SSC MTS ek post hai SSC mein. Staff Selection Commission mein har saal bahut saari alag-alag tarah ki posts nikalti hai aur bahut saare yuva exam dekar apni kismat aajmate hai. Ismein education wise kai saari posts nikalti hai aur usmein se ek hai SSC MTS. Toh chaliye ab hum baat karte hai SSC MTS ke baare mein vistar se.
SSC Stenographer Recruitment ki application nikal gayi hai, click karke abhi apply kare.
Iss Article Mein Aap Jaanenge In Points Ke Baare Mein
SSC MTS Ke Liye Eligibility Criteria
SSC MTS Kya hai
Sabse pahle aapko yeh bata dete hai ki aakhir SSC MTS hota kya hai. Toh SSC MTS ka full form hota hai Staff Selection Commission Multi Tasking Staff. Ismein minimum 10th pass waale apply kar sakte hai aur age limit 18 se 25 saal hoti hai.
SSC MTS Recruitment 2019
Ab baat karte hai SSC MTS Recruitment 2019 ke baare mein. Toh aapko bata de ki april mein iski vacancy nikal gayi hai aur iske exam december mein end honge. Aur jaankari ke liye niche diya gaya table dekhein.
Yahan Click Karke Official Notification Download Karein
SSC MTS Recruitment 2019 Ki Poori Jaankari
Event | Date |
SSC MTS Ki Notification Nikali | 22 April 2019 |
Apply Ke Liye Last Date | 29 May 2019 |
Fee Bharne Ki Last Date | Online – 31 May 2019 (upto 5:00 PM) Offline – 1 June 2019 (till banking hours) |
Admit Card | 18 July 2019 (Available) |
SSC MTS Paper 1 | 2 August se 6 September 2019 |
SSC MTS Paper 1 Result | September ke last week |
SSC MTS Paper 2 | 17 November 2019 |
SSC MTS Final Result | December 2019 |
SSC MTS Admit Card
SSC MTS ka Tie-I ka admit card aa gaya hai jise aap download karna chahte hai toh niche diye gaye button par click karein aur apna SSC MTS admit card download karein.
SSC MTS Tier-I admit card (Available)
SSC MTS Ke Liye Qualification
SSC Multi Tasking Staff Vacancy ke liye kuch educational qualification bhi honi jaruri hai. Iss post ke liye jo candidate 10th pass hai kisi recognised board se wo apply kar sakte hai.
SSC Multi Tasking Staff Recruitment Ke Liye Eligibility Criteria
Ab agar eligibility criteria ki baat karein toh ismen aapki age 18 se 25 saal ke beech honi jaruri hai, matlab jo 18 se kam aur 25 se jyada saal ke hai wo iske liye eligible nahin hai.
Inhe milta hai age limit mein relaxation
Iske alava SC/ST aur Jammu & Kashmir Domicile waalo ko 5 saal ka relaxation diya jata hai.
OBC aur Ex-servicemen (general) ko 3 saal ka relaxation.
PH (GEN) aur Jammu & Kashmir Domicile waale (SC/ST) ko 5 saal ka relaxation diya jata hai.
PH (OBC) 8 saal ka relaxation.
PH (SC/ST) 10 saal ka relaxation.
Ex-servicemen (OBC) 3 saal ka relaxation.
Ex-servicemen (SC/ST) aur Jammu & Kashmir Domicile waale (OBC) ko 8 saal ka relaxation diya jata hai.
Application Fee
Ismein aap fees debit/credit ya SBI challan dwara kar sakte hai. Saath hi ek baar jab aap fees de dete hai toh dubara refund nahin kar sakte hai.
Category | Fee |
General/OBC/EWS | Rs. 100/- |
Reserved Category | Exempted |
Female | Exempted |
SSC MTS Ka Selection Process
SSC Multi Tasking Vacancy mein selection process se bhi gujrana padta hai. Ji Haan, ismein aapko exam dene padte hai aur phir jaakar joining hoti hai.
Selection process mein 2 stage procedure se gujrana padta hai. Sabse pahle ek exam hota hai jo online ya offline koi bhi ho sakta hai. Ismein kuch subject se question pooche jaate hai jinke javab dekar agar aap pass ho jaate hai toh 2 exam ke liye bulaya jata hai.
Paper 1 ka result declare hone ke baad qualifying candidates ki list banai jaati hai. Phir SSC MTS 2019 cut off ke anusar jo candidates yogya honge unko paper 2 ke liye bulaya jata hai.
Iske baad jo candidates Paper 2 mein pass ho jaate hai unhein Document Verification Process. Ke liye bulaya jata hai. Documents ki list humne niche di hai.
Document Verification ke samay in Documents ko saath lekar jaayein
– Qualification Certificates.
– Identity Card (Pan Card, Aadhar Card, Voter ID etc.)
– Birth Date ka Certificate.
– Passport Size Photographs.
– Category Certificate Reserved Category Candidates ke liye.
– Residence ka Proof.
SSC MTS Recruitment Exam Pattern
Ab baat karte hai SSC MTS Syllabus ki. Syllabus ke liye aap niche di gayi jaankari padhein.
SSC MTS Paper 1 Pattern
Paper 1 – Ismein objective type multiple choice questions honge.
Duration – Ismein aapko 90 minutes milte hai answer dene ke liye jabki jo Handicapped ya manshik rogi hai unhein 120 minutes milte hai iss exam mein.
Subject | No. of questions | Marks |
Intelligence Reasoning | 25 | 25 |
Numerical Aptitude | 25 | 25 |
English | 25 | 25 |
General Knowledge | 25 | 25 |
Total | 100 | 100 |
SSC MTS Paper 2 Pattern
Paper 2 – Descriptive/writing paper hoga jismen aapko niche bataya subject diya jaayega.
Subject | Marks | Duration |
Short Essay/Letter in English or any language included in the 8th Schedule of the Constitution | 50 | General candidates ke 30 minute aur handicapped ya manshik rogi ke liye 40 minutes. |
SSC MTS 2020 Syllabus
Pattern ke baad ab hum baat karte hai syllabus ke baare mein jo ek bahut badi baat hai iss naukri ke liye.
Section | Topics |
General Intelligence and Reasoning | Similarities and Differences, Space Visualization, Decision Making, Visual Memory, Observation, Problem Solving, Analysis, Judgment, Relationship Concepts, Figure Classification, Non-Verbal Series, Arithmetical Computation, Arithmetical Number Series, Analytical Functions etc. |
Quantitative Aptitude Syllabus | Number Systems, Computation of Whole Numbers, Decimals and Fractions, Profit and Loss, Discount, Relationship between Numbers, Fundamental Arithmetical Operations, Mensuration, Time And Distance, Percentages, Ratio and Proportion, Averages, Interest, Use Of Tables and Graphs, Ratio and Time, Time and Work, etc. |
General Awareness | Current events, India’s recent economic and social policies, Indian Constitution, Booker and National, Award Winning Books, History, Culture, Awards and Honors, Current Affairs, Science – Inventions & Discoveries. Important Financial & Economic News |
English Language | Candidates will be tested on their understanding of the Basics of English Language, Vocabulary, Grammar, Sentence structure, Synonyms, Antonyms and its correct usage etc. Along with that, candidates will be tested on his/her writing ability. |
Saari Latest SSC Bharti Updates 2020 ke liye click karein
Hope aapko iss article mein SSC MTS ki recruitment ke baare mein achhe se samajh aa gaya hoga, lekin koi sawal ya doubt hai toh aap humein comment mein pooch sakte hai jinka javab hum khud denge.
Kya karnataka wale bhi apply kar sakte hai?
Ye ALl over India ki recruitment hai. Sab apply kar sakte hai.
Please help me for the job
I’m turning 18 in next year can l also apply for this job
Hi Payal,
Yes you can.
Is m height ya race bhi hoti h kya
nahin bhai aisa nahin hota hai.
Date of birth certificate kha se bnvaye ya 10th marksheet hi chlti h
10th ka certificate chalega.
Mam ye form kab nikalte h
Humanr article mein puri jaankari de rakhi hai kripya dhyan se padhe.