fashion designer kaise bane

Fashion Designer jisse  kuch saal pehla shayad sirf tailoring ka kaam samjha jaata tha par aaj kal iss profession ki India aur abroad dono jagah bahut zyada demand hai.  Iss industry ki demand hamesha hi badti rahegi kyuki log aaj kal apne style ko lekar bahut fikar karte hai isliye voh naye fashion trend ke peecha hamesha bhagte hai.  Fashion network ki report ke hisaab se Indian Fashion market ka share 2022 tak $102 billion tak ho jayega. Yaha aapko fashion designer kaise bane ki saari jaankari milegi.

Iss article mein hum aapko batayenge:

Fashion Designing kya hai

Kaunsi skills chahiye

Fashion Designer job description

Kaunse courses hote hai

Fashion Designer banane ke liye entrance exams

Fashion Designer job options aur salary

Fashion Designing kya hai

Fashion Designing ek art hai jisme design , natural beauty ko clothes aur accessories mein lagaya jaata hai. Yeh culture, jageh aur logo ke hisaab se alag alag hoti hai.

Fashion Designer ek aisa career ya profession hai jaha aap design banate hai clothing, shoes, and accessories ki. Sab se pehla designer sketch banata hai . Iss hi sketch ke hisaab se management product banati hai.
Fashion designer ko tailoring skills bhi aani chahiye. Sketching ke ilawa usse best raw material ko bhi choose karna hota hai jo uske product mein use hoga.

Kaunsi skills chahiye

Agar aap mein yeh sab sab skills hai toh aap jarur successful fashion designer ban payenge.

  • Creativity
  • Technical knowledge (textile designing, garments )
  • Good tailoring skills
  • Choti-choti details par dhyan rakhte hai
  • Jisse fashion trends mein bahut interest hai
  • Achhi business skills (merchandising, cost management, accounting )
  • Networking skills
  • Sensitivity  colours, shades and tones se ho
  • Sketching mein interest
  • Goal oriented

Fashion Designer job description

  • Aapki sabse important duty apparels ka design banana hai.
  • Jis fashion ke area ko aap choose karega jaise clothing,footwear ya accessories aapko uski creativity ya sketching ka dhyan rakhna hoga
  • Fabrics aur trims ko select karna hai .
  • Designing ke har process, initial conception se final manufacturing aur marketing tak aapko nazar rakhni hogi.
  • Current fashion trends ki poori knowledge rakhni hogi aur uske according hi product banana hoga.
  • Fashion designer ke kaam mein aapko bahut saare logo ke sath kaam karna hoga toh aapko achhe se coordination karni hogi
  • Market research karni hogi taaki  naye trends, fabrics aur techniques ke baare mein jan sake  aur yeh aapko design inspiration mein bhi help karega.

Kaunse courses hote hai

Agar aap fashion designer bnane ka soch rha hai toh aapko sabse pehla decide karna hoga aap kis course mein karna chahte hai fashion designing.
Jab bhi aap koi course karne ka sochte hai toh aapko uski puri jaankari honi chahiya.

Aapko fashion designing mein Undergraduate aur Postgraduate ki padhai karni hogi jissme aapko bahut saare subjects padhne hoge.

Aap Fashion Designing mein degree (UG aur PG) ya diploma dono mein se kuch bhi kar sakte hai.

 

Eligibility

Duration

Courses

Diploma

minimum eligibility  10+2

1-year Diploma course

·         Diploma in Fashion Technology

·         Diploma in Fashion Design

·         Diploma in Apparel Design

·         Diploma in Jewellery Design

·         Diploma in Fashion Photography

·         Diploma in Retail Merchandising

·         Diploma in Leather Design

·         Diploma in Textile Design

·         Diploma in Visual Merchandising

 

Bachelors

minimum eligibility  10+2

3 years

· Bachelor of Fashion Technology

· Bachelor of Fashion Design

· Bachelor of Design (B.Des.)          Fashion Design

·  Bachelor of Design (B.Des.) Leather Design

·  Bachelor of Design (B.Des.) Textile Design

·  Bachelor of Design (B.Des.) Accessory Design

· Bachelor of Design (B.Des.) Fashion Communication

·  Bachelor of Design (B.Des.) Knitwear Design

·  Bachelor Degree in Retail and Fashion Merchandise

Fashion Designer college

Humne yaha kuch achhe colleges ki list di hai jaha aap apni graduation kar sakte hai:

  • National Institute Of Fashion Technology (Nift) – New Delhi
  • National Institute Of Design (Nid) – Ahmedabad
  • Sophia Polytechnic – Mumbai
  • Sndt Women’s University – Mumbai
  • IITC – Mumbai
  • JD Institute Of Fashion Technology – Mumbai
  • JD Institute Of Fashion Technology – Jaipur
  • Pearl Fashion Academy – New Delhi, Mumbai, Jaipur
  • South Delhi Polytechnic For Women – New Delhi

Fashion Designer banane ke liye entrance exams

Fashion Designing ka exams teen levels par hota hai. Aap koi bhi paper de sakte hai:

Humne yaha NIFT ki saari important jaankari di hai .

NIFT Entrance Exam

National Institute of Fashion Technology humari country ki national level fashion designing college hai . Yeh bahut prestigious college hai.

Details

Specifications

Exam Name

National Institute of Fashion Technology (NIFT) Entrance Exam

Conducting Body

National Institute of Fashion Technology (NIFT)

Exam Level

National Level Exam

Exam Frequency

Saam mein ek baar

Exam Mode

Offline

Exam Duration

  • Creative Ability Test  BDes: 3 Hours
  • General Ability Test (GAT)  BDes & MDes: 2 Hours
  • GAT  BFTech, MFM, MFTech ke liye: 3 Hours

Language

English

Exam Purpose

NIFTs mein admission

Course Offered

BDes, BFTech, MDes, MFTech, MFM

No. of Test Cities

32 cities  India mein

Exam Helpdesk No.

011-26542000

Official Website

http://www.nift.ac.in/

NIFT mein fashion designing ke yeh courses hai:

Course

Duration

Type

Course Full Details

B.Des. (Fashion Design)

4 years

UG/Full Time

https://www.nift.ac.in/bfd

B.Des. (Leather Design)

4 years

UG/Full Time

https://www.nift.ac.in/bld

B.Des. (Accessory Design)

4 years

UG/Full Time

https://www.nift.ac.in/bad

B.Des. (Textile Design)

4 years

UG/Full Time

https://www.nift.ac.in/bdestd

B.Des. (Knitwear Design)

4 years

UG/Full Time

https://www.nift.ac.in/bdeskd

B.Des. (Fashion Communication)

4 years

UG/Full Time

https://www.nift.ac.in/bdesfc

B.FTech. (Apparel Production)

4 years

UG/Full Time

https://www.nift.ac.in/bftap

M.Des. (Master Of Design)

2 years

PG/Full Time

https://www.nift.ac.in/mdesmd

M.F.M (Master Of Fashion Management)

2 years

PG/Full Time

https://www.nift.ac.in/mfm 

M.FTech (Master Of Fashion Technology)

2 years

PG/Full Time

https://www.nift.ac.in/mft

Doctoral Programmes

3-5 years

PhD/Full Time and Part Time

https://www.nift.ac.in/doctoralstudies

Continuing Education Programmes

Maximum 1 year

Diploma

https://nift.ac.in/cep

Aap NIFT  ke ilawa aur bhi exams de sakte hai fashion designer banane ke liye.

Aap Fashion Designer banane ke liye yeh paper de sakte hai. Yaha humne paper ke naam ke saath uski website  ka link bhi diya hai jaha aap click karke baaki jaankari dekh sakte hai:

EXAM

WEBSITE

NID

https://www.nid.edu/

PEARL

https://pearlacademy.com

IICD

https://www.iicd.ac.in/

SOFT

https://soft.ac.in/

SEAT

http://srishti.ac.in

AIFD

http://www.aifdonline.in/

Fashion designer job options aur salary

Fashion Designer ki padhai khatam hone ke baad aap job kar sakte hai.
Aap ya toh campus placement mein baith sakte hai ya fashion designing se juri companies mein apply kar sakte hai.

Ek achhe career ke liye jaruri hai ki aap shuru mein ek achhe fashion designer ke sath kaam kare tabhi aapko achha experience milega.

Humne yaha kuch companies ki list di hai jaha aap job ke liye apply kar sakte hai:

  • Raymond
  • Benetton
  • Arvind Garments
  • ITC Ltd.
  • Gokuldas Images
  • Kimaya
  • Pearl Global
  • Uni Style India
  • Proline
  • Spykar
  • Mahajan Overseas
  • Modelama Exports
  • Levis
  • Lifestyle

Fashion Designer Salary

Ek fashion designer apne career ki shururat mein kam se kam saal mein  Rs 3,00,000- 5,00,000  average kama leta hai.

Har company mein fashion designer ki salary alag hoti hai. Aapki salary aapki job position, company , experience par depend karegi . Aap kuch iss prakar kama sakte hai:

Fashion Designer

Starting salary (Average per month) 

Inaya couture Fashion designer

Rs. 25,765

Value expert fashion designer

Rs 20,131

Square 1 consultancy fashion designer

Rs 21,728

Unique world fashion designer

Rs 21,728

Dharra advanced business solution fashion designer

Rs 22,362

The urban factory private ltd  fashion designer

Rs 30,000

Anjalee & Arun Kapoor fashion designer

Rs 43,927

Mentor ka aapke career mein bahut bara role hota hai. Aap apni graduation ke baad kisi achhe fashion designer ke sath kaam karke apna experience bada sakte hai. Aap job ya internship kuch bhi kar sakte hai.

Humne yaha kuch fashion designers ki list di hai jinke sath aap kaam kar sakte hai:

  • Rohit Bal        
  • Manish Malhotra     
  • Varun Behl
  • Raghuvendra Rathore
  • Sabyasachi Mukherjee

Fashion Designing business plan

Iske alawa aap apna fashion studio bhi khol sakte hai.Jaha aap apne banaye hue design duniya ko dikha sakte hai. Uske liye aap yeh sab kar sakte hai:

  • Shururat mein aap chote se studio se shuru kar sakte hai aur uske baad aap bada studio bhi khol sakte hai.
  • Aap apni ek website bhi shuru kar sakte hai jaha apne design kiye gaye products logo ko dikha sakte hai.
  • Social media par apne brand ko promote kar sakte hai

Humne koshish ki hai ki hum how to become a fashion designer ki saari jaruri jaankari cover kar sake. Agar aapko aur bhi koi sawaal hai toh aap neecha comment mein puch sakte hai.

Agar aapko Top ten Best Fashion Designing Colleges ke bare mein janana hai toh yahan click kare

6 COMMENTS

    • Fashion design is the art of application of design and aesthetics or natural beauty to clothing and accessories. Fashion Technology includes the application of aesthetics to accessories and clothing with a technical bent. Apparel designing refers to designer who specialize in one type of designing line or category.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here