Seema Suraksha Bal (BSF) Bhaarat ka ek pramukh ardhsainik bal hai aur vishwa ka sabse bada seema suraksha bal hai. Jise 1 December, 1965 ko sthapit kiya gaya tha. Ye Bhaarat ki seema ki raksha karane aur anterrashtriya aparaadh ko rokane ka kaam karti hai. BSF kendriya sarkaar ki ek agency hai jiska niyantran greh mantralaye dwara kiya jata hai. Ye vishwa ka sabse bada seema suraksha bal hai. BSF Head Constable recruitment se judi saari jaankari is blog me humne dene ki koshish ki hai.
Army Public School PGT, TGT & PRT Recruitment Ke Liye Abhi Apply Kare
BSF Head Constable Admit Card 2019 Download Kare. BSF HC Exam Date Postpone kardi gayi hai. Ab Exam 22 September 2019 ko hoga.
Territorial Army Bharti 2020 Ki Puri Jaankari
Iss article mein jaaniye
BSF Head Constable Vacancy 2020 Ki Puri Jaankari
BSF Head Constable Qualification 2020
BSF Head Constable Age Limit 2020
BSF RO & RM Posts Ke Liye Apply Kaise Kare
BSF Physical Test Details 2019
BSF Head Constable Medical Test
BSF Head Constable Admit Card 2019
BSF Head Constable Vacancy 2020 ki puri jaankari:
BSF recruitment Head constable 2020 ke liye male aur female dono apply kar sakte hain.
Dhyan rahe doston aap is form ko sirf online hi apply kar sakte ho. Apply karne ki last date 12th June 2019 hai. BSF ne 1072 post par Head Constable ki bharti nikali hai aur post ke naam hai:
Post Name 1: Head Constable (Radio Operator)
Post Name 2: Head Constable (Radio Mechanic)
BSF Vacancy Details 2020
Total BSF Vacancy: 1072 Post** September mein BSF HC ki Vacancies badha di gayi hai.
Post Name | General | OBC | EWS | SC | ST | Total Post | Revised Post |
Radio Operator | 269 | 31 | 300 | 462 | |||
Radio Mechanic | 349 | 151 | 54 | 146 | 72 | 772 | 786 |
Revised Vacancy Check karein:
BSF Bharti Head Constable(Radio Operator) | Rs 25,500- 81,100 |
BSF Bharti Head Constable(Radio Mechanic) | Rs 25,500- 81,100 |
BSF HC Important Dates 2020
BSF HC Exam Date Postpone kardi gayi hai. Ab Exam 22 September 2019 ko hoga.
Online Application Start Date | 14-05-2019 |
Online Application End Date | 12-06-2019 |
Date of OMR based screening test | 28-07-2019 (Postponed to 22-09-2019) |
Date of PST, PET & Documentation | From 09-10-2019 (Postponed to 02-12-2019 onwards) |
Date of Descriptive written test | 24-11-2019 (Postponed to 02-02-2020) |
Date of Final Medical Exam | From 30-01-2020 (Postponed to 13-04-2020 onwards) |
Exam date change notification ke liye click kare
BSF Head Constable Qualification 2020
HC Radio Operator (RO)
10th Pass kisi bhi recognized institution se aur 2 saal ka ITI in Radio and TV.
Or
Iske alawa jisne 12th class Physics, Chemistry aur Mathematics se 60 % se pass ki ho
HC Radio Mechanic (RO)
10th Pass kisi bhi recognized institution se aur 2 saal ka ITI in Radio and TV.
Or
Iske alawa jisne 12th class Physics, Chemistry aur Mathematics se 60 % se pass ki ho
BSF Head Constable Age Limit 2020
Age limit : 18 saal se – 25 saal hai (ye General category k liye hai)
- OBC ke liye age limit : 18 saal se – 28 saal hai
- SC & ST ke liye age limit : 18 saal se – 30 saal hai
BSF Head Constable RO & RM Posts Ke Liye Apply Kaise Kare
Jo bhi candidates is post ke liye interested hai wo bsf online apply kar sakta hai. BSF online form ko aap kuch is prakaar bhar sakte hain. BSF ki website per visit kare jiska link humne niche diya hai. Yaad rahe ye link sirf 12th June 2019 tak hi activate rahega.
- Sabse pehle registration kare. Registration ke liye yaha click kare
- Apni sari details bhare aur apna mobile number aur email id register kare kare. Iske baad apka registration ID aur password generate ho jayega.
- Mile registration no. aur password ke sath log in kare.
- Bina galti kare apni basic details, personal details, educational details, etc.bhare
- Uske baad apne documents aur apni photo scan kar ke upload kare.
- Application form ko submit karne se pehle fir ek baar check kar le.
- Examination fee ki payment kare.
- Aur akhir me application form ka print out nikalwa le.
Application Fee Kitni Hai
- General, OBC & EWS ke liye fees : Rs100 hai.
- SC, ST aur Females ke liye koi fees nahi hai.
Selection Procedure Kya Hai
BSF head constable bharti teen charno me ki jayegi
Phase 1: Written Test
Sabse pehle apka OMR sheet mein written test hoga. Ye test English aur Hindi dono mein hoga.
BSF HC Exam Date Postpone kardi gayi hai. Ab Exam 22 September 2019 ko hoga.
Exam date: 22 September 2019
Section | Topic | No. of Questions | Maximum Marks | |
1 | Physics | 40 | 80 | |
2 | Mathematics | 20 | 40 | |
3 | Chemistry | 20 | 40 | |
4 | English & GK | 20 | 40 | |
Total | 100 | 200 Marks |
- Har sahi jawaab ke liye 2 marks milenge.
- Isme Negative marking bhi hogi. Har galat jawaab ke liye 0.50 marks kaate jayenge.
Syllabus Kya Hai
- Physics, Mathematics aur Chemistry sections ke liye 10+2 ke books se padhe.
- GK mein Current Affairs, History, Geography aur General Science jaise topics prepare kare.
- Dono post ke test ko qualify karne ke minimum marks hai:
i) General/OBS- 38%
ii) SC/ST- 33%
Phase 2: PST/PET and Documentation
PET ka full form hota hai Physical Efficiency Test aur PST ki full form hota hai Physical Standard Test. Joh candidates phase 1 ko clear karenge vo iss process ke next phase mein jaayenge. Iss phase ke liye shortlisted candidates ko recruitment centres ki details SMS/email ke dwara batadi jayegi. Iss phase mein shotlisted candidates ka physical test hoga jisme qualify karna aniwarya hai. Qualify karne ke apke documents ki verification bhi hogi. Physical Test aur apke documents ki verification ek hi din hogi
Physical Test aur Documentation date: 02 December 2019
BSF Physical Test Details 2020
Gender | Height | Chest | Running | Long Jump | High Jump |
Male | 168 cm | 80-85 | 1.6 Km in 6.5 min | 3.6 meter in 3 chance | 1.2 meter in 3 chance |
Female | 157 cm | NA | 800 meter in 4 min | 9 Feet in 3 chance | 3 Feet in 3 chance |
BSF Head Constable Documents
- Educational Certificates (10th/12th ki marksheet)
- ITI/ Diploma Certificate
- Age certificate (10th ka marksheet ya certificate)
- EWS income aur asset certificate
- OBC Certificate
-Non-creamy Layer
-Eligibility Certificate - SC/ST Certificate
Phase 3: Descriptive Test
Phase 2 ko clear karne ke baad shortlisted candidates ka descriptive written test hoga aur jo candidates is exam ko clear kar lega uska final medical test hoga jiske baad hi apko appoint kia jayega.
Descriptive written test date: 02 February 2020
Ye Descriptive Test do category mein hoga aur final merit list ke liye dono category ke tests clear karna zaruri hoga.
a) Written Test (Descriptive Pattern)
Isme descriptive test hoga jisme Physics, Chemistry Maths, Logical Reasoning aur English se questions pucche jayenge. Ye test 150 marks ka hoga aur 12th class ke syllabus se questions pucche jayenge.
Maximum Time: 2 Hours 30 Minutes
b) Dictation Test
Dictation test (in English writing) of minimum 100 words | 50 Marks |
Paragraph reading (Isme candidate ki pronunciation aur reading proficiency honi chahiye ) | Qualifying in nature |
- 2.5 marks kaate jayenge agar ek hi letter galat likha ya miss kardiya
- Har galat word ke liye 5 marks kaate jayenge.
- Qualify karne ke minimum marks hai:
i) General/OBS- 38%
ii) SC/ST- 33%
Phase 4: BSF Head Constable Medical Test
Phase 3 clear karne ke baad shortlisted candidates ko medical test ke liye bheja jaayega. BSF ke kuch medical standards hai joh clear karna zaruri hai BSF join karne ke liye.
BSF HC notification 2019 download karne ke liye click kare
Final Medical Exam Date: 13 April 2020 Onwards
- Minimum distant vision chashma lagane ke baad kam se kam 6/6 aur 6/9 hona chahiye
- High-grade color vision test pass karna bohot jaruri hai
BSF Head Constable Admit Card 2020
Aap apna admit card BSF ki official website se exam ki date se ek hafte pehle download kar sakte hain. Aap humari website se bhi admit card ka notification sidha prapt kar sakte hain.
Dhyan rahe doston apko apna admit card carry karna compulsory hai warna apko exam me baithne nahi diya jayega.
BSF Head Constable Admit Card 2020 Download Kare
BSF Recruitment 2019 Notification padhne ke liye yahan click karein.
Agar abhi bhi aap BSF bharti 2020 ya BSF recruitment se juda koi sawal ya koi jankari janna chahte hain toh niche comment karein aur aap humare Facebook group par ayiye aur apna sawal pucchiye, hum apki poori madad karenge.Yahan click kare
Jisne 12 th physics chemistry biology s 70% prapt kiya v aaply nai kr skta kya v kus chij m kr skta h apply
Nahi, Anupama Gupta Ji agar 12th me apke pas Maths nahi thi to aap is post ke liye apply nahi kar sakte.
10 pass pr apply ho sakta hai
Agar aapne ITI bhi kiya hai to hai varna nahi.
Sir overall percent 65 h mangi h ya separate
Total(overall) 60% chahiye apply karne ke liye.
Mera 12th me maths science tha and meri age abhi 22 hai… To me apply kr skti hu…
Hi Nisha,
Maths aur science mein total 60% marks chahiye.
Sir jisne 12th me 62% hai PCM me but Maths me marks kam h to kya form fill kar sakte h
Maths me kam se kam 60% chahiye agar aapne ITI nahi kiya hai to 10th ke baad.
Form kb chalu hog
Hi Yogender,
Form chalu ho chuke hai. Jald apply kare.
jai hind sir form bharne m dikkat aa rahi h
Hi,
Aapko kya dikkat ari hai?
Form Kyo nahi bhara ja raha hai sir
Koi problem hai to use thik kar dijiye …
Bhai aap phir se try kijiye.
Sir inke 1 exam kaha hoga
Yeh admit card aane par pata chalega ki aapka exam kaha hoga.
Sir mera physics mai 54 marks hai and baki subject mai 60marks se upar hai kya mera admitcard aayega
Abhi kch keh nahi sakte admit card ke baare mein.
mam mera admit card abi nikal nhi rha h kyo
Aap is article ko padhe aur jaane admit card kaise download kare: https://www.joshtalks.com/joshkosh/sarkari-job/bsf-head-constable-admit-card/
Mam Kay arts see 12th Karen ke baad BSF head constable Kaa form Bhar sakta hu Kay may
HAnji aap bhar sakte hai form.
Bsf ka new form kab tak yayega
ab to next year hi aayega.
mam ab bsf ka from kb niklega……
Bhai jab niklega tab yahan bata diya jaayega.
Bsf head constable phase kB tk aegaa plz tell me
HC ke iss saal ke form to band ho chuke hai. Ab agle saal hi aayenge.
Koi bhai Aisa bhi hai kya jisne bsf ro and bsf rm dono ka exam diya ho
Total form kitne apply Kare Gaye hai ap bata sakte ho