Nurse Kaise Bane? | Nurse Career Ki Puri Jankari

nurse kaise bane ki jaankari jaise nurse career

Nursing kaafi sevabhaav aur izzatdaar kaam hain.Nurses bimaro ki seva karne ke liye capable hoti hai aur doctors ko surgery mein saath deti hai. Ye ek myth hain ki iss profession mein sirf females hoti hain par aisa nahi hain.Iss profession mein kaafi scope hai India aur abroad mein dono males aur females ke liye. Healthcare ek aisa profession hain jo kabhi out of business nahi jaega aur nursing iss industry ka ek ahem hisa hain. Nurse kaise bane ki puri jankari iss article ko padne ke baad aapko mil jaegi.

Aaj is article ke madhyam se hum aapko batayenge ke

Nursing Courses

B.sc Nursing ki puri jankari

GNM

ANM

Kuch puche jaanane vaale sawaal jawaab


Nursing kaafi respectful job hain aur India mein iss profession ki kaafi demand bhi hain. Ek report bhi aayi thi ki 2023 tak hume 6 million se zyada nurses ki zarurat hogi. Kaafi hospitals mein kitne patients ko ek hi nurse dhekti hai isliye ek career option ek bright career hain.Nurse ko dheeraj rakhna kaafi zaruri hai, patients ke saath kaam karne mein dikkat nahi aani chahiye aur achhe tarike se bolna aana chahiye. Nurses ka zyada se zyada samay patients ke saath jata hain ismein zaruri hain ki vo samjhe ek patient pe kya beetati hain aur uske hisaab se unka dhyaan rakha jayein.

Nursing Courses

India mein teen type ke undergraduate courses hote hain. B.sc Nursing aur GNM aur ANM.Ye sab courses aap 12th ke baad kar sakte hain aur Nursing career mein ghus sakte hain. B.sc Nursing 4 saal ka course hota hain aur India mein sabse zyada iski value hai kyunki ye detailed course hai aur baaki GNM aur ANM diploma courses. Nursing courses ke forms April se July ke beech mein bhare jaatein hain aur exam zyadtar colleges ke June ya August mein hote hain. Aap college ke hisaab se unke exam date aur forms ki jankaari pehle leke rakhe. Niche kuch colleges aur unke entrance exam ke details diye gye hain.

           Courses

Age Group

Eligibility

  1. B.sc Nursing

17-35

10+2 with Physics, Chemistry, Biology

( Male and Female both)

     2. General Nursing    Midwifery (GNM)

17-35

10+2 with Physics, Chemistry, Biology or Arts

(Both Male and Female)

     3. Auxiliary Nurse Midwifery(ANM)

17-35

10+2 with Physics, Chemistry, Biology or Arts

(Only For Females)

B.sc Nursing ki puri jankari

B.sc Nursing ek bahut hi detailed course hai Nursing field ke liye jo Indian Nursing Council mein registered hain.Ye course aap 12th ke baad kar sakte hain. Iss course mein aapko theory aur practical dono ki knowledge di jaati hain aur 6  mahine ka internship bhi hota hain.

Duration– 4 saal ka Bachelor’s Degree course.
Minimum marks– kam se kam 50% number hone chahiye admission lene ke liye

Course fees (approx)
Government college mein lagbahg – Rs.8,000 – 30,000 fees hoti hai.
Private college mein lagbahg – Rs. 10,000 – 1.3 Lakh fees hoti hai.

Admission procedure

Admission teen tariko se liiya jata hain- Direct, Merit-based, Entrance exams

Entrance Exam ki jaankari

Har college ka alag procedure hota hain admission ka. Uske liye aapko entrance exams dene honge. Course mein admission lene ke liye student ka medically fit hona zaruri hai aur course ka saal mein ek baari admission hota hain.

Entrance Exam do languages mein hota hain English and Hindi. Ye exams written hota hai hain.

  • Ye exam 100 marks ka hoga jismein se 30 marks ka Physics, Chemistry aur Biology aaega aur baaki 10 marks ka General Knowledge aaega.
  • Ye exam 2 hours ka hoga aur saare MCQ questions honge.
  • Exam paper 4 hiso mein aata hain aur examination ka mode online hota hain.
  • Iss exam mein har sahi response pe one marks reward hota hai aur har galat response pe one third marks minus hote hain.

Entrance Exam Syllabus

Biology (Zoology + Botany)

Physics

Chemistry

General Knowledge

  • Living and Nonliving
  • Cell Structure and Function
  • Plant Physiology
  • Animal Physiology
  • Reproduction in Plant and Animal
  • Genetic Basis of Inheritance
  • Origin and Evolution of Life
  • Human Disorders
  • Ecology and Ecosystems
  • Units and Measurements
  • Mechanics
  • Heat Transfer
  • Vibration and Waves
  • Light and Sound
  • Electricity and magnetism
  • Modern Physics
  • The Atomic Structure
  • Chemical Bonding
  • States of Matter
  • Mixtures, solutions and Solubility
  • The Gas Laws
  • Elements and Compounds
  • The Periodic Table
  • Important Concepts in chemistry
  • Organic Chemistry
  • Water and Organic Compounds in the Environment
  • Questions related to test the general knowledge skills in Science, History, General policy, Geography, scientific research, Culture, current affairs, etc.

Bsc Nursing exams ke liye aap yaha se kuch books dhek sakte hain.

Niche kuch top colleges aur unke entrance exams bataye gye hain-

1.Christian Medical College – Vellore                            

2.Banaras Hindu University

3.Armed Forces Medical College- Pune

4.All India Instiitute Of Medical Sciences- New Delhi

5.PGIMER- Chandigarh

6.JIPMER

Aur detail mein Medical field ke top 10 colleges janane ke liye yaha click kare.


B.sc Nursing ke baad kya kare?

B.sc Nursing ke baad aap ya fhir job mein ya phir higher studies ke liye ja sakte hain.
Higher studies mein aap M.sc Nursing kar saktein hain. M.sc bhi aap 5 categories mein se choose kar sakte hain.

M.sc Nursing ke liye aapko B.sc mein kam se kam 55% marks aur uske baad ek saal ka experinece hona zaruri hain. Uske baad aap Phd nursing bhi kar sakte hai jisse aap ke naam ke aage doctor lag jaega. M.sc complete karne ke baad aapki salary Rs. 35000- 60000 hojati hain.M.sc nursing ke baad aap teaching line mein bhi ja sakte hain aur kisi college ka nursing department sambhalne ki opportunity rakhte hain.

Ek teacher ki salary private aur government sector mein alag hoti hain.
Government sector mein teacher ki salary lag bhag- Rs.30,000-60,000 aur Private sector mein -Rs.20,000-50,000 hai.

Salary (approx)

Government Hospitals mein lag bhag Rs.15,000-30,000 tak salary hoti hain.

Private Hospitals mein lag bhag Rs.10,000-25,000 tak salary hoti hain.

Nurse ke liye kya kya Job opportunities hain– Nursing course karne ke baad aap kaafi field mein jobs exlore kar sakte hain. Chahe vo private hospitals ho, schools ho ya old age homes. Aap vacancy ka dhyaan rakhe aur updated rahe. NGO’s aur nursing homes mein bhi aap job try sakte hain. India mein har saal 1 lakh se zyada nurses graduate hoti hain aur phir bhi opportunities aur demand usse zyada hain. Aap niche diye gye list mein se job ke field ke baare mein jaan sakte hain.

  • Government and Private Hospitals
  • Nursing Homes
  • Clinics,
  • Schools,
  • Orphanages,
  • Old age homes
  • Government Hospitals,
  • Defense Hospitals,
  • Nursing Homes
  • Research centers,
  • Medical Laboratories
  • NGOs jo health issue pe kaam karte hain.

GNM (General Nursing Midwifery)

GNM ka full from General Nursing Midwifery hota hain. Ye ek diploma course hota hai jo arts background vaale students bhi kar skate hain.Ye course dono males and females ke liye hota hain. GNM course mein aapko ek doctor ko assist karna sikhaya jata hain.Ye course karne ke baad aapko State Nurse Registration Council ya Midwife Register karvana hota hain. Uske baad sarkari  nurse ki naukri kar sakte hain.

  • Duration– 3 saal ka course hota hai GNM ka.
  • Minimum Marks–  kam se kam 50% marks hone chahiye
  • Course Fees – Rs.10,000-5,00,000 (approx)

Admission procedure
Admissison procedure teeno courses ka almost same hota hain bas kuch private colleges ka farak aajata hain. Kaafi institutes ka admission procedure alag alag hota hain. Admission inn teen tariko se hi ho sakta hai sirf- Direct ya fhir Entrance exams ya fhir aapke 12th ke marks ke hisaab se jisse hum merit based bolte hain.

GNM: Entrance Exams

Niche kuch GNM ke entrance exams ke naam diye gye hain.

1.AIIMS Nursing Entrance Exam

2. BHU Nursing Entrance Exam

3.JIPMER Nursing Entrance Exam

4.PGIMER Nursing

5.KIMS University Nursing Entrance

6.MCD Nursing Admission

7.MGM CET Nursing

8.RUHS Nursing Entrance Exam

9.Uttarakhand Nursing Admission

Student ka medically fit hona zaruri hain.

Saal mein student ka admission ek baari hoga.

GNM course ke baad kya kare?

GNM complete karne ke baad aap thoda experinece le aur seekhe.Uske baad aap B.sc Nursing (Post Basic) program jo ki Indian Nursing Council recognized colleges se kar sakte hain. Uske baad aapko Nursing degree mil jaegi. B.sc Nursing (Post Basic) ke liye aapko GNM course complete hona zaruri hain aur R.N.R.M registered hona chahiye apne State Nursing Council mein.

Salary: Rs.10,000-20,000 (Freshers)

Nursing career mein aapke experience ke saath salary badne ke scope rehta hain.

Job Options– GNM course karn ek baad aap direct job kar sakte hain jisse aapko experience mile aur aap aur seekh paaye. Nursing field mein experience ko bahut importance di jaati hain aur kaam karke aapko bahut seekhne ko milta hain. Niche humne kuch job options ke baare mein bataya hai jo aap explore kar sakte hain.

  • Nursing Tutor
  • Certified Nursing Assistance
  • Senior Nursing Assistance
  • Home Care Nurse
  • ICU Nurse
  • Teacher in Nursing School
  • Forensic Nurse
  • Travelling Nurse

ANM (Auxiliary Nursing Midwifery)

ANM ka full form hain Auxiliary Nursing Midwifery ek diploma course hota hai jaha equipments ka dhyaan rakhna, operation theatre set karna, timely medication dena patient ko, aur records maintain karna sikhaya jata hai. Ye course sirf girls ke liye hota hain aur boys GNM ke liye apply kar sakte hain.

Duration– ANM ka course 18 months ka hota hain.

Minimum Marks– Kam se kam 50% marks hone zaruri hain.

Fees– 20000 – 60000 per annum ( approx)

Admission Procedure– ANM ka admission bhi B.sc Nursing aur GNM jaise hota hain. Aapko college ke entrance exams bharne padte hain ya fhir admission direct hota hain.

Ambika college of Nursing

Amritsar School of Nursing

ANM college of Nursing, Nashik

Mata Sahib Kaur College of Nursing

ANM Course ke baad kya kare

ANM complete karne ke baad aur State Nurse Registration Council mein register karne ke baad, aap GNM course pursue kar sakte hain. GNM course complete karne ke baad, aap B.sc Nursing (Post Basic) kar sakte hain.Ye course se aapko Bacherlors in Nursing ki degree mil jaegi.

Salary– Rs. 10,000- 12,000 (approx) . ANM graduate ko shuru mein itna hi salary milta hai par ye experience aur higher studies se bad sakta hain.

ANM ke baad kya jobs kar sakte hain– ANM karne ke baad aap niche diye gye job options ko explore kar sakte hain.ANM graduates ka scope sirf India mein hi nahi bahar bhi kaafi hain.

  • Nursing Tutor
  • Certified Nursing Assistant
  • Senior – Nurse Educator
  • Home Care Nurse
  • ICU Nurse
  • Staff Nurse
  • Teacher – Nursing School
  • Community Health Nurse
  • Health Care Nurse

Army mein nurse kaise bane ki jankari            

Agar aap military ya army mein nurse ka job chahre hai toh uska procedure alag hota hai. Uske liye aapko Military Nursing Service Test (MNST) dena hota hain jo ki army organise karvati hain. Uske baad aapko ek interview hota hain jiske basis pe rank aati hai. Rank jitni achi hogi utna placement ka zyada chance hota hain.

Agar aapka koi family member army mein hai toh selection hone ke zyada chances rehte hain.

zyada information ke liye yahan click kare.

Apne state ke nursing council mein register karvana bahut zaruri hain.

UP Nursing Council

Delhi Nursing Council

Aise har state ka alag nursing council hota hain jagah register karvana zaruri hain R.N.R.M

Kuch puche jaanane vaale sawaal jawaab-

Q1. GNM ki tyaari kaise kare?

Ans-College ki hisaab se aapko tyaari karni hogi. Upar entrance exams ka syllabus aur books ke baare mein bataya gya hain.

Q2. Boys ye course kar sakte hain ki nahi?

Ans-Boys bhi B.sc Nursing aur GNM course ke liye apply kar sakte hain par ANM mein nahi. ANM course sirf girls ke liye hota hain.

Q3. 12th Arts se kari hai toh ye course kar sakte hai?

Ans-Nahi, B.sc Nursing nahi kar sakte. Lekin GNM aur ANM mein apply kar sakte hain.

Q4. Konsi  books padhe?

Ans-Entrance Exams preparation mein aap ye books dhek sakte hain.

Q5. Bsc Nursing course ke entrance exams mein Maths aaega?

Ans-Nahi, Mathematics nahi chahiye. Nurse banane ke liye aapko Biology hona zaruri hain.

Ye teeno course milte jhulte hain par B.sc Nursing detailed aur zyada value vala course hain baaki courses diploma programs hain.Hum asha karte hain aapko Nurse kaise bane ki puri jank ye article padke madad hoyi hogi aur aapko nurse kaise bane se sambandhit puri jankari mili hogi. Agar aapko koi doubt hai nurse kaise bane topic se related toh aap niche comment section mein puchle aur hum uska javaab denge.

Vansh is a career coach and has helped many people realize what they are actually meant for. He believes making the right career choice is an important decision in one's life. To ask any question ping him on Instagram - @vangujral

5 COMMENTS

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here