Graphic designing ek aisa profession hai jo kisi bhi company ya client ki alag pehchaan (brand) logon tak pahunchata hai. Digital media ke yug me graphic designer ek popular profession banta ja raha hai, visual aur graphics ke badhte prabhav se, iska scope bhi badhta ja raha hai. Aagr app creativity mein interested hai aur aapko basic computer skills aate hai to graphic designing aap ke liye ek sambhavit career ho sakta hai. Hum iss article mein graphic designer kaise bane se jude sari baatein janenge.
Iss article mein hum aapko batayenge:
Graphic designer kya hota hai aur wo kya kaam karte hai
Graphic designing me career ke type
Graphic designing course (offline aur online), fees, college list
Graphic designing ke liye jaruri software tools
Graphic designing me job aur salary
Graphic Designer career ke bare mein aur jankari ke liye is video ko dekhe
Graphic designer kya hota hai aur wo kya kaam karte hai
Graphic designer visual communication ke through logon tak apni baat pahunchate hai. Jaise text aur images ka use karke audience ko koi message convey karna, inform ya inspire karna graphic designer ka kaam hota hai.
Graphic designer various medium jaise advertisements, magazines, brochures, t-shirt , presentation, logos aur reports me apne skill se text or pictures ka use karke layout aur production design develop karte hai.
Graphic designer ka kaam:
Graphic designer ko client ke message ko samjh kar usse creative tareeke se image, colour aur fonts ka use karke customer ko batana hota hai. Different software tools ka use karke graphic designer graphics banate hai aur usse apne client ko bhejte hai, review lete hai aur design mein bataye gaye jaruri changes karne ke baad design publish ya final client ko dete hai. Koi bhi cheez jo print hoti hai usme graphic designing ka use hota hai.
Designer ko client ke message ko creative tareeke se logon tak pahunchana hota hai, iske liye jaruri hai ki graphic designer ko data ko analyse karne aata ho, aapko pata ho ki aap ka client logon ko kya baatna chahta hai, tabhi aap usse graphics ke use se logon tak pahuncha sakte hai.
Graphic designing me career ke type:
Graphic designer logo se lekar magazine tak sab bante hai. Ek graphic designer kayi profiles par kaam kar sakta hai aur apne interest ke acoording koi ek job profile choose karke usme aap apna career bana Sakte hai. Graphic designing me mainly 5 types ke career hote hai:
1)Brand Identity: Different components ke through company apni perfect image target audience tak pahunchati hai, inn different components ke collection ko branding khate hai. Branding mein logo, website, email designing, product packaging aur business card sab aate hai. Branding kisi bhi brand ko brand banane ke liye important hoti hai.
2)Packaging Design: Packaging material ko safe hi nahi rakhti sath mein customer ko bhi attract karti hai. Packaging aap ke paas ek avsaar hota hai logon tak apne product ko pahunchane aur unhe attract karne ka. Aap packaging se apne competitors se khud ko alag kar sakte hai.
3) Web and Mobile Design: Web designing mein graphic designer website ke appearance aur layout par kaam karta hai jo ki desktop aur mobile website par user experience ko acha karta hai aur website ko user friendly banate hai. Apperance mein kaunse colour, fonts aur images ka use sahi rahega aur layout mein koi bhi information website mein kase structure hai iss par kaam karte hai.
Mobile design user ko mobile par positive aur friendly experience dena hota hai. Aaj kal companies mobile designing par khaas khayal de rahi hai kyonki mobile users ki sankhya, desktop user ke comparison me kafi tezi se badhte ja rahi hai.
4)Layout and Print Design: Basically layout aur print design me aapko text aur images ke beech me balance karna hota hai aur information ko pleasing aur user friendly tareeke se logon tak pauchna hota hai. Magazines, books, newspapers, brochures, posters mein aapko layout aur print design dekhne ko milte hai.
5)Advertisement: Advertisement graphic designing ka ek important part hai jisme aap apne graphics ki creativity se logon tak apne brand ko pahunchate hai aur customer ko attract karte hai. Iske liye humein clever designing ki jarurt hoti hai jo kam time me logon ka attraction gain karte hai aur logon tak apne brand ke bare me information pahunchate hai.
Digital world ke time par graphic designing ka scope badhta ja raha hai. Companies ab apne digital representation par kafi dhyan de rahi hai kyonki mostly sari information digitally logon tak pahunch rahi hai.
Graphic designing course (offline aur online), fees, college list
Graphic designing karne ke liye aapko creative aur problem solving hona chahiye sath hi imagine karna aur usse creative tareeke se represent karna aana chahiye. Graphic designer kaise bane se related course karne ke liye aapko 10+2 pass hona jaruri hai. Iske baad aap bachelor, master, diploma ya certificate course kar sakte hai.
Chaliye jante hai graphic designer kaise bane related courses ke details jaise course, fees, college list:
Bachelor course (Graduation)
Course | Duration | Fees | Eligibility |
Bachelor’s in Fine Arts | 3 years | Rs.50,000-700,000 | Student 10+2 pass hona chahiye kisi bhi stream(Art/Science/Commerce) se |
Bachelor of design (B.Des.) in Graphic design | 4 years | Rs.20,000-400,000 | Student 10+2 pass hona chahiye kisi bhi stream(Art/Science/Commerce) se |
Bachelor of design (B.Des.) in Graphic design | 4 years | Rs 20,000-500,000 | Student 10+2 pass hona chahiye kisi bhi stream(Art/Science/Commerce) se |
Bachelor of Science in Graphic Design | 3 years | Rs.30,000-500,000 | Student 10+2 pass hona chahiye kisi bhi stream(Art/Science/Commerce) se |
Bachelor of Arts in Graphic Design | 3 years | Rs.30,000-600,000 | Student 10+2 pass hona chahiye kisi bhi stream(Art/Science/Commerce) se |
Graphic designing mein bachelor course 3 se 4 saal tak ka hota hai. Jiske liye aapko kisi bhi stream se 12th pass hona chahiye. Aap bachelor course kisi bhi institute se kar sakte hai. Kuch famous college ki list jo graphic designing mein bachelor course karate hai:
- National Institute of Design,Ahemdabad(Gujarat)
- Industrial Design Centre IIT, Bombay
- Srishti School of Art, Design and Technology, Karnataka
- Department of Design,IIT Guwahati
- Indian Institute of Technology, Assam
- Indian Institute of Technology, Kanpur
- Symbiosis Institute of Design, Pune
- MAEER’S MIT Institute of Design,pune
- The National Association of Schools of Art and Design
- GD Goenka school of fashion and design
- Delhi College of Art ,Delhi
- Indian Institute of Art and design(IIAD),Delhi
- Sir JJ Institute of Applied Art,Mumbai
- Pearl Academy
Master course (Post-Graduation)
Course | Eligibility | Duration | Fees |
Master of Arts in Graphic Design | Student ke pass bachelor degree hone chahiye same stream ya equivalent stream mein | 2 years | Rs.80,000-200,000 |
Master of Design in Graphic Design | Student ke pass bachelor degree hone chahiye same stream ya equivalent stream mein | 2 years | Rs.70,000-300,000 |
Graphic designing mein master course karne ke liye aapke pass same stream mein bachelor degree hone chahiye. Yah course 2 saal ke hote hai. Kuch famous college ki list jo master course karate hai:
- National Institute of Design,Ahemdabad(Gujarat)
- Industrial Design Centre IIT, Bombay
- Pearl Academy
- MAEER’S MIT Institute of Design,pune
- Department of Design,IIT Guwahati
- Delhi College of Art ,Delhi
- Sir JJ Institute of Applied Art,Mumbai
Diplma course
Course | Diploma in Graphic Design |
Eligibility | Student 10+2 pass hona chahiye |
Duration | 1 year |
Fees | Rs.35,000 se 100,000 |
Admission process | Merit list |
Graphic designing mein 1 year diploma bhi kar sakte hai. Jisme admission merit list ke base par hota hai. Kuch famous college ki list jo diploma karate hai:
- Lal Bahadur Shastri Training Institute – LBSTI – Uttar Pradesh
- Image Institute of Multimedia Arts and Graphic Effects – IMAGE – Tamil Nadu
- Pacific University, Udaipur
- National Institute of Computer Arts – Maharashtra
- Aligarh Muslim University, Aligarh
Entrance Exams:
Inn courses mein admission lene ke liye aapko entrance exam pass karna padta hai. Jo ki national level ya state level ka hota hai. Chaliye kuch famous entrance exam ke baare mein jante hai:
1)NID Entrance Exam: National institute of design college mein aap Bachelor of Design (BDes), Graduate Diploma Programme in Design (GDPD) sath hi sath Master of Design (MDes) mein, NID entrance exam mein apne marks ke anusaar admission le sakte hai. NID entrance exam do part mein hota hai: NID DAT(prelims) aur NID DAT(mains).
Prelims exam ek national level english mode me hone wala written aptitude test hota hai aur jo iss exam ko pass kar leta hai wo hi mains ka exam de sakta hai. Mains exam ek studio test aur interview round hota hai. Iss exam ke liye form fill karne ka notification October mein aata hai. Jyada jaankari ke liye yahan click karein.
2)UCEED Entrance Exam: Bachelor of Design (BDes) me admission lene ke liye yah ek 3 ghante ka national level english me online entrance exam hota hai. Jo ki har saal IIT Bombay conduct karta hai. Undergraduate Common Entrance Examination for Design(UCEED) ka exam har saal January month mein hota hai. Jo ki english mein hota hai aur iss exam mein score ke anusaar college mein admission milta hai. Jyada jaankari ke liye yahan click karein.
3)CEED Entrance Exam: Common Entrance Examination for Design (CEED), Master of Design (MDes) aur PhD program mein admission ke liye har saal IIT Bombay ke dwara conduct karya jata hai. Yah national level exam do part mein hota hai prelims aur mains. Prelims exam ek english mode me hone wala objective type online test hota jisko pass karne ke baad hi aap mains exam de sakte hai jo ki subjective type offline test hota hai.
Iss exam mein koi age limit nahi hoti, aap iss exam ko kitne bhi baar de sakte hai. Jyada jaankari ke liye yahan click karein.
4) SEED Entrance Exam: Symbiosis entrance exam for design (SEED) , Bachelor of Design (BDes) mein admission ke liye entrance exam hai. Jo ki national level english me hone wala 2 aur adhe ghante ka obejective type ka test test hota hai usko pass karne ke baad hi studio test aur interview hota hai. Yah exam symbiosis international university ke dwara conduct kiya jata hai. Iss entrance exam ko dene ke liye aapko 12th pass hona padta hai. Jyada jaankari ke liye yahan click karein.
Inn exams ke alwa bhi kayi entrance exam hote hai jaise MIT Entrance Exam etc. Jyada jaankari ke liye yahan click karein.
Entrance Exam | Conducted by | Course Offer | Exam Mode |
NID Entrance Exam | NID | Under-graduate aur post-graduate | Offline |
CEED Entrance Exam | IIT Bombay | Post-graduate | Part A: online Part B: offline |
UCEED Entrance Exam | IIT Bombay | Under-graduate | Online |
SEED Entrance Exam | Symbiosis international university | Under-graduate | Part A: online Part B: offline |
Online certificate course: Ek graphic designer kaise bane iske liye Jaruri nahi ki aapke pass degree ho. Aap certificate course karke bhi graphic designer ban kar freelancer jaise kaam kar sakte hai. Aagr aapke pass degree hai to aap certificate course karke apna portfolio strong bana sakte hai.
Inn courses ki duration 1 month se 12 month ki hoti hai. Jinki fees Rs.5,000 se 80,000 tak ki hoti hai. Kuch websites jo online graphic designing certificate course karati hai:
Inn websites se aap kuch course free mein bhi kar sakte hai. Aap youtube se bhi free mein online tutorial dekh kar graphic designing seekh sakte hai. Free mein graphic design mein tutorial dene wale kuch youtube channel ki list:
Graphic designing ke liye jaruri software tools
Iss creative tech duniya mein, graphic designing ek jaruri element hai idea represention ke liye. Ek skilled graphic designer kaise bane iske liye aapko software tools use karna aana chahiye. Ek graphic designer ko hamesha upto date rahna hota hai, naye software ke bare mein aapko sare information hone chahiye.
kuch important software tools ki list:
Graphic designing me job aur salary
Graphic designer ka scope lagbhag har sector mein hai. Atleast 40% communication jo company aur target audience ke beech hoti hai wo visual hai. Almost sare sectors ko skilled graphic designer ki jarurt hoti hai. Kuch sectors ke naam:
- Media
- Publishing
- Retail
- Software
- Advertising
- Television aur Broadcasting
- Packaging
- Brand
Graphic designer inn profiles par inn sectors mein kaam kar sakte hai:
- Design Professional
- Brand Identity Designer
- Logo Designer
- Artist
- Creative Director
- Design Consultant
- Magazine Layout Editor
- Layout Artist
Ek graphic designer kayi tareeko se kaam kar sakta hai. Jo working style aap ko pasand aaye aap usme kaam karein:
1. Job: Ek graphic designer upar bataye hue job profiles par kisi organization mein 9 to 5 ki job kar sakta hai. Office mein kaam karne ke liye mostly jagah par degree ki jarurt hoti hai.
2. Freelancer: Graphic designer freelancer jaisa bhi kaam kar sakta hai. Isme office jane ki problem nahi hoti. Aap ismein cleint se online project par baat kar sakte hai. Freelancing ke liye jaruri nahi ki aap ke pass degree ho.
Aap inn kuch website se freelancing kar sakte hai:
Aap job ke sath sath bhi freelancing kar sakte hai.
3. Business: Aap apna graphic designing studio bhi khol sakte hai. Mostly log kuch saal ke experience ke baad jab apna network bana lete hai tab apna studio kholte hai.
Shuruvat mein graphic designer ko har mahine Rs.15,000 se 20,000 tak ki salary mil sakte hai. Experience ke saath saath salary bhi badh jaati hai aur ek experienced graphic designer monthly aaram se Rs. 50,000 se lekar Rs.1,50,000 tak bhi kama sakte hai.
Humne kosish ki hai ke iss article ke madhyam se aapko India mein graphic designer kaise bane aur career shuru karne ke liye jo bhi jaankari chahiye wo mil jaye. Agar abhi bhi aapke mann mein graphic designer career se jude koi sawal hain toh humse comment mein jarur pucchein.