jaane pilot kaise bane

Kya aap pakshiyon ki tarah aasman mein udne ka khwaab rakhte hain? Agar haan, toh aapka yeh sapna pilot ban kar pura ho sakta hai. Pilot banana bahut se logo ka sapna hota hai par agar aapko koi sahi raah dikhaane wala na ho, toh aapke man mein bahut se sawaal hote hain. Toh aaj hum apne blog mein aapko ‘How to become a Pilot in India?’ se judi puri information Hindi mein batayenge jaise ki pilot kaise bane, kitne types ke pilot hote hain aur Pilot banne ke kharcha se lekar ek pilot career mein salary kitni hoti hai aur unke liye kya kya job options hote hain.

Iss article mein hum aapko batayenge-

Pilot ko Hindi mein kya kehte hain aur uske types

Pilot banane ke liye eligibility

Pilot Exams aur Licenses

Pilot Training Institutes aur Courses offered

Pilot Career mein Salary aur Job options


Pilot ko Hindi mein kya kehte hain aur uske types

Pilot kaise bane se pehle ye janana jaruri hai ki pilot kya hota hai. Pilot ko hindi mein ‘Vimaan Chaalak’ kaha jaata hai. Aviation Industry mein pilot uss person ko kaha jaata hai jo aircraft udaakar passengers ya kisi samaan ko ek state se doosre state ya ek country se doosri country tak pahunchata hai. Pilots ko airline companies, corporations aur sarkaar dwara hire kiya jaata hai. Yeh ek aisa profession hai jisase aapko sirf Government aur Public Sector mein hi nahi balki Education Sector mein bhi kaam karne ki opportunities milti hain aur iss profession mein salary bhi bahut achhi milti hai.

Pilot ka kaam uske kaam karne ki industry par depend karta hai aur saath mein iss baat par bhi depend karta hai ki wo kaunsa aircraft udaane mein expert hain jaise-

  • Kuch pilots sirf helicopter hi udaate hain.
  • Kuch pilots bade aircrafts udaate hain.
  • Kuch pilots Cargo planes udaate hain aur
  • Kuch pilots Indian Airforce ke fighter planes udaate hain etc

Pilot ki duties aur Responsibilities

Ek achhe pilot ko aircraft udaane ke saath saath aur apne passengers ya cargo ko ek jagha se dusri jagha pahunchane ke saath ye bhi pata hona chahiye ki uski Duties aur Responsibilities kya hai. Toh aaiye jaante hain inke baare mein-

  • Pilot ko apne passengers, aircraft aur apne crew members ki safety ensure karni chahiye.
  • Take-off se pehle pilot ko iss baat ka dhyaan rakhna chahiye ki uske aircraft ke sabhi controls efficiently kaam kar rahein ho.
  • Pilot ko take-off se pehle sabhi flight routes achhe se study aur analyse kar lene chahiye. Flight routes check karne par pilot ko yeh pata chal jaata hai ki jiss route se aircraft guzrega wahan ki weather conditions kaisi hain.
  • Aircraft udaate time pilot ko regularly Air Traffic control se touch mein rehne chahiye aur unse communicate karte rehna chahiye.
  • Pilot ko navigation aur Control Systems ke pre-flight checks conduct karne chahiye.
  • Pilot ko flying ke time flight crew se regular contact maintain karke rakhna chahiye.
  • Emergency situations mein pilot ko panic nahi karna chahiye aur apne passengers ki safety ensure karne ke liye calm rehna chahiye.

Toh ayiye ab detail mein jaante hain ki kitne types ke pilots hote hain-

  1. Sport Pilots- Yeh wo pilots hote hain jo apne local area mein low altitudes par light aircrafts udaate hain. Sport Pilots apne sath sirf ek hi passenger carry kar sakte hain. Ek Sport Pilot ko raat mein 10,000 ft. se upar apna aircraft udaane ki permission nahi milti.
  2. Private Pilots- Private pilots wo hote hain jinke paas Private pilot license hota hai. Private Pilot commercial purposes ke liye aircraft nahi udaa sakte aur weh sirf Visual Meteorogical Conditions ke under hi aircraft udaa sakte hain. Inn pilots ko tabhi compensate kiya jaata hai jab unke pas Commercial Pilot license ho.
  3. Commercial Pilots- Commercial Pilot ko apni flying services provide karne ke liye pay kiya jaata hai. Comercial Pilot ki training mein aapko sikhaaya jaata hai ki aap complex aircrafts kaise udaa sakte hain.
  4. Indian Airforce Pilots- Is type ka pilot banana bahut hi challenging hai. Indian Airforce  mein aapko Fighter Pilot, Helicopter Pilot ya fir Transport Pilot banane ke liye train kiya jaata hai.
    a) Female Airforce Pilot ki jaankari ke liye click kare
    b) Male Airforce Pilot ki jaankari ke liye click kare
  5. Indian Navy Pilots- Navy mein unmarried purush aur mahilaaye short service commission ke liye pilot ke liye apply kar sakte hain.
    a) Female Navy Pilot ki jaankari ke liye click kare
    b) Male Navy Pilot ki jaankari ke liye click kare

Pilot banane ke liye eligibility

Humne aapko upar bataaya hai ki kitne types ke pilots hote hain. Aaiye ab jaante hain ki Pilot profession mein career pursue karne ke liye eligibility criterias kya hote hain-

  1. Pilot banane ke liye minimum qualification 10+2 honi chahiye aur aapke pas 12th mein Science stream yani ki Physics, Chemistry aur Maths jaise subjects hone chahiye. Saath hi mein aapke 12th mein 50% marks hone chahiye.
  2. Student Pilot License ke liye aap tabhi eligible ho sakte hain agar aapki age 16 years hai, Private Pilot llicense ke liye 17 years aur Commercial Pilot License ke liye 18 years.
  3. Private pilot License ke liye aap seedha 12th ke baad bhi enroll kar sakte hain agar aap 17 years ke ho chuke hain. Iske liye aapko exam dena padta hai jo ki Directorate General of Civil Aviation (DGCA) dwara conduct kiya jaata hai
  4. Aapki ek aankh ka vision bilkul perfect hona chahiye. General Medical Terminology ke according aapki 6/6 ki eyesight honi chahiye. Aapki dusri aankh mein 6/9 ki imperfection ho sakti hai.
  5. Pilot ke profession mein jaane ke liye iss baat ka dhyaan rakhein ki aap physically fit hone chahiye. Aapko kisi bhi prakaar ki bimaari nahi honi chahiye.
  6. Aapko kuch ghanto ki training, written examinations aur medical examination se bhi guzarna padta hai. In sabhi papers mein pass hone ke liye aapko 70% marks chahiye honge. Agar aap ek baari mein clear nahi kar paate toh aap dubaara bhi in exams ke liye appear ho sakte hain.

 

Stream

Graduation

After Graduation

Path 1

12th mein Science Stream se pass hona (Recommended)

Certificate as a Licensed Pilot with a Certificate program of 19-24 months (Student pilot License, Private Pilot License, Commercial pilot License)

 

Path 2

12th mein Science stream se pass hona (Recommended)

Pursue Bsc. Aviation for 3 years.

Certificate as a Licensed Pilot with a Certificate program of 19-24 months (Student pilot License, Private Pilot License, Commercial pilot License)

Pilot Exams aur Licenses

Ab hum aapko batayenge ki Pilot career pursue karne ke liye kaunse exams dene padte hain jisase ki aapko aircrafts udaane ke license mil sakte hain. Iske liye ek  proper regulatory authority hai jise  Directorate General of Civil Aviation (DGCA) kaha jaata hai.

Directorate General of Civil Aviation ek regulatory authority hai jo Aviation se related sabhi matters mein deal karti hai. DGCA ki kuch responsibilities hoti hain jaise-

  • Airworthiness Standards ko laaghu karna, unhe control karna aur unhe supervise karna.
  • Safety Operations
  • Crew Training

DGCA pilot examinations conduct karwaata hain aur unhe licenses grant karta hai. DGCA ke baare mein detail mein jaanane ke liye iss link par click kare.

Toh aayiye jaante hain inn exams aur licenses ke baare mein-


1. Student Pilot License- Yeh ek theory exam hota hai. Ismein aapke Air Regulations, Aviation Meteorology, Air Navigation aur Air Technical se related papers cover hote hain.

  • Eligibility- Iss exam mein  appear hone ke liye aapki age 16 honi chahiye aur aap 10th pass hone chahiye. Iske liye aapko Medical Fitness Certificate, Security Clearance aur Rs 10,000 ki bank guarantee ki jarurat padhegi.
  • Selection- Jo Candidates Student Pilot License(SPL) ke liye appear hote hain, unhe har maheene ek fixed date par Oral Examination ke liye bhi appear hona padta hai. Candidates ko ek medical test se bhi guzarna padta hai. Air Force Central Medical Establishment (AFCME), New Delhi aur Institute of Aviation Medicine, Bangalore Medical Fitness ki final authorities hain. Agar aap Medical Test clear kar lete hain to aapko Student Pilot License (SPL) mil jaata hai. Saath mein aapko Pilot Aptitude Test bhi clear karna padta hai.

Student Pilot License ke baare mein jyada jaankari ke liye iss link par click karein.

2. Private Pilot License (PPL)-  Student Pilot License milne ke baad Candidate ki Flight Instructor ke saath flying training shuru hoti hai. Yeh ek Dual Flight hoti hai jismein Flight Instructor Candidate ke saath hota hai aur issase Candidates flying ke practical aspect ko achhe se samajh paate hain. Dual flying ke 15 ghante baad Candidate ko apni pehli independent flying ka mauka milta hai. Yeh independent flying Cross Country flying hoti hai. Total 60 ghanto ki flying ki jarurat hoti hai jismein kam se kam 20 ghanto ki solo flying honi chahiye aur 5 ghanto ki cross country flying.

  • Theory Exam- Ye exam bhi SPL ki tarah theory exam hota hai jismein Air Regulations, Aviation Meteorology, Air Navigation, Aircraft Engines aur Seamanship jaise papers cover hote hain.
  • Eligibility- Iske liye Candidate ki 10+2 honi chahiye aur aapke paas AFCME ya IAM dwaara diya hua Medical Fitness Certificate hona chahiye. Iske liye apki age 18 years honi chahiye.
  • Kharcha- Private Pilot License (PPL) lene ka kharcha Rs 2 lakhs- 5 lakhs tak ki range ke beech ka hota hai.

Private Pilot License se judi jaankari detail mein jaanane ke liye iss link par click kare.

3. Commercial Pilot License (CPL)- Candidate ko Commercial Pilot License tabhi mil paata hai jab wo apni 200 ghanto ki flying complete karte hain.

  • Eligibility- Iske liye Candidate ki qualification 10+2 honi chahiye aur Candidate ke paas 12th mein Physics aur Mathematics jaise subjects hone chahiye. Candidate ki age 18 years honi chahiye aur uske pas AFCME ya IAM dwaara diya gaya Medical Clearance hona chahiye.
  • Written Exam- Candidate ko Air Regulations, Air Navigation Meteorology aur Aircraft and Engines and Signals (Practical) jaise subjects ka written exam dena padta hai aur unmein pass hona padta hai. Yeh exams saal mein 6 baar conduct kiye jaate hain. Candidate ke paas 200 ghanto ka actual flying experience hona chahiye jismein se-
    a) 100 ghanto ki solo flying honi chahiye.
    b) 20 ghanto ki cross- country flying.
    c) 10 ghanto ki instrument flying
    d) 5 ghanto ki night flying
  • Kharcha- Commercial Pilot License ke liye Rs 8 lakhs – 15 lakhs tak ke beech ka kharcha aata hai.

Agar koi Candidate 750 ghanto ka flying time complete karta hai toh usse Senior Commercial Pilot License (SCPL) milta hai.

Commercial Pilot License se judi jaankari detail mein jaanane ke liye iss link par click karein.

4) Commercial Helicopter Pilot License-  Helicopter pilots ke paas Commercial Helicopter Pilot License hona chahiye.
Eligibility-  DGCA ki guidelines ke according,candidates ke paas 150 ghanto ka flying experience hona chahiye jismein se-
a) 50 ghanto ki solo flying honi chahiye.
b) 10 ghanto ki cross- country flying
c) 10 ghanto ki night flying
d)10 ghanto ka instrument ground time.

Helicopter Pilots ko Commercial Organisations, Public Sector Organisations aur Security/protective agencies mein job mil sakti hai.

Commercial Helicopter Pilot License ke baare mein detail mein janane ke liye iss link par click karein.

5) Airline Transport Pilot License- Senior Commercial Pilot License milne ke baad, ek pilot ko 1500 ghanto ka flying time complete karke Airline Transport Pilot License mil sakta hai. Agar aapke paas yeh license hai toh aap koi bhi type ka aircraft uda sakte hain. Iss license ko prapt karna sabse mushkil hai aur yeh license sirf DGCA ke approval ke baad hi mil sakta hai.
Kharcha- Iski training ka kharcha Rs 40,000 – 50,000 per ghanta hota hai par bahut baar jis airline mein aap kaam karte hain, weh aapki training ka kharcha sponser kardeti hain.

Pilot banne ka kharcha- Pilot banne ka kharcha 20 – 25 lakh ke beech tak ka aata hai. Aisa isliye kyonki jitni bhi baar aap training lete waqt aircraft udayenge, aapko ussi hisaab se paise dene padenge.

Pilot Training Institutes aur Courses offered

India mein bahut se famous aur well-known Pilot Flying Institutes aur Academies hain jahan par aap training le sakte hain. Par iss baat ka dhyaan rakhein ki aap jis bhi Flying Academy mein admission le rahein hain, weh DGCA dwara recognised honi chahiye. Toh ayiye jaante hain top 5 DGCA approved flying Institutes ke baare mein-

S.No

Name of Institutes/Academy

Firm Ownership type

Courses offered

1

Indira Gandhi Rashtriya Udan Akademy

Central Government

  • Ab- initio to Commercial Pilot  License
  • Simulator training
  • Multi Engine endorsement
  • Instrument Rating
  • Renewal Tests aur License Endorsement checks
  • CRM workshops
  • Multi- Crew Co- Operation Course

Inn courses ke baare mein detail mein yahan jaaniye

2.

Chimes Aviation Academy

Private Ltd.

  • Commercial Pilot License
  • Chimes Flying
  • Multi Engine
  • License Conversion
  • License Renewal
  • Instructors Rating
  • Private Pilot License
  • Cruiser

Inn course ke baare mein detail mein yahan jaaniye.

3.

Government Aviation Training Institute

State Government

  • Commercial Pilot License
  • Private Pilot License
  • Student Pilot License
  • Frtol
  • Night Rating
  • Instrument Rating
  • Patter flying
  • Ground School
  • Hobby flying
  • Multi Training
  • English Language proficiency

Inn courses ke baare mein detail mein yahan jaaniye.

4.

Ahmedabad Aviation and Aeronautics Ltd

Public Ltd.

  • Commercial Pilot License
  • Private Pilot License
  • Aspirant Pilot Program
  • Instructor Rating
  • Hours building

Inn courses ke baare mein detail mein yahan jaaniye.

5.

Flytech Aviation Academy

Public Ltd.

  • Pilot Training
  • Student Pilot License
  • Private Pilot License
  • Commercial Pilot License
  • Multi Engine Rating
  • Simulator Training
  • Assistant Flight Instructor Rating

Inn courses ke baare mein detail mein yahan jaaniye.

Humne aapko India ke top 5 flying Academies ke baare mein bataya hai. Yeh academies DGCA dwara recognise ki hui hain. DGCA dwara aur bhi bahut academies list ki gayi hain. Unke baare mein detail mein jaanane ke liye yahan click karein.

Pilot Career mein Salary aur Job options

Pilot kaise bane ko lekar humare man mein yeh sawaal bhi hota hai ki salary kitni hogi. Aisa kaha jaata hai ki Pilot career option ek aisa option hai jo ki challenging hone ke saath saath rewarding bhi hai. Aisa isliye kaha jaata hai kyonki India mein Pilots ki salary bahut high hai.
India mein pilots ki salary 3 factors par depend karti hai. Ayiye jaante hain inn factors ke baare mein-

  • Officer Rank
  • Experience
  • Certification
  1. Average Salary (based on officer rank)

Type of Aircraft

Captain/Pilot in Command (Per month salary) (In Rs)

First Officer/Co-pilot (In Rs)

Airbus A-300/ A-310/ A-320

3,50,000 – 6,00,000

2,25,000 – 3,00,000

Airbus A-340

4,00,000 – 6,50,000

2,50,000 – 3,25,000

Boeing 737-900

4,00,000 – 6,50,000

2,25,000 – 3,50,000

Cargo International/ Domestic

3,00,000 – 6,00,000

1,75,000 – 4,00,000

Courier Flight

2,00,000 – 3,25,000

90,000 – 1,50,000

Private/ VIP Craft

1,00,000 – 1,50,000

 

Private Air Taxi

1,00,000 – 1,50,000

 

2) Average Salary (based on experience)

Experience aapke future ke liye bahut important role play karta hai par experience aapki salary aur kamai ko bhi bahut affect karta hai. Agar aapke pas jyada experience hai, toh zaahir si baat hai ki aapki salary bhi jyada hogi.

Experience

Average Salaries ( per month- In Rs)

1 saal se Kam experience

60,000 – 1,30,000

1 – 4 saal

1,00,000 – 3,00,000

5 – 9 saal

2,50,000 – 4,50,000

10 – 19 saal

4,00,000 – 7,00,000

20 saal se jyada

5,00,000 – 10,00,000

3) Average Salary (based on Certification)

Ek pilot ki salary iss factor par bhi depend karti hai ki wo kaunsa certificate/ License hold Kar Raha hai jaise ki Private Pilot License, Commercial Pilot License etc.

Job Category

Industry

Monthly Salary Range ( In Rs)

Private pilot

Private flight / Air Taxi

1,50,000 – 3,00,000

Commercial Pilot

Commercial Aviation

3,00,000 – 10,00,000

Humne aapko approximate salary amount bataya hai jo ki depend karta hai Officer Rank, Experience aur Certification par.

Other Job Options

Agar aap Pilot as a profession choose karte hain, to aisa jaruri nahi hai ki aap sirf Commercial Pilot ya Private Pilot hi ban sakte hain. Aajkal pilots ko kayi sectors mein job opportunities mil rahi hain.

Toh ayiye jaante hain ki Pilot career pursue kar ke aap aur kaun kaun se sectors mein job paate hain-

  1. Cargo Pilot – Cargo Pilot ve hota hai jo Small aur large companies ke parcels aur packages ek jagha se dusri jagha deliver karta hai.
  2. Charter Pilots- Charter Pilots weh hote Hain jo kuch specific destinations tak hi aircrafts udaate hain. Agar aap ek Charter Pilot hain toh aap khud ki bhi Private Charter Company own kar sakte hain ya fir dusri Charter Airlines ke liye kaam Kar sakte hain.
  3. Flight Instructor- Inhe Certified Flight Instructor bhi kaha jaata hai. Agar aap Flight Instructor bante hain toh aap baaki ke naye pilots aur veteran pilots ko flying ki training de sakte hain. Flight Instructors flying schools mein padha sakte hain, private instructors ban sakte hain, aviation colleges aur airlines mein bhi padha sakte hain.
  4. Government Service Pilots- Agar aap Government Pilot mein career pursue karte hain toh aap, Government ki alag alag agencies ke liye kaam kar sakte hain.
  5. Military Pilot- Jaisa ki hum sab jaante hain ki military pilots kya karte hain lekin ek Military Pilot ki job sirf wars tak hi seemit nahi hoti. Military pilots ko latest aircrafts udaane ki opportunity milti hain aur agar ve training dete Hain toh unko salary di jaati hai.
  6. Defence Pilot– Defence pilot jaise Airforce pilot aur Navy pilot mein bhi aap career bana sakte hain.
  7. Airshow Stunt Pilots- Iss pilot career mein jaana bahut risky hai kyonki ek stunt pilot ko badi audience ke saamne acrobatic stunts karke dikhane hote hain. Is tarah ke pilots kisi event par, competition par ya aerial races mein perform karte hain aur iske liye unhe pay kiya jaata hai.
  8. Astronauts aur Space Pilots- Jis gati par Aviation aur Aerospace Technology progress kar rahi hai, isse yeh pata chalta hai ki aage aane wale time mein Space- trained pilots ki bahut jarurat padhne waali hai. Agar aap Space pilot mein career pursue karte Hain, toh aapka kaam hoga civillian aur non- civillian passengers ko outer space mein leke jana.

Aapko iss article se puri jaankari mil gayi hogi ki aap pilot kaise bane aur usmein apna career banaaye. Agar abhi bhi aapke pilot ke profession se judi koi jaankari hai jo aap janana chaahte hain, toh humse comment box min jarur puchiye.

I am a student of Shaheed Bhagat Singh College, University of Delhi. I am the head of Operations Department at Encode- The Internship Cell of SBSC and I am also the part of Organising team of TEDxSBSC. I am an enthusiast who is always keen to explore different things in life.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here