Aaj ke time mein jabhi kissi ko koi beemaaree ya shareer mein dard hojata hai, toh woh medicine yani dava lene jata hai apni beemaaree ya dard ko theek karne ke liye. Dava thodi matra mein achi toh hoti hai lekin hume yeh nahi pata hota ki inn davaon mein chemecials jo hote hain woh humare shareer ke liye haanikaarak hote hain. Issiliye praacheen kaal se humare poorvaj davaon se zyada excercise, yog aur apne khaan paan pe zyada dhyan dete the apne svaasthy ka dhyan rakhne ke liye. Jaane Physiotherapy career plan in Hindi ki full information.
Iss article mein hum jaanenge
Physiotherapy meaning in hindi
Physiotherapy qualifications/eligibility
Physiotherapy job opportunities & salary
Aaj ke time mein jo stressful life hum jeete hain uski wajah se humare shareer, haddiyon aur jodon par kaafi asar padta hai. Isse hume apne shareer mein dard aur tanaav feel hota hai. Iss dard ko hatane ke liye hum ek physiotherapist ke paas jate hain, jo maalish, heat therapy, etc. se humare shareer ko aaram dilate hain. Physiotherapy ki padhai humare desh mein 1953 mein shuru hui thi, aur 1962 mein Physiotherapist Association form hua tha. Aaj Bharat mein lagbhag lagbhag 30,000 registered physiotherapist practice kar rahe hain. Inn sabh jaankarion se hume yeh pata chalta hai ki humare desh mein aaj ke time pe physiotherapist ke liye bahut hi zyada demand hai, kyunki abh zyada se zyada log apna ilaaj davaon ke bajaay exercise aur healthy lifestyle se karna chahate hain.
Physiotherapy meaning in hindi
Physiotherapy science ka woh hissa hai jissmein shareer ke parts ko davaon ke bina theek se kaam karwaya jata hai. Physiotherapy ka basically matlab yeh hota hai ki beemaaree, chot ya shareer ki kissi bhi disability ka treatment physical methods se jaise ki maalish, heat treatment, ultra sound aur excercise, dava/medicine ya surgery ke isstamaal ke bina.
Physiotherapist woh log hote hain jo qualified hote hain apne patients ko treat karne ke liye physiotherapy ki madad se. Physiotherapist jinn cases ko zyada tarr handle karte hain unke cases ke udaaharan hain:
- Polio
- Paralysis
- Paraplegia
- Hemiplegia
- Pain management
- Ortho. problems
- Muscular spasm, etc.
Physiotherapy qualifications/eligibility
Physiotherapy ke career ke liye aapko BPT ka course karna jaruri hota hai. BPT ka matlab hota hai Bachelor in Physiotherapy. BPT ke liye qualifications bahut hi basic hoti hain, jaise ki:
- 12th class mein aapke paas science honi chahiye. Isska matlab aapke paas PCB ke subjects hone chahiye apni 12th mein. PCB ka full form – Physics, Chemistry aur Biology.
- Inn subjects mein aapko kam se kam 50% se paas hona jaruri hota hai.
- Aapko apni 12th graduate kisi jane maane board se karna bhi jaruri hai.
- BPT ke course mein addmission lene ke liye minimum age requirement 17 saal ki hoti hai.
Physiotherapy entrance exams
Jo humare desh ke top ke physiotherapy entrance exams hote hain woh hai:
- CET Entrance Exam 2019 (Common Entrance Test)
- JIPMER All India Entrance Exam 2019
- Guru Govind Indraprastha University Physiotherapy Entrance Exam 2019.
Iske alawa zyada tarr jo baki colleges aur universities hoti hain woh apne khud ke entrance exams conduct karwate hain admissions offer karne ke liye, jaise ki:
- NTR University Master of Physiotherapy Admission 2019
- Krishna Institute of Medical Sciences (KIMS) Nursing, Physiotherapy Admission 2019
- SVNIRTAR CET 2019
- Pt Deendayal Upadhyaya Institute Delhi BPT BOT & BPO Admission 2019
- IPU CET 2019
- Rama University Entrance Test (RUET) 2019
- JAKBOPEE CET 2019
- Uttarakhand Pre Medical Test (UPMT) 2019
- All India Institute of Physical Medicine and Rehabilitation (AIIPMR) 2019
Inn physiotherapy ke entrance exams mein sirf eligible candidates hi baith sakte hain, aur jo candidates inn exams ko clear kar dete hain sirf unhi ko uss college ya university mein admission offer hota hai.
Physiotherapy colleges
Ek baar jab ek candidate BPT ki eligibility criteria ko clear kar jata hai, uske baad usko pehsala lena padta hai ki woh kiss physiotherapy ke college ya physiotherapy ke university se apna BPT ka course karna chahega. Har college ya university ke apne alag alag entrance test hote hain, issiliye konse college se padhne ka pehsala bahut hi mahattvapoon hota hai.
Bharat ki top ke physiotherapy ke colleges:
1)Apollo Physiotherapy College, Andhra Pradesh
Website:click here
- Eligibility: 12th passed with PCB
- Duration: 4 ½ years
2) Pt. Deen Dayal Upadhyaya Institute for Physically Handicapped, New Delhi
Website:click here
- Intake capacity: 54
- Eligibility: 12th passed with PCB and English
- Mode of Admission: Test is conducted in the month of June/July
- Duration: 4 ½ years
3) Indian Institute of Health Education & Research, Patna
Website: click here
- Eligibility: 12th passed with PCB/M with 50% marks
- Duration: 4 ½ years
4) Post Graduate Institute of Medical Education and Research, Chandigarh
Website: click here
- Eligibility: 12th passed with PCB
- Duration: 4 ½ years
- Starting date and month : September 1st
5) Nizam’s Institute of Medical Sciences, Hyderabad
Website: click here
- Eligibility: 12th passed with PCB
- Duration: 4 ½ years
6) JSS College of Physiotherapy, Katnataka
Website: click here
- Eligibility: 12th passed with PCB
- Duration: 4 ½ years
7) SDM College of Physiotherapy, Karnataka
Website: click here
- Eligibility: 12th passed with PCB
- Duration: 4 ½ years
8) Mahatma Gandhi University of Medical Education, Kerala
Website: click here
- Eligibility: 12th passed with PCB with 50% marks
- Duration: 4 years
9) KJ Somaiya College of Physiotherapy, Mumbai
Website: click here
- Eligibility: 12th passed with PCB
- Duration: 4 ½ years
10) Christian Medical College, Tamil Nadu
website:click here
- Eligibility: 12th passed with PCB
- Duration: 4 ½ years
Physiotherapy course
Physiotherapy ka course 4 saal ka hota hai jismein saath hi saath 6 months ki clinical internship included hoti hai, isska matlab physiotherapy ka course kul mila ke 4.6 saal ka hota hai. Physiotherapy ka syllabus:
First Year | Second Year | Third Year | Fourth Year | ||||||
Sem 1 | Sem 2 | Practical | Sem 1 | Sem 2 | Practical | Sem 1 | Sem 2 | Practical | |
Anatomy | Biomechanics | Orientation to Physiotherapy | Pathology | Excecise Therapy | Basic nursing, First aid & CPR | Geaneral Medicine | Orthopedics & Sports Physiotherapy | Physiotherapy in Dentistry | Neurology |
Physiology | Pyschology | Physics & Chemistry | Micrpbiology | Electrontherapy | Clinical Observation Posting | General Surgery | Supervised Rotatory Clinical Training | Evidence based Physiotherapy Practice | Neurosurgery |
Biochemistry | Sociology | Pharmacology | Research methodology & Biostatics | Introduction to treatment | Medical Ethics | ||||
English | Orientation to physiotherapy | First aid & CPR | Introduction to treatment | Physiotherapy in Cardio Disorders | |||||
Basic Nursing | Integrated Seminars | Constituition of India | Clinical Observation Possting | Physiotherapy in Respiratory Disorders | |||||
Project |
MPT ki puri jaankari
Bachelor in Physiotherapy ke baad ek candiate aage bhi padh sakte hai. Physiotherapy mein masters karne ke liye aapko MPT ka course karne padega. MPT ka full form Masters in Physiotherapy hota hai.
Jo bhi candiates MPT karna chahate hain, jo BPT kegraduates hai, unhe ek jaani maani university se kam se kam 50% ke aggregate se paas hona jaruri hai saath hi saath 6 months ki internship karnq bhi bahut jaruri hota hai.
MPT ka course 2 years ka full time program hota hai jahan aapko modern teaching, clinical postings aur academic activities ke duwara padhaya jata hai. First year mein students Physiotherapy, Research Methodology aur Biostatistics ke bare mein seekhte hain. Aur second year mein students apni specialization ke hissab se seekte hain.
MPT ke specializations:
- Ortho
- Neuro
- Sports
MPT ka course padhne ke liye average fees kissi bhi recognised university ya college mein lagbhag Rs.6,000 se Rs.1.5 lakh per annum tak hoti hai.
Bharat ke top MPT colleges ke udaaharan:
- Manipal University, Manipal
- Chitkara University, Patiala
- Punjab University, Patiala
- Lovely Professional University, Jalandar
MPT ke liye jo candidates apply karna chahate hain unke liye admission procedure kaafi hadd tak simple hota hai. Candidates jo MPT padhna chahate hain unko pehle to ek entrance exam dena padta hai jo ya toh university based hota hai ya toh National basis pe hota hai. MPT ke liye pehle ki academic performance bhi kaafi mahattvapoon hoti hai, jaise ki aapke BPT ke course mein aaye hue marks aapke liye kaafi important sabit ho sakte hain kissi bhi MPT ke college mein admission lene ke liye.
MPT ke entrance exams ke udaaharan:
- All India Post Graduate Physiotherapy entrance test
- CET (College Entrance Test) Post Graduation ke liye
- Guru Govinda Indraprastha University Physiotherapy entrance exam
- JIPMER All India entrance exam
MPT ke entrance exam ka pattern:
MPT ka entrance exam 2 ½ se leke 3 ½ hours tak ka hota hai. Jahan ek candidate se 200 se 300 objective type questions pouche jate hain. Yeh questions zyada tarr jinn topics se related hote hain unke udaaharan hain:
- Anatomy
- Biomechanics
- Exercise
- Electrotherapy
- Physiotherapy-Rehabilitation in Clinical Sciences:
- Musculoskeletal
- Neurology
MPT clear karne ke baad ek candidate ko kaafi jagah job ki opportunities milti hain, jaise ki:
- Hospital
- Sports team
- Healthcare Centres
- Old Age Homes, etc
MPT clear karne ke baad kssi bhi ek candidate ko starting salary lagbhag Rs.4 lakh per annum se Rs.5 lakh per annum tak milti hai.
Physiotherapy job opportunities & salary
Aaj ke time mein Physiotherapy ka course karne ke baad market mein bahut hi zyada job opportunities hain. Kaha jata hai ki Physiotherapy ka career kissi bhi candidate ke liye ek Golden Choice jaisa hota hai, kyunki Physiotherapist ki demand market mein bahut high hai magar unki supply utni zyada nahi hai.
Physiotherapist ki job opportunities ke udaaharan:
- Hospitals
- Private clinics
- Nursing Homes
- Corporates
- Sports teams,etc
Kissi bhi starting Physiotherapist ki salary Rs.20,000 se Rs.25,000 per month tak aaram se hoti hai. Physiotherapy ke field mein salary skills aur qualifications ke saath saath experience yani ki anubhav pe bhi bahut hadd tak depend karti hai. Ek experienced Physiotherapist aaram se Rs.700 se leke Rs.1,500 tak charge kar sakta hai harr separate patients se. Tabhi iss field mein salary aapke anubhav ke saath saath badhti rehti hai.
Physiotherapist ki duties
Patients apne apne Physiotherapists pe kaafi bharosa karte hain, isse ek Physiotherapist ki responsibilities uske patients ki taraf kaafi hadd tak badh jaati hain. Ek Physiotherapist ki duties kaafi alag alag praakar ki hoti hain jaise ki:
- Patients ko diagnose karna, unke shareer ke physical movements ko behetar ya phir sahi karna
- Shareer se related health aur fitness ko sudharna
- Kissi bhi patient ko treat karne se pehle uski shareer ki history ke bare mein ache se jaana aur samajhna.
- Patients ke shareer ko tests karke shareer mein dard ke kaaran ko dhoondna
- Patients ko re-examine karna aur dekhna ki pehle wali problems ya koi naye problem toh nahi ho rahi ho shareer mein
- Patients ko exercises aur shareer ke movements ke bare mein poori jaankari mein ache se batana.
Iss article ke zariye se humari taraf se ek koshish thi ki aapko har woh baat batanein jo aapko ek acha aur safal Physiotherapist banne mein madat kare.
Agar aapko aur koi baat jaanani ho ya aur koi sawal ho jo aapke Physiotherapist bane se jura ho toh aap nieche diye hue comments section mein likh ke humse pouch sakte hain, hume bahut khushi hogi aapke jawabon ka uttar dene mein, aur hum aasha karte hai ki aap jald se jald ek kamiyab doctor ban jaye. Humme apna kimti waqt dene ke liye bahut bahut shukriya.