing, drawing, computer tools ko handle karna etc. Iss course ke baare mein detail mein yahan jaaniye. | Graduate | Ye course 3 saal ka hota hai. | 95,000 – 4,00,000 |
Bachelor of Architecture in Interior Design- Ye course technical aur creative hai.Iss course ko karne ke liye aapke pas 12th mein English, Physics, Biology aur Chemistry main subjects hone chahiye. Iss course mein aapko room ya building ki interior decoration kaise karein ke baare mein sikhaaya jata hai. Iss course ke baare mein detail mein yahan jaaniye. | Undergraduate | Ye course 5 saal ka hota hai. | 1,50,000 – 6,00,000 |
Bachelor in Designing (B.Des)- Iss course ko iss tarah design kiya gaya hai taki students ko living spaces ki decoration jaise ki walls, roofs etc, furniture ki placement etc se judi puri knowledge mil paaye. Iss course ke baare mein detail mein yahan jaaniye. | Undergraduate | Ye course 4 saal ka hota hai. | 3,00,000- 15,00,000 |
B.Sc Interior Design- Iss course mein students ko structure requirements, health aur safety issues aur building codes ke baare mein sikhaaya jaata hai. 2D aur 3D design softwares ki training iss course ka important part hai. Iss course ke baare mein detail mein yahan jaaniye. | Undergraduate | Ye course 3 saal ka hota hai. | 3,00,000-15,00,000 |
Master of Arts [MA] (Interior Design)- Ye course na sirf room aur building ki designing tak seemit hai balki iss course mein national aur global level par interior designing and architecture ke skills bhi impart karta hai. Iss course ke kuch variants hain jaise ki Diploma in Design (Interior Design) , M.Arch (Interior Design). Iss course ke baare mein detail mein yahan jaaniye. | Postgraduate | Ye course 2 saal ka hota hai. | 1,26,000- 1,50,000 |
M.Sc in Interior Design- Iss course mein aapko interior design environment, architecture design ki analysing, investigating aur examining, construction se judi puri jaankari di jaati hai. Iss course ke baare mein detail mein yahan jaaniye. | Postgraduate | Ye course 2 saal ka hota hai. | 20,000 – 4,00,000 |
MBA in Interior Design- Ye ek advanced course hai jismein interior designing ke fundamentals jaise styling ke baare mein padhaaya jata hai. Iss course mein Interior designing, House layout, Furniture aur Furnishings, Furniture design jaise topics cover kiye jaate hain. Iss course ke baare mein detail mein yahan jaaniye. | Postgraduate | Ye course 2 saal ka hota hai. | 2,00,000-4,00,000 |
Interior Design Entrance exams
Interior designing pursue karne ke liye kuch exams dene padte hain. Toh aaiye ab jaante hain inn exams ke baare mein aur saath hi mein Interior designing entrance exams syllabus ke baare mein-
All India Entrance Exam for Design (AIEED)- Ye ek national level examination hai jo ki Arch Academy of Design dwara Undergraduate aur Postgraduate designing programs ke liye conduct kiya jaata hai. Ye exam 3 stages par conduct kiya jaata hai-
- General Ability Test (GAT)- Iss exam mein 100 marks mein 60 questions puche jaate hain aur iski duration 2 ghante hai. Iss exam mein Design Sensibilities, Logical Reasoning, Design related awareness, awareness on global issues aur concepts comprehension se jude questions puche jaate hain.
- Creative Ability Test (CAT)- Iss exam mein 200 marks mein 50 questions puche jaate hain aur iski duration 3 ghante hai. Iss exam mein written aur visual articulation skills, Design Thinking, Lateral thinking, Creative problem solving, Awareness on Design principles se jude sawaal puche jaate hain.
- Video, Portfolio and Personal Interaction- Ye exam 200 marks ka hota hai aur iski duration 30 minutes hoti hai. Iss exam mein composure, focus aur clarity, General Articulation skills, Depth of thinking, Portfolio ka work range test kiye jaat hain.
Iss exam ke baare mein detail mein jaanane ke liye yahan click karein.
Common Entrance Examination for Design (CEED) –Ye ek national level exam hai jo ki IIT Bombay dwara Ministry of Human Resource Development ke behalf par conduct kiya jaata hai. Iss eam ko dene ke liye candidate ke pas 4 saal ya fir 3+2 years ki degree/ diploma/postgraduate degree honi chahiye. Ye exam dene ke liye koi age limit nahi hoti.
Iss exam ke baare mein detail mein jaankari ke liye yahan click karein.
Centre for Environmental Planning and Technology Exam (CEPT)- Ye exam CEPT University dwara Interior design, Urban Design and Management, Architecture, Design and Construction Technology, etc ke Bachelors Degree Program (3 years) aur Masters Degree Program (2 Years) ke liye conduct kiya jaata hai.
Iss exam ke baare mei zyada jaankari ke liye aap CEPT ki official website par jaa sakte hain.
National Institute of Design Exam (NID)- National Institute of Design ek aisa design Institute hai jo Ahmedabad mein situated hai. Iss institute mein 3 major courses NID Design Aptitude Test dwara offer kiye jaate hain jinke naam hain-
- Graduate Diploma Programme in Design (GDPD)
- Bachelor of Design (B.Des)
- Master of Design (M.Des)
Iss exam ke baare mein jyada jaankari ke liye yahan click karein.
Humne apne blog mein aapko interior design se jude kuch main exams bataaye hain. Iske alawa bhi kuch state level exams hote hain jo aap interior designing ke liye de sakte hain.
Interior Design Colleges in India
India mein bahut se well-known Interior Designing Institutes aur Colleges hain jahan par aap Interior designing ke courses kar sakte hain. Toh hum apne blog mein aapko top 5 Interior designing Institutes ke naam batayenge-
S.No. | Name of Institute/ College | Courses offered |
1. | National Institute of Design, Ahmedabad |
|
2. | Pearl Academy |
|
3. | Indian Institute of Art and Design |
|
4. | Centre for Environmental Planning and Technology (CEPT), Ahmedabad |
|
5. | Arch Academy of Design, Jaipur | Iss college mein Interior Designing ke courses Undergraduate, Postgraduate aur Professional level par available hain- Undergraduate level
Postgraduate level
Professional Courses
|
Interior Designer Salary aur Job options
Agar aap Interior Designing mein apna career banana chahte hain, toh yeh depend karta hai iss baat par ki aap konsa course pursue karte hain. Toh ab hum aapko course wise batayenge ki aapke liye aur kya Job options hain aur aapki minimum aur maximum salary kitni hogi.
B.A. Interior Design
Agar aap B.A. Interior Design ka course karte hain toh aapke liye bahut se job options hain jaise-
Job Profile | Job Description | Average Salary (in Rs) per annum |
Space Planner | Planning, developing, designing, Controlling methods aur editing designs jo ki space management aur utilisation par based ho. | 2,00,000- 4,00,000 |
Event Manager | Clients ke sath kaam karke event ke liye designs plan aur generate karna | 3,00,000 – 4,00,000 |
Product Designer | Different products jaise ki medical, electronics etc ke design develop karna aur existing products ke design ko improve karna. | 5,00,000 – 6,00,000 |
Interior Designer | Interior aur blueprints ko study karna aur jagha ki designing ke liye space requirements aur items select karna. | 3,00,000- 4,00,000 |
Design Journalist | Interior designing se related research, documents aur articles likhna aur designers ka interview lena. | 3,00,000- 4,00,000 |
Facility Developer | Designs aur objectives develop karna aur building space plan karna. | 7,00,000- 8,00,000 |
Design Manager | Inka kaam hota hai clients ki requirements ke according graphics team aur other departments ke sath kaam karke designs manage karna. | 8,00,000- 10,00,000 |
Design Consultant | Inka kaam hota hai clients ki needs ko evaluate karna aur unke sath coordinate karna, interior designing ke articles ko select karna aur graphic art projects ke layout ko oversee karna. | 8,00,000- 10,00,000 |
Bachelor of Architecture in Interior Design
Agar aap Bachelor of Architecture in Interior Design ka course karte hain toh aapke liye bahut se job options hain jaise-
Job Profile | Job Description | Average Salary (tentative) |
Interior Designer | Isme aapka kaam hoga interior spaces ko decorate karna aur space requirements ke according unhe functional, safe,attractive aur beautiful banana. Iske liye aapko building codes aur inspection regulations ke baare mein pata hona chahiye. | 4,00,000- 9,00,000 |
Architect | Architects ko construction projects, alterations aur buildings ki redevelopment ke liye designs generate karne hote hain. | 3,00,000- 7,00,000 |
Theatre Designers | Theatre designers ki responsibility hoti hai film ke sets ko design aur create karna. Iske liye unhe script padhni padti hai aur directors, producers etc ke sath kaam karna padta hai. | 2,50,000- 6,50,000 |
Exhibition Designer | Exhibition designers ko exhibitions aur shows jaise ki museums, galleries etc ke liye designs aur layout create karna padta hai. | 2,70,000- 6,00,000 |
M.Sc Interior Design
Job Position | Job description | Average Salary (in Rs) |
Interior designer | Apne plans ki execution ke liye interior designer ko plumbers, architects, designers etc ke sath coordinate karna padta hai aur interior spaces ki installation ko oversee karna padta hai. | 2,94,000 |
Textile designer | Textile designers ko fashion industry mein hire kiya jaata hai aur unka kaam hota hai rugs, bed linens, furniture aur towels ko design karna. Textile designers fabrics aur trim yarns banate hain aur production time lines ko supervise aur manage bhi karte hain. | 3,70,000 |
Architect Interior | Interior Architects commercial buildings ke liye plans draft karte hain. Unhe Clients, Inspectors aur construction teams ke sath interact bhi karna padta hai. | 3,74,000 |
Builder | Building engineers ka kaam Construction Managers ki tarah hota hai. Building engineers structures design karte hain, reports ko analyse karte hain, Contracts aur budgets manage karte hain etc | 6,00,000 |
Aapko iss article se puri jaankari mil gayi hogi ki aap Interior Designer kaise bane aur usmein apna career banaaye. Agar abhi bhi aapke Interior designer kaise bane se jude koi jaankari hai jo aap jaanana chahte hain, toh humse comment box mein jarur puchiye.